Showing posts with label IMAAN. Show all posts
Monday, September 10, 2012
NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) PAR IMAAN LAANA: (PART 3)
BismillahirrahmanirraheemNABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) PAR IMAAN LAANA: (PART 3)
MASLA- 9
Hz anas bin nazar (ra) ka imaan
hz anas bin malik (ra) se riwayat hai ki unke chacha (hz anas bin nazar ) ghazwa badr me shareek na ho sake toh unhone (apne aapse ) ahad kiya ki main pahli jung me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ka saath nahi de saka, lekin aainda allah taala ne mujhe kisi jung me nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki sangat naseeb farmayi toh phir allah dekhega ki main kaise (allah ki raah me ) ladhta hun,
phir ghazwa uhud ka mauqa aaya toh musalman (maidan e jung ) me titar bitar ho gaye,
hz anas (ra) kahne lage:-" ya allah ! Musalmano ne jo kuch kiya hai us par main teri janaab me maazrat pesh karta hun aur mushrikon ne jo zulm kiya hai usse apne ko aazaad karta hun "
(yah kahkar ) talwar liye aage bade hz saad bin mu'az (ra) se mulaakaat ho Gayi,
hz anas (ra) farmane lage:-" saad ! Kahan jaate ho ? Mujhe toh uhud pahaad ke peeche se jannat ki khushbu aa rahi hai "
hz anas (ra) gaye aur jihad shuru kar diya yahan tak ki shaheed ho gaye, shahadat ke baad unki laash pahchaane na ja saki aur unki bahan ne (haath par ) til ke nishaan ya ungali ki por se unhe pahchaana, unke jism par neze , talwar, aur teer ke 80 se zyada zakm they "
(bukhari, kitabul magazi . Bab ghazwa uhud )
MASLA-10
Hz umair bin hamaam (ra) ka imaan
hz jabir bin abdullah (ra) kahte hain uhud ke din ek aadmi (hz umair bin hamaam ) ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se poocha :-" ya rasoollullah ! Agar main jung me maara jaun toh mera thikaana kahan hoga ?"
nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jannat me !"
aadmi me apne haath se khajoorein fenki aur ladna shuru kar diya yahan tak ki shaheed ho gaya "
(bukhari, kitabul magazi , Bab ghazwa uhud )
MASLA- 11
Hz salma bin aqwa (ra) farmate hain:-" main (islam laane se pahle ) talha bin obaidullah ka mulaazim tha, unke ghode ko paani pilaana, uski peeth khujaata tha aur unki khidmat karta tha aur uske badle unse khaana khaata, ( jab musalman huwa to ) maine apna ghar baar aur maal wa daulat sab kuch chhod diya aur hijrat karke allah aur uske rosool nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke paas chala aaya "
(sahih muslim kitabul jihad was'seer , bab ghazwa zi'kurd)
MASLA- 12
Hz abu dahdah (ra) ka imaan
hz anas (ra) se riwayat hai ki ek aadmi ne arz kiya:-" ya rasoollullah ! Falan shakhs ki khajoor hai aur main uske sahaare apni diwaar khadi karna chaahta hun, aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) use huqm den ki wah yah khajoor mujhe de de taaki main uske sahaare diwaar khadi kar sakun "
nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne khajoor ke Malik se kaha :-" yah khajoor ka pedh ise de do aur uske badle me jannat ki khajoor le lo "
lekin khajoor ke malik ne inkaar kar diya,
hz abu dahdah (ra) khajoor ke malik ke paas aaye aur kaha:-" mera saara bhaagh le lo aur wah khajoor mujhe de do (jo nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne tujhse maangi hai )"
khajoor ke malik ne baagh ke badle me khajoor abu dahdah (ra) ko de di,
hz abu dahdah (ra) nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me haazir hue aur arz kiya:-" ya rasoollullah ! Maine apne baagh ke badle me wah khajoor khareed li hai, maine yah khajoor nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko di aur aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) yah khajoor ki zarurat mand ko de den,
nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" abu dahdah ke liye jannat me kitne ki khose latke hue hain, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne ye Alfaaz kai baar ada farmaaye,"
hz abu dahdah (ra) apni biwi ke baas aaye aur aawaz di:-" umme dahdah ! Baagh se bahar nikal aao maine yah baagh jannat me khajoor ke badle me bech diya hai "
umme dahdah (ra) ne (fauran ) kaha:-" tumne bada faayedemand sauda kiya hai "
ya isse milta julta koi kalima kaha
(musnad ahmad, tabrani)
MASLA-13
Hz khuzaima bin sabit (ra) ka imaan
hz khuzaima bin sabit (ra) se riwayat hai ki nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne sawa bin haris se ek ghoda khareeda, sawa bin haris nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se (qeemat me ) jhagda karne laga, hz khuzaima (ra) ne nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke haq me gawaahi di, (ki aap (sws) jo baat farmate hain wahi sahi hai baad me ),
nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne hz khuzaima (ra) se malum kiya:-" khuzaima ! Tum toh sauda karte waqt hamare paas nahi the, tumne kaise Gawahi di ?"
hz khuzaima (ra) ne arz kiya:-" aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) jo taaleem laaye hain uski sacchayi ki bina par maine gawahi di hai aur mera yah imaan hai ki aap nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) haq ke elawa koi baat nahi kahte "
nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" khuzaima (akela) jiske haq me gawahi de ya jiske khilaf gawahi de wah kafi hai"
( tabrani, majmua ul zawaid, tahqeeq abdullah muhammad durwesh, kitabul manaqib, bab maaja fi khuzaima bin sabit 9/533)
MASLA-14
Ek kismatwali aurat ka imaan
hz abdullah bin amr (ra) kahte hain:-" ek aurat nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me haazir huh, uske saath uski beti bhi thi jiske haath me sone ke 2 kangan they, nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne malum kiya:-" kya tu inki zakaat ada karti hai ?"
aurat ne arz kiya:-" nahi !"
nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne irshad farmaya:-" kya tu pasand karti hai ki in do kangano ke badle me allah taala qayamat ke din tujhe do aag ke kangan pahnaaye ?"
(yah sunkar ) aurat ne dono kangan utaar diye aur nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki khidmat me pesh kar diye aur kaha:-" ye dono kangan allah aur uske rasool ke liye hain "
( abu dawood kitabuz zakat bab kanz'maahu 1/1382)
MASLA-15
Hz kaab bin malik (ra) ka imaan
hz kaab bin malik (ra) kahte hain :-" ghazwa tabuk me shirkat na kar paane ki ghalti par nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne sahaba kiram (ra) ko mujhse baat cheet karne se mana kar diya tha, isi dauran (ek din ) main bazaar me ja raha tha ki shaam (syria) ka ek esaayi kisaan jo ki apna galla bechne ke liye madeena munawwara aaya tha, logon se kah raha tha:-" mujhe kaab bin malik ka pata kaun bataayega ?"
logon ne meri taraf Ishaara kiya toh wah shaami kisan mere paas aaya aur (roomi governor) shah ghassan ka ek khat mujhe diya jisme likha tha:-" amma baad ! Mujhe malum hai ki tumhara sahab tumpar zulm kar raha hai jabki allah ne tumhe zaleel aur bekaar paida nahi kiya, isliye (main tumhe dawat deta hun ki ) hamare paas aa jaao ham tumhari izzat karenge "
maine khat padhkar socha yah ek nayi aazmaish aayi, isliye main tannoor ki taraf gaya aur usko tannoor me jala diya "
(bukhari, kitab ul maghazi, bab hadith kaab bin malik )
MASLA-16
Hz saad bin abi waqqas (ra) ka imaan
hz mus'ab bin saad (ra) se riwayat hai ki unke baap (hz saad bin abi waqqas) kahte they ki:-" unke baare me qur'an ki aayat naazil hui (jaise unke iman laane par ) umme saad ne yah qasam khaayi ki jab tak saad apna deen tark nahi karta wah usse baat karengi na khaana khaayegi na paani piyegi aur isi ke saath hz saad (ra) se yah kahti ki allah ne Tujhe maa baap ka kahna maanne ka huqm diya hai, main teri maa hoon aur tujhe huqm deti hun ki is deen ko chhod de,
umme saad 3 din tak isi tarah bhookhi pyasi rahi yahan tak ki use be'hoshi ke daure padne lage, tab uske ek bete ammara ne use paani pilaaya, (hosh me aane ke baad) hz saad (ra) ko bad'duwayen dene lagi (lekin hz saad ne apna deen na chhoda )
aur allah taala ne qur'an majeed me yah aayat naazil farmayi
" hamne insaan ko apne maa baap ke saath nek sulook ki taaqeed farmayi, lekin agar wah tujhe mere saath shirk par majboor karen jiska tere paas saboot nahi toh phir unka huqm na maanna, albatta duniya me unke saath nek sulook karte raho "
(muslim kitab fazail us sahaba (ra) , bab fi fazal saad bin abi waqqas )
ALLAH TAALA HAM SABKO AISE KI IMAAN KI SA'AADAT SE NAWAAZE..... Ameen
THE END
Read More »
Labels:
HUQOOQ UN NABI,
IMAAN,
SEERATUN NABI
Monday, July 16, 2012
AANKHE RAKHNE WAALON ! IBRAT HAASIL KARO
Bismillahirrahmanirraheem
QABR KE WAQEYE
(Azaabe qabr aur sawaabe qabr ke kuch jaanne waale waaqyain)
Azaab e qabr ya sawaab e qabr ki kuch waqyain kabhi ,kabhi sunne me aati rehti hai.aisi waqyaon ki tardeed karna mushkil hota hai,unhe tahreer karne me mujhe sankoch tha isi daoraan bukhaari shareef me hazrat anas,(razi)ki bayaan ki hui ghatna nazar se guzri jis se is baat ka kuch itminaan ho gaya ki khilaafe aadat waqyaat ka zaahir hona kam se kam naamumkin nahi.shaayad bando par rahem farmaane waali zaat aise waqyaat ke zariye qalbe saleem rakhne waale logo ke liye saamaane ibrat muhaiya karna chahti ho kuch ghatnaaye isi mauzu ke liye shaamile ishaa at kiye ja rahe hai ummeed hai ki inhe padhne ke baad said roohen inse ibrat haasil karengi fir bhi in waaqeyyaon ki sehat jimmedaari raawiyon par hai ya un risaalo wa zareedo par jin ka saath me hwaala diya gaya hai.
1> AHAD E NABI S.A.W KA WAQEYA
Hazrat anas (razi)riwaayat karte hai ki aik esaai aadmi musalmaan hua aur usne surah baqrah aur surah aale imraan padh li aur rasool e akram s.a.w ke liye WAHI ki kitaabat karne laga,baad me islam se fir gaya aur kehne laga:-”muhammad s.a.w ko to kisi baat ka pata hi nahi jo kuch main likh deta hun bas wahi keh dete hai".
allah taala ne jab use maut di to esaaiyo ne dafan kar diya.subah hui to logo ne dekha ki qabr ne use baahar nikaal fekaa hai.iesaaiyo ne kaha yah muhammad s.a.w aur unke saathiyon ka kaam hai kiyon ki yah unke deen se bhaag kar aaya hai ISLIYE unho ne iski qabr khod kar laash baahar feki hai agle din iesaaiyo ne nai qabr khod kar use pehle ki nisbat jaada gehra dafan kiya,lekin jab subah hui to logo ne dekha ki qabr ne fir use baahar nakaal feka hai.iesaayo ne fir ilzaam lagaaya ki yah muhammad s.a.w aur unke saathiyon ka kaam hai chunki yah unke deen se bhaag kar aaya hai isliye unhone iski qabr khod kar laash baahar nikaal feki hai.iesaaiyo ne fir uski qabr banaai aur use itna gehra khoda jitna khod sakte the agli subah qabr ne fir use nikaal baahar feka.tab iesaaiyo ko yakeen ho gaya ki yah musalmaano ka kaam nahi aur unho ne uski laash aise hi chod di.
(sahih bukhari kitabul manaqib, bab alaamaat nubuwwah fil islam)
TEDHI QABR
Aik din aik police afsar ko dafnaaya jaane laga to uski qabr tedhi ho gai jab nai qabr khodi gai to wah bhi tedhi ho gai,shuru me logo ne use gorkun (qabr kholne waale)ka kusoor samjha magar jab aik ke baad aik paanch baar qabr khodi gai aur baar-baar tedhi hoti rahi to janaaze me shareef logo ne milkar mayyit ke liye magfirat ki dua ki aur paanchwi qabr ka bicchu baar jabardasti mayyit qabr me utaar di gai halanki qabr pehle ki tarah hi tedhi thi.yah waaqeya raawal pindi ke mashhoor qabristaan-itr amraal kee pesh aai.
()weekly jung.lahore 17 dec 1990,28 jumade oola,1411 hijri)
QABR ME SAANP AUR BICCHU:
Naarang mandi( jila shaikhurpura)ke pass kasba jaisingh waala me do jhagadne waale grupon ke beech firing hui jisse teen aadmi mar gai unme se aik aadmi ko uske rishtedaar taaboot me band kar ke dafan karne ke liye laaye aur qabr khodi to usse saanp aur bicchu nikal aaye rishtedaaro ne ghabrakar hi door se hi qabr par mitti daal di aur taaboot waapas le gaye.
(roznama nawa e waqt, lahore 9 aug 2000 ce)
BY-----------MOHD KHUBAIB ANSARI
Read More »
Labels:
IMAAN
Tuesday, July 10, 2012
SABR--- KITAB WA SUNNAT KI ROSHNI ME
Bismillahirrahmanirraheem
SABR--- KITAB WA SUNNAT KI ROSHNI ME:
Duniya me jahan kabhi mukhtalif taqleefon, mashaqqaton se do'chaar hona padhta hai, kabhi khushiyan hoti hain to kabhi marsiya khwani bhi hoti hai
" jahan bajti hai shahnaayi, wahan matam bhi hote hain "
is waadi me phool bhi hain, aur kaante bhi,
jo is chand roza zindagi ke masaib ko sabr wa shukr ke saath bardaasht kar leta hai, wah allah ka muqarrab banda ban jaata hai,
use aakhirat me aisa maqaam wa martaba haasil hoga ise dekhkar duniya hairaan rah jaayegi
allah taala ka irshad hai :-" sabr karne waalon ko unki mazdoori be'hisaab milegi "
(surah zumar ayat 10)
matlab ye ke sabr karne waalon ko jo sawaab milega wo kisi paimaane se naap tol kar nahi, balke be'hisaab unhe ata kiya jaayega
ek dusri jagah irshad hai:-" aur unke sabr ke badle unhe jannat aur reshmi libaas diye jaayenge"
(surah daher 12)
yahan tak ke Wah log jinki dunyawi zindagi aafiyat me ghuzri, tamanna karenge ke : aiy kaash! Duniya me kainchiyon ke zariye kaate gaye hote toh hamen bhi sabr ka aisa hi sila milta,
kitab wa sunnat me sabr karne waalon ki badi taareef ki gayi hai, banda saabir allah ka baada pyara aur mahboob hota hai,
irshad hai :-" aur allah sabr karne waalon se muhabbat karta hai "
(surah aal e imram 146)
ek aur jagah irshad hai:-" allah taala sabr karne waalon ke saath hai "
(surah baqarah 153)
Saabiron ke liye nek anjam aur bahtareen theekaana hai, qayamat ke din unka shumar muttaqiyon me hoga,
allah taala ka farman hai:-" jo tang'dusti, dukh, dard aur ladaayi ke waqt sabr kare, yahi sacche log hain aur yahi parhezgaar hai "
(surah baqarah 177)
saabir apne sabr ke badle nihaayat azeem aur na khatm hone waale inaam aur be'inteha ajar se sharf'yaab ho kar daaimi mussarrat se ham'kanaar honge,
nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jise aankhon ne na dekhi, na hi kaano se suna aur na hi us tarah ka koi khyaal kisi bhi insaan ke dil me samaaya"
haqiqat toh ye hai ke sabr momin ki shaan hai, muslim shareef me ek hadith aati hai jo hz suhaib (ra) se marwi hai
hz suhaib (ra) kahte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" momin ka maamla bhi ajab hai, har haal me uske liye khair hi khair hai, ye shaan momin ke siwa kisi aur ko mayassar nahi , agar usko masarrat haasil hoti hai to bajaaye takbeer ke allah ka shukr ada karta hai aur agar museebat naazil hoti hai to na'ummeedi ke bajaaye sabr ka sahara leta hai, yani har haal me ye nafa hi me rahta hai, raahat me bhi, ranj me bhi, dono haalaton me khuda ko khush rakhta hai, aur uski raza ka taalab hota hai, nekiyan aur darjaat badhta rahta hai "
(muslim)
lafz sabr bada jaame hai, aur uske maana ke andar badi wasiat hai,
jab nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke sahab'zaade hz ibraaheem ka inteqaal ho gaya toh aap hz abdul rahmaan(ra) ke sahare tashreef laaye, aankhon se aansu jaari they, ye dekh kar ek sahabi ne kaha:- ya rasoollullah ! Aap toh sabr ki talqeen karte hain,
irshaad huwa:-" main aansu bahaane se nahi rokta kyunke ye bashariat ka taqaaza hai, albatta noha aur maatam karne se mana karta hun"
phir aap (sws) ne farmaya:-" aiy ibraaheem ! Ham teri judaayi se bahut Ghamgeen hain, hamari aankhen ashq'baar hain, aur dil rota hai, lekin hamari zabaan se wahi qalma nikalta hai jo hamare rabb ko mahboob hota hai "
(hadith)
jab banda momin sabr wa shukr se kaam leta hai toh jahan ek taraf se sukoon haasil hota hai, aur dusri taraf wah rab ke inaam ka mustahiq thaharta hai,
tirmizi ki ek hadith hai jis mein nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) farmate hain :-" jab kisi musalmaan ka koi baccha mar jaata hai toh uski rooh qabz karne waale farishton se allah taala sawaal karta hai ke :-tumne mere ek bande ke baccha ki rooh qabz kar li, bataao usne kya kaha ?
Farishte jawab dete hain:-" aiy allah ! Usne ' inna lillahi wa inna ilaihi raajiun ' kaha, aur unki zabaan teri taareefon me lagi rahi, "
is mauqe se allah taala farmata hai:-" dekho mere is bande ke liye jannat me ek mahal taiyyar karo, aur uska naam ' bait ul hamd ' rakho"
(tirmizi)
kya hi khus'kismAt hain wah log jo museebat ki ghadi mein sabr karte hain aur rabb se ajar haasil karte rahte hain
museebat me sabr karne waalon ko aakhirat ke elawa, basa awqaat duniya me bhi uska ajar mil jaata hai......
ALLAH TAALA HAM SABKO SABR KARNE KE TAUFEEQ DE....... Ameen
Read More »
Labels:
AQEEDAH,
HUQOOQ,
IMAAN
Sunday, May 20, 2012
QAYAMAT KI ALAAMATEIN (SIGNS)
Bismillahirrahmanirraheem
QAYAMAT KI ALAAMATEIN:
Yaqinan aakhirat aur uske sawaab wa azaab par imaan laana imaan ka ek aham ruqn hai, deen e islam ki buniyaad hai, allah taala ne qayaamat se pahle kuch aisi nishaaniyan muqarrar ki hain jo qayamat ke qareeb hone par dalaalat karti hai, nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) qayamat ko badi khatarnaak cheez samjhte they aur jab bhi nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) qayamat ka tazkirah karte toh aapka chehra surkh ho jaata, awaaz buland ho jaati...
Sahaba kiram (ra) aapas me qayamat ke baare me bahut zyada gustugu karte they,
hz huzaifa (ra) kahte hain ke nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) hamare paas aaye, aur ham log aapsi guftugu me masroof they, aapne sawaal kiya:-" kis cheez ke baare me guftugu kar rahe ho ? Hamne kaha:- qayamat ke baare me ! Qur'an wa hadith me qayamat ke baare me Be'shumaar dalail aur alaamatein bayaan ki gayi hain aur unme se beshtar waqu pazeer ho chuki hain,"
sahaba kiram (ra) qayamat ke mutaallik hadith suna karte they toh be'inteha usse khauff khaate they,
qayamat ki bahut si nishaaniyan zaahir ho chuki hain, nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki qayamat ke baare me pesangoiyan saabit ho chuki hain, jinse ahle imaan ke imaan me izaafa hi hota hai, aisi haalat me momino ke liye waajib hai ke deen e islam ko mazbooti se thaam len, safar aakhirat ke liye taiyyar ho jaayen,
kyonki nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jab qayamat ki badi nishaaniyan zaahir hongi to ek dusre ke peeche is tarah zaahir hongi jaise ki motiyon ka haar tootne par motiyan ek dusre ke peeche tezi se nikal jaati hain, nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:- jo nishaani bhi (qayamat ki) zaahir hogi toh Dusri uski tatbeeh karegi"
(rawah muslim)
" qayamat ki nishaaniyan ek haar ke motiyon ki tarah hain agar use todh diya jaaye toh ek dusre ke peeche nikal padengi "
(musnad ahmad)
nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke ba'asat qayamat ki nishaaniyon mese ek nishaani hai,
nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" meri ba'asat aur qayamat dono jama ho gayi hain aur qareeb hai ke qayamat mujh par sabqat kar jaaye "
nez nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki wafaat bhi bahut badi nishaani hai,
qayamat ki alaamat me ye baat bhi hai ke qayamat ke qareeb ek bahut bada fitna zaahir hoga, jo haq ko baatil se madgan karne ke saath saath imaan ko mutazalzal kar dega...
Hz ibn masood (ra) kahte hain ke:-" tum logon par ek aisa zamaana aane waala hai ke koi shakhs maut ko paa le toh use bhi bechne ke koshish karega"
nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" qayamat se pahle ek fitna uthega, aadmi haalat e imaan me subah karega toh haalat e kufr me shaam karega, imaan ki haalat me shaam karega toh kufr ki haalat me subah karega"
(rawah ahmad)
is ummat ke aakhiri logon par badi badi aafatein aayengi...
nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" ummat ke pichhle logon ke liye aafat hi aafiyat thi aur ummat ke aakhir me aane waalon ko aisi musibatein pahunchengi ke wah unhen na'pasand karenge aur aisa fitna zaahir hoga jo logon ko aapas me lada de ga, momin pukaar uthenge , wah fitna yahi hai ! Wah fitna yahi !, jo shakhs jahannum se bachna aur jannat me daakhil hona chaahe toh use aisi haalat me maut aaye ke wah allah aur yaum e aakhirat par imaan rakhta ho "....
Zalzalon ki kasrat, mashrhq me ek, maghrib me ek, aur zazeerah ul arab me ek khasoof ka waqe hona, chaupaayon ka Insaano se guftugu karna, logon ka ek dusre par zulm karna, ye sab qayamat ki nishaaniyan hain,
chaupaaya zaahir hoga aur logon se guftugu karega ke log allah ki nishaaniyon par imaan na laate they, zamaana sukadh jaayega, ek saal ek maah ki tarah, ek mahina ek hafte ki tarah, ek hafta ek din ki tarah, ek din ek ghante ki tarah ho jaayega, aurton ki qasrat aur mardon ki qillat hogi, hatta ke 50 aurton ka zimmedaar sirf ek mard hoga,
yajuj wa majuj (gog and mogog) ka zahoor hoga, sahihain me hz zainab binte jahash (ra) nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se riwayat karti hain ke :-" ek martaba nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) unke paas ghabraaye hue aaye, aur farmaya:- allah ke siwa koi mabood nahi, arab ke liye tabaahi hai us buraayi se jo qareeb aa chuki hai, aaj ke din yajooj majooj ke liye ek halqe ke baqadar raasta khol diya gaya hai, ye kah kar nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne angoothe aur shahadat ki ungali ko milaakar baandh kar ishaara kiya "
qayamat jab aayegi toh ilm ki kami aur jahaalat ka ghalba ho jaayega, log islam ke faraiz ke baare me bhi la'ilm honge,
nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) farmate hain:-" islam ko is tarah sikhaaya jaayega jis tarah kapde ko naapna sikhaaya jaata hai, hatta ke kisi ko yeh tak maloom na hoga ke ROZA kya hai ? NAMAZ kya hai ? QURBANI kya hai ? Aur HAJJ kya hai ?, ek raat me kitaabullah ko utha liya jaayega aur qur'an ki ek ayat bhi baaqi na rahegi, (zameen par) budhon ki ek jamaat baqi rah jaayegi, jo ye kahte honge ke hamne, apne aaba wa ajdaad ko LA ILAAHA ILLALLAH Kahte hue suna hai, so ham bhi yahi kah rahe hain "
(is hadith ko hakim ne riwayat kiya hai aur muslim ki shart par sahih qaraar diya hai )
haraam cheezon ko aasaan aur manhayaat cheezon ko Sahal samjh liya jaayega, sharaab pi jaayegi, zina aam hoga, dilon me hars daal di jaayegi ?, Harz ki qasrat hogi,
poocha gaya harz kya hai ? nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" qatal(murder) ! Hatta ke qaatil ko ye na maalum hoga ke usne kis liye qatal kiya ? Aur maqtool (marne waale) ye na jaan paayega ke kis liye use qatal kiya gaya ?"
(is hadith ko imam muslim ne riwayat kiya hai )
log duniya ki taraf poori tarah maail ho jaayenge, lambi lambi imaaratein banaayenge, allah ke deen se munh modh lenge, ummat me shirk paida ho jaayega, ummat ke kuch qabeele mushrikon se mil jaayenge,
nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) farmate hain:-" qayamat us waqt tak qayem na hogi jab tak ke meri ummat ke kuch qabeele mushrikon se na mil jaayen aur meri ummat ke kuch qabeele but(idol) parasti me mubtela na ho jaayen "
(rawaah tirmizi)
jab ummat deen se Nikal jaayegi, millat ko zaay kar degi, shariat ko na'pasand karne lagegi toh gumraah ho jaayegi, isi tarah jab ummat wahi (revelation, qur'an) ke elawa dusri cheezon me hidaayat talaash karne lagegi,
nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) farmate hain:-" qayamat us waqt tak qayam na hogi jabtak ke meri ummat pichhli ummaton ki thodi thodi cheezon me pairwi na karne lag jaaye"
(rawaah bukhaari)
"dhoka, jhoot aam ho jaayega, 30 ke qareeb dajjal zaahir honge, (hairat ki baat ye hai ke ) har shakhs samjhe ga ke wah saccha nabi hai, insaano se nek ausaaf utha liye jaayenge, amaanat lautaane waali sifat insaano se khatm kardi jaayegi , kaha jaayega ke:- falan shakhs bada amaanat daar hai aur kya hi accha hai, aqalmand aur kaamyaab insaan hai, halaanke uske dil me raayi ke daane ke baraabar bhi imaan na hoga"
(rawaah bukhaari)
amaanat k zaail karne me ye baat bhi shaamil hai ke na'ahal (ghair amaanat daar) ko kisi cheez ka zimmedaar banaaya jaayega,.....
Hz adam (as) se lekar qayamat ke qayem hone tak dajjal jaisa azeem ul khalqat shakhs koi na hoga, har nabi ne apni ummat ko dajjal ke fitne se daraaya hai, aur nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) har namaz me usse panaah maangte they, aur zyada tar sahaba kiram (ra) se uska tazkirah kiya karte they,
hz nawaas bin sam'aan (rh) kahte hain ke:-" hamen ye ghumaan hone laga ke wah qareeb hi khajoor ke darkhton ke jhund me hoga, jab ham wahan gaye aur use talaash karne lage toh nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:- kya baat hai ? Hamne kaha:- ya rasoollullah ! Aapne subah dajjal ka zikr kiya tha, kabhi aap awaaz buland karte aur aahishta karte, ham samjhne lage ke khajooron ke jhund me hai, nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:- dajjal ke elawa dusri cheezon ka Mujhe tum par khauff hai, agar wah zaahir ho jaaye aur main tum me maujood rahun toh main tumhari dhaal ban jaunga, agar uska khurooj huwa aur main tumhaare darmiyaan na rahun toh har shakhs apna difa kare ! Allah taala har musalman ki hifaazat farmaye "
(rawaah muslim )
jab ilm khatam ho jaayega toh mashriq ki jaanib dajjal niklega, jisse log darr kar bhaag khade honge, aur pahaadon me jama ho jaayenge, wah saari zameen ka chakkar lagaate hue har shaher me daakhil hoga, magar makka aur madeene me daakhil na ho sakega, allah taala ne in dono shahron me dajjal ke daakhil hone ko haraam qaraar diya hai, jab bhi wah inme daakhil hona chahega toh ek farishta nangi talwaar lekar uska istaqbaal karega aur use madeene me daakhil hone se rok dega, madeene me 3 zabar'dast zalzale ke jhatke mahsoos honge, jinse har munaafiq aur kaafir baahir nikal jaayega, madeene se nikalne waali aksar aurtein hongi, hatta ke Ek shakhs apni maa, beti, biwi, aur fufi ke paas aakar unhen is khauff se rassi se baandh dega ke wah dajjal ke paas na chali jaayen,
dajjal ka fitna bahut bada fitna hoga, uske saath do bahti hui nahren hongi, ek me safed paani to dusri me bhadakti hui aag nazar aayegi,
nabi e akram muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" agar koi shakhs use pa le toh us naher ke paas aaye jisme aag nazar aa rahi hai, usme se sar dubo kar uthaaye, usme se paani piye, kyonke wah thanda paani hoga"
(rawaah muslim)
jis nahar me logon ko paani nazar aa raha hoga usme bhadakti hui jalaane waali aag hogi, allah taala dajjal ke zariye, use khuraaq aadat cheezein ata karke apne bandon ko aazmaayega, allah taala jis tarah tamaam cheezon par qaadir hai us taraf ki qudrat use ata ki jaayegi, misaal ke taur par dajjal ka murdon ko zinda karna, khajaano ka uske haathon me hona, uske paas jannat aur jahannum ka Hona, aur uske paas do nahron ka hona, dajjal aasmaan ko baarish barsaane ka huqm dega, toh wah baarish barsaayega, zameen ko podhe ugaane ka huqm dega toh wah ugaaye gi, unki baat na maanne waale par ye musibatein aayengi yani qahat(drought), anaaj ki qillat, chaupaayon ka marna, amwaal ka zaayel hona, wagerah,
aur ye tamaam cheezein allah ki kudrat aur uski marzi se zaahir hongi, uske baad allah taala use aajiz kar dega toh wah na kisi ke qatal par qaadir hoga aur na mardon ko zinda kar sakega...
Allah taala apne bandon ka dajjal ke zariye imtehaan lega, bahut se raah e raast par rahenge, aur bahut se log gumraah ho jaayenge, uske baare me shak karne waale bhi kufr me mubtela ho jaayenge, ahle imaan ke imaan me izaafa hoga, dajjal zameen me kul 40 din qayaam karega, uska ek din ek saal ki tarah, ek din ek mahine ki tarah, ek din ek hafte ki tarah hoga, aur baqiya ayyam aam dino ki tarah honge. Dajjal ki raftaar itni tez hogi jis tarah baadal barasne ke baad laut'ta hai...
Raha ye sawaal ki wah kaisa hoga?
Toh aayen main aapko bataata hun, dajjal naujawaan, bade jism waala, roshan kapde, chaude put'thon waala, ghane baalo aur kaana hoga, uske aulaad na hogi,
hz tamimdarimi (ra) uske baare me kahte hain ke:-" wah bahut bada insaan hoga, mazboot puthon waala hoga, uski dono aankhon ke beech kaafir likha hoga,"
imam safaarini kahte hain ke:-" ham aalim ke liye zaroori hai ke dajjal ke mutaalliq jitni bhi hadith hain unhen aurton, mardon, aur bacchon ke darmiyaan yani aam logon ke darmiyaan phailaayen, khususan hamare is daur me jabke buraaiyan aur fitne aam ho chuke hain, dajjal se bachaane waali bahut si cheezein hain jin me sar fehrist islam ko mazbooti se thaamna aur imaan se labrez hona hai, nez allah taala aur uski sifaat hasana ko qur'an wa sunnat ki roshni me jaanna hai, dajjal Insaan hoga, wah khaayega bhi aur piyega bhi aur allah taala inse paak hai, dajjal ka naam hoga, aur hamara rabb kaana nahi hai, allah taala ko koi maut se qabal na dekh sakega, magar dajjal ko momin aur kaafir donon ke dono dekh sakte hain "
dajjal se bahut zyada panaah maangte raha karo, jo use paa le surah kahaf ki shuruaati aayat padh le,
muslim ke alfaz hain:-" jo shakhs surah kahaf ki ibtedaai ki 10 aayat yaad kar lega"
aur ek riwayat me hai ke:-" aakhiri 10 ayat yaad karega toh wah dajjal se mahfooz rahega"
jab aap dajjal ke baare me sune toh usse door ho jaayen, uske paas na jaayen, ek shakhs dajjal ke paas jaayega us haal me ke wah momin hoga, magar dajjal ke shuqooq ki wajah se wah uski pairwi karne lag jaayega...
Jab dajjal aakhiri zamaane me niklega to uske fitne badh jaayenge, uske maanne walon ki tadaad be'shumaar ho jayegi, thode se musalmaan hi uske shar se mahfooz rahenge, us Waqt hz isa bin maryam (as) mashriqi damishq ke safed minaare se neeche utrenge, momin bande unko gher lenge, dajjal (ko maarne ka) qasad karke wah aur saare momin nikal padenge, us waqt dajjal bait ul muqaddas ke maqaam par hoga, hz isa (as) dajjal ko "baab ladh" ke paas paa lenge, dajjal jab unhe dekhega toh shakht ghabra jaayega,
ba'adah dajjal ke baad hz isa (as) ke mut'tabaen me shakt jung hogi, dajjal hazimiyat uthaayega aur maqtool hoga...
Hz isa (as) ka zamaana bada pur aman aur pur sukoon ka hoga, zameen se kaha jaayega ke:-" ug aa ! Aur apni barkat lauta!"
Us daur me ek jamaat sirf ek anaar se shiqm seer ho jaayegi...... Dhoodh me barqat hi barqat hogi, hatta ke ek oontni ka dhoodh ek bade qabeele ko, gaaye ka dhoodh mutaassid qabeele ko, aur bakri ka dhoodh ek chhote se qabeele ke liye kaafi hoga, zameen me aman hi aman hoga,
sheir (lion) oonton ke saath, cheete gaayon ke saath aur Bhediye bakriyon ke saath charenge, chhote chhote bacche saanpon ke saath khelenge, aur wah unhe kuch nuksaan na pahunchaayenge,uske baad hz isa (as) zameen me 7 din muqeem honge,
phir allah taala sham (syria) ki taraf se ek thandi hawa bhejega jo har shakhs ki rooh qabz kar legi jiske dil me zarrah baraabar bhi imaan hoga,
qayamat is haalat me qayem hogi ke zameen par allah allah kahne waala koi na hoga, sooraj maghrib se tulu hoga, use dekhne waale saare log imaan laayenge, magar us waqt ka imaan unko nafa na dega,
qayamat ki sab se aakhiri qayamat ka elaan karne waali alaamat ek intehaai khatarnaak aag hai, jo yemen se zaahir hogi, lognn ko maidan e hashr ki taraf haankegi, log jahan bhi maujood rahenge, use apne paas paayenge......
Momin bhaiyyon ! Allah ka waada bar'haq hai, qayamat yaqinan aanewaali hai, jo apne aapse ghaafil ho gaya aur apne auqaat zaayel kiye toh wah shadeed hasr o afsos Karega, ummeedein taweel hain, imaaratein fana hone waali hain, jiski ummeedein lambi hongi wah amal karna bhool jaayega aur maut se ghaafil ho jaayega, nek bakht aur khush'kismat wahi hai jo aane waali duniya ke liye zaad e raah aur tosha taiyyar karle,
kisi hakeem ka qaul hai:-" mujhe tajjub hai us shakhs par jo maal ke nuqsaan par gham karta hai, umar ki kami par gham nahi karta"
khoob ji lagaakar ibaadat karen ! Gunaahon par aanshun bahaayen, aur bure kaam se bachne ki dua karte rahen, nek aur accha insaan wahi hai jo apni ummeedein aakhirat ki taraf modh de, fana hone wali duniya se munh pher le,
jab muhammad bin sireen (ra) ke inteqaal ka waqt qareeb huwa toh wah rone lage, sabab poocha gaya toh kaha:-" main apne faarigh auqaat zaayel karne aur aise aise amaal na karne ki wajah se ro raha hun jo jannat ka mustahiq banaate hain"
BY:Abdul mohsin bin abdul qasim
(Imam wa khateeb masjid nabwi)
ALLAH HAMEN QUR'AAN WA SUNNAT PAR AMAL PAIRA HONE KI TAUFEEQ DE.......AMEEN
Read More »
Labels:
IMAAN
Saturday, December 3, 2011
HIJAAB AUR MAUJOODA MUSLIMAH
Bismillahirrahmanirraheem
PARDA:
Aaj kal khawateen bohat advance ho chuki humare yahan parda karna to ab dur ki baat hai khawateen sar pe dupatta rakhna pasand nahi farmatii jab ke yeh bohat sakht gunah hai Aurat Ke Chehre Ke Parde Per Bahot Se Scholars Ka Ikhtelaf Hai
Phir Bhi Hum Agar Dekhein To Bahot Kuch Clear Ho Jata Hai .
Kuch logo ka yeh khayal hai keh aurat agar chehre ke alavaa pooore jism ko dhamp lai tab bhi theek hai..
Magar aaye hum Quran mai daikhain keh wahan sai hamain kya hukum mil raha hai?
"Ayai Nabi(Sallallaho o ta'ala alaihi wasallam) apni biwiyoo,aur apni baaitiyoo ko aur mominoo ki auratoo ko ferma dain keh wooh apnai oper apni chadrain dal liya karain yeh qareeb ter hai keh un ki pahchan ho jai too unhain na sataya jaye aur Allah bakhshnai wala nihayat maherrban hai.
(SURAH AHZAB-59)
"Aur jab tum un (Nabi (Sallallahoota'ala alaihi wasallam) ki biwiyoo)sai koi cheez mango to un se perde ke peeche se mango.Yeh bat tumharai aur un ke diloo ke liye zayadah pakeezah hai."
(SURAH AHZAB-53)
"Aur sabiq dor jahiliyat ki saj dhaj na dikhati phiro."
(SURAH AHZAB-33)
A thoughtful Example
.
Be-Parda Larki ki misal Gulab k Phool ki tarah hai
Aur
Parde’Dar Larki ki misal ek Kali kitarah hai
Her Insan ki fitrat hai ke wo kabhi kali ko nahin torta
Balke phool ko torta hai. Songhta hai aur Thodi dair k baad jab Dil bhar jata hai To masal k Ya tor ke phenk Daita hai
Ab Ye Larki k uper hai ke wo kali ban kar Mehfooz rehna chahti hai ya Phool ban kar tootna chahti hai.
Think About It
Be-Parda aurat Allah K Nazdeek Koi Izzat Nhi Rakhti.
Aurat ki Be-prdagi Mard ki Be'hayaika Saboot he.
Mard ki gherat ka andaza uski aurat k libas or parde se lgaya jatahe.
!
ALLAH amal karny ke Tofiq de...AMEEN
Read More »
Labels:
IMAAN
Sunday, October 9, 2011
JUMAH KE MASAIL WA FAZAIL
BismillahirrahmanirraheemJUMAH, BAHTAREEN DIN(DAY)
" Bahtareen din, jis par suraj nikal(rise) kar chamke, juma ka din hai, isi din hz adam (as) paida hue, isi din jannat me daakhil kiye gaye, isi din jannat se(zameen par) utaare gaye aur qayamat bhi jumah ke din qayam hogi"
( muslim, aljuma, baab youmul juma 854)
JUMAH KI FARZIYAT:
Irshaad bari taala hai:
" aiy iman walon! Jab jumah ke din namaz(juma) ke liye azaan di jaaye to allah ke zikr(khutba aur namaz) ki taraf daudo aur (us waqt) kaarobaar chhod do, agar tum samjho to yah tumhare haq me bahut bahtar hai"
(surah juma)
hz abu jaad jamri ra se riwayat hai ki aap(sws) ne farmaya:-" jo shakhs susti ki wajah se 3 jumah chhod den to allah taala uske dil par muhar laga deta hai"
(abu dawood abwabul juma 1052, tirmizi 499,)
aap(sws) ne farmaya:-" log jumah chhodne se baaz aa jaayen warna allah taala unke dilon par muhar laga dega phir We ghaafil ho jaayenge"
(muslim al juma 865)
hz ibne masud ra se riwayat hai ki aap(sws) ne un logon ke gharon ko jo( susti ki wajah se) jumah se peeche rah jaate hain, jala dene ka iraada kiya"
(muslim, al masjidon 652)
Malum huwa ki juma ka chhodna bahut bada gunah hai, is par kadi warning hai, isliye har musalman par juma padhna farz hai, isme bilkul bhi susti nahi karni chahiye, jab khateeb mimber par chade , aur azaan ho jaaye to saare kaarobaar haraam ho jaate hain
JUMAH KE MASAIL
1- Aap(sws) ne farmaya:-" jiska allah aur aakhirat par imaan hai us par juma farz hai, mareez, musaafir, na-baaligh ladka aur ghulaam juma ki farziyat se bahar hain (agar chaahen to padh len warna johar ki namaz ada karen)
(abu dawood abwabul juma 1067, imam nawawi ne sahih kaha hai)
2- aap(sws) ne farmaya:-" jo shakhs juma ke din khoob acchi tarah nahaaye aur paidal(masjid me) jaaye, imam ke nazdeek Hokar dil lagakar khutba sune aur koi bekaar baat na kare to usko har qadam par ek saal ke roze aur uski raaton ke qayaam ka sawaab hoga"
(tirmizi, al juma 495, abu dawood taharat 345, ibne habban 559, haakim 1/281-282)
hz salman farsi ra se riwayat hai ki, aap(sws) ne farmaya:- jo shakhs juma ke din nahaaye aur jis qadar paaki haasil ho sake kare,( muchen katraaye, naakun kataaye, zere naaf baal kaate, aur bagalon ke baal door kare etc) phir tail(oil) ya apne ghar se khusbu lagaaye aur (juma ke liye) masjid ko jaaye,(wahan) do aadmiyon ke beech raasta na banaaye( balki jahan jagah mile baith jaaye) phir apne muqaddar ki namaz padhe, phir dauraan e khutba khaamosh rahe to uske pichle juma se lekar is jumah tak ke gunah maaf kar diye jaate hain"
(bukhari al juma 883,910)
aap(sws) ne farmaya:-" jo shakhs ghusl karke juma ke liye aata hai aur khutba shuru hone tak jitna ho sake nawafil ada karta hai , phir khutbaa e juma shuru se aakhir tak sunta hai to uske pichle juma se lekar is jumah tak aur zyada 3 din ke gunah maaf kar diye jaate hain"
(muslim al juma 857)
3- hz abdullah bin abbas ra farmate hain:-" masjide nabwi ke baad jo sabse pahla juma padhaya gaya wah bahreen ke gaao(village) juwaasa me abdul qais ki masjid me tha"
(bukhari al juma 892,4371)
isse saabit huwa ki gaaon me bhi jumah padhna zaroori hai agar log gaaon me juma nahi padhenge to gunaagaar honge
hz asad ain zaraara ra ne " naqi ul khazmaat" ke ilaaqe me banu bayaaza ki basti " hazmun nabeet"( jo madeena se 1 meel ke faasle par thi) me juma ka qayam kiya"
(abu dawood al juma 1069, haakim 1/281, ibne khuzaima 1724)
"hz abdullah bin umar ra makka aur madeena ke beech basne waale logon ko juma padhte dekhte to koi aitraaz na karte"
(abdurrazzaq 3/170, hafiz ibne hajar ne sahih kaha hai)
4- hunain ke din baarish ho Rahi thi to aap(sws) ne apne munaadi huqm diya:- aaj apni, apni qayaamgaahon me namaz padhne ka elaan kar do, aur wah juma ka din tha"
(abu dawood al juma 1057,1059, haakim 1/293, ibne khuzaima 1863, ibne habban 439-440)
malum huwa ki baarish ke din juma ki namaz padhni wajib nahi, yani agar baarish ke din juma padh liya jaaye to jaayez hai aur baarish ki wajah se agar juma chhod kar johar padh li jaaye to juma chhodne ka gunaah nahi hoga
5- hz abu hurairah ra se riwayat hai ki nabi akram(sws) ne farmaya:- aaj ke din do eiden(eid aur juma) ikatthi ho gayi hain, jo shakhs sirf eid padhna chahe to use wah kaafi hai, lekin ham (eid aur juma) dono padhenge"
(abu dawood al juma 1070-1071, 1073)
hz abdullah bin zubair ra ke daur me juma ke din eid hui, to unhone namaz eid padhai juma na padhaya, is waqeye ki khabar ibne abbas ra ko mili to unhone farmaya:-" unka yah amal sunnat ke mutabik hai"
( nisaai salatul eidain 1593, imam ibne khuzaima ne sahih kaha hai)
6- aap(sws) ne farmaya:-" agar gunjaish ho to jumah ke liye rozaana istemaal hone waale kapdon ke elawa kapne banaao"
( ibne maaja, iqamatis salaat 1095-1096,)
7- nabi(sws) ne dauraan e khutba goot maarkar baithne se mana farmaya
(tirmizi al juma 513, imam tirmizi ne hasan kaha hai)
goot maarna us tarah baithne ko kahte hain ki haath ya kapde ke saath raanon ko pet se milaakar baithen, is tarah baithne se aam taur par neend aa jaati hai, phir aadmi khutba nahi sun sakta, iske elawa is haalat me aadmi aksar gir padhta hai (aur sharmgaah ke be hijaab hone ki gunjaaish hoti hai)
8-Hz jaabin bin samurra ra se riwayat hai ki aap(sws) khade hokar khutba dete aur do khutbon ke beech baithte, jo shakhs yah kahe ki aap baithkar khutba dete they usne ghalat bayan kiya"
(muslim al juma 862)
9- hz kaab bin ujra ra se riwayat hai ki Wah masjid me daakhil hue aur abdurrahman bin ummul hakam baithe hue khutba de rahe they, hz kaab ra ne kaha:-" is khabees ki taraf dekho, baithe huwe khutba deta hai, jabki allah taala farmata hai:- aur jab ye log koi sauda bikta hai ya ko tamasha dekhte hain to uski taraf bhaag uthte hain aur aapko(khutbe me) khaada ki chhod dete hai(al jumah 11)
(muslim al juma 864)
malum huwa ki baithkar khutba dena khilaaf e sunnat hai
aap(sws) ne jumah ka khutba diya, aapke sar par siyaah rang ki pagdi thi, uske dono sire aap ne kandhon ke beech chhode hue they"
(muslim al hajj 1359)
10- aap(sws) ne juma ke din masjid me namaz e juma se pahle halqa banaane se mana farmaya"
(abu dawood al juma 1079, tirmizi salaat 322, waqaal hadith hasan, imam ibne khuzaima (1816) ne ise sahih kaha hai)
isliye jo ulama juma se pahle taqreer karte hain unhe is amal ko tarq kar dena chahiye
11- hz anas ra kahte hain ki aap(sws) shiddat ki sardi(cold) me juma ki namaz subah padhte they, aur shiddat ke garmi me der se padhte they"
(bukhari al juma 906)
12- hz jaabir ra kahte hain ki jab aap(sws) khutba irshad farmate to aapki aankhen shurkh ho jaati, aawaaz buland hoti aur josh me aa jaate they, maano ki aap hamen kisi lashkar se dara rahen hain jo subah ya shaam par hamla karne waala hai aur farmate:-" main aur qayamat saath saath is tarah bheje gaye hain" aap apne shahadat ki aur beech ki ungaliyon ko milaate"
(muslim al juma 867)
13- nabi (sws) ne farmaya:- "(imam ke saath) jitni namaz mile wah padho aur jo rah jaaye use poora karo"
(muslim al masjidon 602)
is hadith ki ru se namaz e juma ki dusri rakat ke sazda ya tashahhud ko paane waala( salaam phirne ke baad uthkar) do rakaten ki padhega(4 nahi) kyonki uski chhooti hui namaz do rakatein hain 4 rakatein nahi,
JUMAH ME PAHLE AANE WALON KO SAWAAB:
hz abu hurairah ra kahte hai ki aap (sws) ne farmaya:- " farishte juma ke din masjid ke darwaze par (sawaab likhne ke liye) thaharte hain aur sabse pahle aane waale ka naam likh lete hain phir uske baad aane waala ka(consecutively likhte jaate hain), jo shakhs namaz e juma ke liye awwal waqt me masjid me aata hai uska utna sawaab milta hai jina makka me qurbani ke liye oont bhejne waale ko sawaab milta hai, phir jo baad me aata hai usko utna sawaab milta hai jitna makka me qurbani ke liye gaaye(cow) bhejne waale ko milta hai, iske baad aane waalo ko dumba bhejne waale ke barabar, uske baad aane waale ko murgi aur uske baad aane waale ko anda(egg) sadqa karne waale ki tarah ajar milta hai, phir jab imam, khutba dene ke liye nikalta hai to farishte daftar(register) lapet lete hain aur khutba sunne lagte hain"
(bukhari, al jumah 929,3211, muslim 850)
Aap(sws) ne farmaya:- jumah ke din ek aisi ghadi(waqt) hai ki jo musalman us ghadi me allah taala se bhalaayi ka sawaal kare to allah taala usko qubool karta hai"
(bukhari al juma 935, muslim 852)
KHUTBA KE MASAIL:
1- Aap(sws) do khutbe irshaad farmate, unke beech baithte , khutba me quran majeed padhte aur logon ko nasihat karte, aap(sws) ki namaz bhi ausat(average) darje ki aur kutba bhi ausat(average) darje ka hota tha"
(muslim al juma 866)
aapne farmaya ki:-" aadmi ki lambi namaz aur mukhtasar khutba aqalmandi ki alaamat hai to namaz( aam namazon ki tarah) lambi karo aur khutba(aam khutbon ki tarah) chota karo"
(muslim al juma 969)
2- nabi(sws) khutba e juma me surah qaaf ki tilawat farmate they
(muslim al juma 872-873)
3- hz abu hurairah ra riwayat karte hain ki aap(sws) ne farmaya:- jumah ke khutbe me jab tu apne paas baithne waalo(nasihat ke taur par) kahe "chup raho" to beshak Beshak tune bhi bekaar kaam kiya"
(bukhari al juma 934, muslim al juma 851)
isse saabit huwa ki dauraan e khutba(logon ko aapas me) kisi qism ki baat karni jayez nahi hai, badi khamoshi se khutba sunna chahiye,(albatta imam aur muqtadi zarurat ke waqt ek dusre se mukhaatib ho sakte hain)
4- hz ibne umar ra kahte hain ki aap(sws) ne isse mana farmaya hai ki aadmi apne bhai ko uthakar uski jagah par baithe, nafi se pucha gaya ki sirf jumah me mana hai? Farmane lage jumah me aur uske elawa bhi"
(bukhari al juma 911,6269, 6270)
5- hz ammara bin raweba ra se riwayat hai ki unhone bashir bin marwan ko juma ke din mimber par dono haath uthate hue dekha, to farmaya:- allah taala in dono haathon ko halaak kare, nabi(sws) khutba me sirf ek haath ki shahadat waali ungali se ishaara karte they"
(muslim al juma 874, abu dawood al juma 1104)
6- nabi(sws) ne khade hokar khutba diya aur aapke haath me asa ya kamaan thi
(abu dawood al juma 1096, imam ibne khuzaima ne sahi kaha hai)
nabi akram(sws) do khutbe dete aur unke beech baithte they
(bukhari 928)
JOHAR KI BID'AT
Kuch log namaz e juma ke elawa " juhar ehtiyaati" padhte aur uska fatawa bhi dete hain, jabki aap(sws) ki zaat paak aur aapke anginat sahaba kiram ra se juma ke baad namaz juhar ka padhna kahin saabit nahi, ham hairaan hain ki namaz e juma ada kar lene ke baad (ehtiyaati) juhar ke farz padhne waale aur padhne ka huqm dene waale allah taala ko kya jawab denge. Maaz'allah kya aap(sws) juma ke baad juhar padhna aur logon ko batana bhool gaye they jo baad me aane waale logon ne ijaad karke takmeele deen ki hai? Ahtiyaati padhne waalon allah se daro, aur rasoollullah(sws) se aage na badho, nabi akram(sws) ki aawaaz se apni aawaaz unchi na karo
SIRF JUMAH KE DIN ROZA RAKHNA:
Nabi(sws) ne jumah ka din roza ke liye aur jumah ki raat(jumeraat aur jumah ki beech ki raat) ko ibadat ke liye khaas karne se mana farmaya
(muslim al siyaam 144)
JUMAH KA DIN AUR DUROOD SHAREEF KI ZYADATI
"aap(sws) ne farmaya:- jumah ke din mujh par kasrat se durood bhejo tumhara durood mujhe pahunchaaya jaata hai"
(abu dawood al juma 1047, imam haakim aur zahbi ne ise sahih kaha hai)
JUMAH KI AZAAN:
hz sayeeb bin yazid ra se riwayat hai ki aap(sws), hz abu bakr aur hz umar ra ke daur me juma ki azaan us waqt hoti thi jab imam, khutba ke liye mimber par baithta, jab hz usman ra khalifa bane aur log zyada ho gaye to zora(jagah) par ek aur azaan di jaane lagi, imam bukhari rh farmate hain: jora madeena ke bazaar me ek maqaam hai"
(bukhari al jumah 912,913,915,916)
masjid ke andar imam ke khutbe se pahle sirf ek azaan hai, zyadatar masjidon me usse pahle di jaane waali azaan ka suboot hz usman ke daur se bhi nahi hai, isliye isse bachna chahiye
NOTE: jumah ke din pahli azaan ki daleel yah hai ki nabwi daur me madina munawwara aur uski aabadi ki bheed kuch kam thi, logon ko aasaani se ilm ho Jaata tha, usmani daur me jab aabaadi zyada ho gayi to tamaam log azaan sun nahi paate they jiska laazmi nateeja yah nikla ki badhti mashroofiyat ka shikaar, kai log masjid me waqt rahte pahunchane se majboor ho gaye uska intezaami hal yah nikala gaya ki pahle masjid se bahar bazaar ke andar, zora ke maqaam par azaam di jaati, uske kuch hi der baad masjid nabawi me dusri azaan ho jaati, hz usman ra ka yah kaam bid'at nahi hai kyonki hz usman ra khulefa e rashideen me se hain, unke daur me madina munawwara me jab pahli baar azaan ki zarurat mahsus ki gayi to unhone use sharai huqm ke taur par nahi, balki sirf maujood waqt ke hal ke taur par jaari kiya tha jise baaqi sahaba kiraam ra ki umoomi ijma ho jaaye wah bidat nahi huwa karti
DUWA KI DARKHWAST
Read More »
Labels:
IMAAN
Thursday, October 6, 2011
NABI, AWLIYA-ALLAH, JINNAT, MUSHRIK, SHAITAAN, SE SAWAAL-JAWAAB
Bismillahirrahmanirraheem
ALLAH KI ADAALAT ME HAAJIRI KA BAYAN
" Tere rabb ki kasam! Ham un sabse puchenge ki tum (duniya me) kya karte rahe they"
(surah hijr 92,93)
FARISHTON SE JAWAB TALBI
" jis din allah taala saare insaanon ko ikattha karenge phir farishton se puchenge kya ye (mushriq) tumhari ibadat kiya karte they? Farishte arz karenge aapki zaat shareekon se paak hai hamaare mabood aap hi hain naa ki yah, asal me ye jinno ki ibadat kiya karte they aur un mushrikon ki zyadatar tadaad un par imaan laayi hui thi(us waqt kaha jaayega) aaj tumme koi dusse ko faayeda ya nuksaan nahi pahuncha sakta aur zaalimon(yani mushrik) se ham kahenge us aag ka maza chakkho jise tum jhutlaaya karte they"
(surah saba 40-42)
RASOOLON SE JAWAB TALBI
" Jis din allah taala saare rasoolon ko jama karke puchega tumhe kya jawab diya gaya? We arz karenge hamko pata nahi, ghaib ka ilm rakhne waale to aap Hi hain"
(surah maida 109)
" aur jab rasoolon ki haajiri ka waqt aa pahunchega"
(surah mursalat 11)
HZ ISA (AS) SE JAWAB TALBI
" Aur jab allah taala(isa as se) puchenge:-" aiy isa bin maryam! Kya tune logon se kaha tha ki mujhe aur meri maa ko mabood bana lo? Isa (as) arz karenge:- subhanallah mera yah kaam na tha ki main aisi baat kahta jiska mujhe haq na tha agar maine aisi baat kahi hoti to aapko zaroor pata hota jo kuch mere dil me hai aap baakhoobi jaante hain lekin jo kuch aapke dil me hai main wah nahi jaanta aapki zaat to ghaib ki baaton se khoob waqif hai maine unhe iske siwa kuch nahi kaha jiska aapne mujhe huqm diya tha wah yah ki allah ki ibadat karo jo mera rab hai aur tumhara bhi rabb hai jab tak main unke beech tha unka haal dekhta raha jab tune mujhe (aasmano par) utha liya to phir tu hi nigahbaan tha aur har cheez ke nigahbaan to aap hi hain ab agar aap inhe azaab den to we Aapke bande hain aur agar maaf farma den to aap ghaalib aur hiqmat waale hain"
(surah maida 116-118)
AULIYA ALLAH SE JAWAB TALBI
" jis din allah taala mushrikon aur unke thahraaye hue maboodon(auliya ,wali, peer) ko jinki wah allah ke elawa ibadat karte they ikattha karega aur puchega:-" kya tune mere bandon ko gumrah kiya ya we khud ki seedhi raah se bhatak gaye?? We arz karenge, subhaallah hamari yah majaal kahan thi ki aapke elawa kisi dusre ko apna mabood banaaye aapne khud ki inhe aur unke maboodon khoob samaane zindagi diya yaha n tak ki ye aapki yaad bhool gaye, aur khasaara uthane waalon mese hokar rah gaye"
( surah furqaan 17-18)
JINNAT AUR INSAANON SE JAWAB TALBI
" Aiy giroh jinn wa insan ! Kya tumhare paas khud tumhi mese we paigambar nahi aaye they jo tumko meri ayat sunaate aur aaj ke din ke anjaam se daraate? We arz karenge, haan ham apne khilaaf khud gawahi dete hain, Duniya ki zindagi ne inhe dhoke ka shikaar bana rakha tha, we khud apne khilaaf gawahi denge ki we beshak hi kaafir they"
(anaam 130)
MUSHRIKON SE JAWAB TALBI
" jis din allah unhe pukaarega aur puchega mere we shareek kahan hain jinhe tum(mera shareek) samjhte they? Jin par yah sawaal sab saabit hoga (yani mushrik) we jawab denge aiy hamare rabb! Beshak yahi we log they jinhe hamne gumrah kiya aur unhe hamne isi tarah gumraah kiya jis tarah ham khud gumrah hue (yani unhe gumraah karne ke liye koi jabardasti ya zabr nahi daala) ham aapke saamne(unki gumraahi se) baraa'at karte hain ( ye apni gumrahi ke khud zimmedaar hain) ye hamari bandagi nahi karte they( balki apni nafs ki bandgi karte they) phir mushrik se kaha jaayega zara pukaara apne thahraaye hue shareekon ko chunanche mushrik apne shareekon ko pukaarenge lekin we unhe koi jawab nahi denge aur ( mushrik apni aankhon se apne shirk ka) azab Dekh lenge (aur tamanna karenge) kaash we seedhe raaste par hote, us din allah taala(mushrikon) ko pukaarega aur yah bhi puchega zara yah to batao tumne rasoolon ko kya jawab diya tha? Us waqt we saari (mushkirana daleelen) bhool jaayenge aur we ek dusre se bhi puch nahi sakenge"
(surah qasas 62-66)
SHAITAAN KA JAWAB
" uska saathi(shaitaan) arz karega:-" aiy mere rabb ! Maine ise sarkash nahi banaya tha balki ye khud parle darje ki gumrahi ka shikaar tha" irshaad hoga,meri adaalat me jhagda mat karo main tumhe pahle hi is bure anjaam se khabardaar kar chuka hun hamara faisla badla nahi jaata aur main bandon par zulm karne waala nahi hun"
(surah qaaf 27-28)
Read More »
Labels:
IMAAN
MAIDAAN-E-HASHR KI HOLNAKIYAN
Bismillahirrahmanirraheem
HASHR KI HOLNAKIYAN
HASHR KI HOLNAAKI MAUT AUR KABR KI SHAKHTI SE KAHIN ZYADA HOGI:
" hz anas bin malik ra kahte hain ki aap(sws) ne farmaya:-" jab se allah taala ne insaan ko paida kiya tab se us par maut se zyada shakht koi waqt nahi aaya aur phir maut ke baad ke marhale maut se bhi zyada shakht hain, beshak log hashr ke din ki shakhti se do chaar hone wale hain jisse paseene(sweat) ki lagaam aayi hogi( paseena itna bah raha hoga ki) agar us paseene me kashtiyan chalaayi jaayem to we chalne lagen"
(tabrani attargheeb, juz rabe 5258)
HASHR KI GARMI , PASEENA AUR LAMBI MUDDAT SE TANG AAKAR LOG DUWA KARENGE YA ALLAH! HAMEN HASHR SE NEJAAT DE CHAAHE JAHNNAM ME HI BHEJ DE
" hz abdullah bin masud ra se riwayat hai kh aap(sws) ne farmaya:-" qayamat ke din ek shakhs ko paseene ki(muh tak) lagaam aayi hui hogi aur wah dua magenge aiy mere rab! Is musibat se mujhe nejad de Chahe jahannum me hi bhej de"
(tabrani 5260)
JIS TARAH TEER KAMAAN SE BADI MUSHKIL SE TAHARTA HAI USI TARAH LOG HASHR ME BADI MUSHKIL SE 50,000 SAAL TAK KA ARSA GUZAARENGE
"Hz abdullah bin amr bin aas ra se riwayat hai ki aap(sws) ne quran majeed ki yah aayat tilawat farmayi " jis din log rabbul aalameen ki adalat me khade honge"(mutaffifin 6) aap sws ne irshad farmaya " us waqt tumhara kya haal hoga jab allah taala tumhe 50,000 saal ke liye is tarah ikattha karega jis tarah teer ko kamaan me(shikaar ke waqt) daala jaata hai aur tumhari taraf(itna waqt) nazar bhi na karega"
(haakim kitabul ahwaal 5/8747)
KAFFIRON KO HASHR ME MAUT KI GASHI JAISI TAKLEEF KA SAAMNA HOGA, JABKI AHLE IMAN KO ZUKHAM JAISI TAKLEEF HOGI
" Hz anas ra kahte hai allah ke nabi sws ne mujhe kaha ki main apni ummat ke intezaar me siraat par khada hunga taaki we pul paar karen, achanak hz isa as aayenge aur kahenge:- aiy Muhammad (sws)! Yah ambiya aaye hain aur kuch puchte hai ya yun kaha saare ambiya aapki khidmat me haajir hue hai ki aap allah taala se dua farmaye taaki jis taqleef ka we shikaar hain usse nejad mile, logon ko paseene ki lagaam aayi hngi, ahle iman ko hashr ki taqleef zukham ki taqleef jaisi hogi. Jabki kaafir ko hashr ki takleef maut ki ghashi jaisi hogi
(majmua uz zawaid, ahmad bab fis safaat 10/18506)
HASHR ME SOORAJ KI GARMI:
MAIDAN E HASHR ME SURAJ EK MILES KE FAASLE PAR HOGA AUR LOG APNE APNE AMALON KE MUTABIK PASEENE ME DOOBE HONGE:
" hz miqdad bin aswad ra kahte hain maine aap(sws) ko farmate hue suna:-" qayamat ke din suraj makhlook se meel(miles) bhar ke faasle par aa jaayega aur log apne amalon ke mutabik paseene me doobe hue honge koi takhno tak dooba hoga aur ghutno tak dooba hoga kisi ko paseene ki lagaam aayi hogi" yah farmate hue aap(sws) ne apne haath se apne muh ki taraf Ishara farmaya"
(muslim kitabul jannah)
hz aqba bin amir ra kahte hain maine aap(sws) ko farmate hue suna ki " qayamat ke din suraj zameen ke qareeb aa jaayega aur logon ko paseena aa raha hoga, kisi ka paseena aidi tak hoga,kisi ka paseena aadhi pindaliyon tak hoga, kisi ka paseena ghutno tak hoga, kisi ka paseena peeth tak hoga , kisi ka paseena kamar tak hoga,kisi ka paseena uske kandhon tak hoga, kisi ka paseena uski gardan tak hoga, kisi ka paseena muh ke beech tak hoga" aap(sws) ne apne daste mubarak se is tarah ishara farmaya jaise kisi ke muh me lagaam ho, hz uqba bin amir ra kahte hain maine dekha rasoole akram (sws) ne(apne haath se) yun ishara farmaya:- aur koi apne paseene me duba huwa hoga,"
(ahmad, tabrani, hibban, haakim, abwaab tafsirul quran baab surah mutaffifeen 3/2656)
hz abu hurairah ra se riwayat hai ki aap(sws) ne farmaya:-" qayamat ke din logon ka paseena zameen me 70 baa (approx 140 metre) tak jaayega kuch logon ke muh aur kuch logon ke kaano tak paseena hoga"
(muslim kitabul jannah)
Read More »
Labels:
IMAAN
QABRON SE UTHANE KA BAYAN
Bismillahirrahmanirraheem
QABRON SE UTHANE KA BAYAN:
MASLA:1- LOG APNI QABRON SE SHAKHT GHABRAHAT KI KAIFIYAT SE UTHENGE:
"jis din soor phunka jayega us din zameen aur aasman ke saari makhlooq ghabra uthenge siwaaye uske jise allah ghabrahat se bacha le aur saare log bila chun chara allah ke saame haajir ho jaayenge"
(surah namal 87)
Tashrih: ghabrahat se safe rahne walon me ambiya, shohada aur farishte shamil honge, kuch ke nazdeek tamam ahle imam bhi isme shamil hain
MASLA-2 JIS SHAKHS KO JAANWAR NE KHAAYA HOGA WAH JAANWAR KE PAIT SE UTHEGA JO AADMI PAANI ME DOOBA HOGA WAH PAANI SE UTHEGA JISKI RAAKH HAWA ME UDAAYI GAYI HOGI WAH HAWA ME SE UTH KHADA HOGA:
" Hz anas bin malik ra kahte hain uhud ke din rasool e akram(sws) hz hamza ra ki laash par tashrif laaye aur dekha ki unka musla kiya gaya hai to irshad farmaya:- agar safiya apne dil me naagwaari mahsus na karti to main hamza ko isi Haalat me rahne deta taaki use jaanwar kha jaayen aur wah qayamat ke din unke peton se uthen"
(tirmizi, bab janaiz 1/811)
MASLA 3- LOG APNI QABRON SE IS TEZI SE UTHENGE JIS TEZI SE TIDDIYAN FIZA ME BIKHARTI HAIN:
" Jis din pukaarne waala (farishta) ek napasandida cheez ki taraf pukaarega to log apni qabron se bikhri hui tiddiyon ki maanind is haal me uthenge ki unki aankhen(zillat wa ruswayi ki wajah se) jhuki hui hongi, log pukaarne wale ki taraf daudenge aur kahenge aaj ka din bada mushkil hai"
(surah qamar 6-8)
MASLA-4 LOG APNI QABRON SE NANGE BADAN , NANGE PAIR, AUR BE-KHATNA UTHENGE:
" Hz aisha ra kahti hain ki maine aap(sws) ko farmate hue suna:-" log qayamat ke din nange pair, nange badan, aur khatna ke bina ikatthe kiye jaayenge" maine kaha-" aiy allah ke rasool(sws)! Kya sab mard aur aurten ek dusre ki taraf nahi dekhenge?" aap(sws) ne farmaya-" aiy aisha! Wah din itna shakht hoga Ki kisi ko ek dusre ki taraf dekhne ka hosh nahi hoga"
(muslim, kitabul jannah)
MASLA 5- KUCH LOG APNI QABRON SE ANDHE BANAKAR UTHAAYE JAAYENGE!
" jo shakhs meri yaad se muh modega uski( duniya me) zindagi mushkil bhari hogi aur qayamat ke din ham use andha karke uthayenge, wah kahega aiy mere rabb! Tune mujhe andha karke kyon uthaya hai main to dekhne waala tha, irshad hoga, jis tarah hamari aayat tumhare paas aayi aur tune unhe bhula diya isi tarah aaj tu bhi bhula diya jaayega"
(surah taaha 124-126)
MASLA 6- KUCH LOG GUNGE, ANDHE, AUR BAHRE BANAKAR AUNDHE MUH UTHAAYE JAAYENGE:
" aur qayamat ke in ham unhe muh ke bal andhe, gunge, aur bahre banaakar uthayenge unka thikaana jahannum hai jab bhi uski aag dheemi hone lagegi, ham use aur bhadka denge"
(al isra 97)
MASLA 7- QABR SE NIKALTE HI DO FARISHTE INSAN KO DABOCH KAR ALLAH TAALA KI ADALAT ME LE AAYENGE:
" Kaash tum dekh sako jab Log ghabraaye phir rahe honge aur kahin bachkar na ja sakenge balki qareeb ki se pakad kiya jaayega"
(saba 51)
" har shakhs allah ki adaalat me haazir ho jaayega is haal me ki uske saath ek haankne waala aur ek gawaahi dene waala hoga"
(surah qaaf 21)
tashrih: haakne waala aur gawahi dene waala, dono farishte honge jo duniya me insan ka amal naama taiyyar karne ke liye uske saath rahe
MASLA 8- KAAFIR APNI QABAR SE UTHANE KE BAAD BADI ZILLAT AUR RUSWAYI KE SAATH APNE APNE MAQAAM HISAAB TAK PAHUNCHEGE:
" jis din ye apni qabron se nikal kar is tarah tezi se daude ja rahe honge jaise apne buton ki tarah daude ja rahe hain(us din) unki nigaahein jhuki hui hongi, zillat un par chhaayi hogi yah wah din hoga jiska unse waayeda kiya gaya hai"
(surah muarij 43-44)
MASLA 9- AHLE IMAAN APNI QABRON SE BINA DARHI MOONCH AUR SURMUNGI AANKHON KE SAATH 30 SAALA UMAR KE SAATH UTHENGE:
" hz muaz bin jabal Ra kahte hai ki aap(sws) ne farmaya:-" qayamat ke din momin bina darhi moonch aur surmughi aankhon ke saath 30 saal ki umar ke saath uthaaye jaayenge"
(musnad ahmad juz aashir 18346)
MASLA 10- KAPDE PAHNAAYA JAANA
" Hz abdullah bin abbas ra kahte hain ki aap(sws) ne farmaya "tum log nange pair aur nange badan ikatta kiye jaaoge sabse pahle jannat ka libaas pahnaya jaayega wo hz ibraheem as honge unhe jannat ka libas pahnaya jaayega aur unke liye ek kursi lakar arsh ki daayin taraf rakh di jaayegi phir mere liye jannat se libaas laaya jaayega aur mujhe pahnaya jaayega jo kisi dusre aadmi ko naì pahnaya jaayega phir mere liye kursi laayi jaayegi aur arsh ke paaye ke paas rakh di jaayegi"
(baihaqi tazkira lil qurtabi abwabul maut)
Read More »
Labels:
IMAAN
Thursday, September 22, 2011
SEEDHA RAASTA
BismillahirrahmanirraheemAl-Quran:
Allah Ta'la aur iskey Farishtey Nabi (Sallallah u Alaihi Wasallam) per Rehmat bhejtey hain,
Ae Iman waalo! tum bhi in per Durood bhejo aur khoob Salaam bhejtey raha karo
(Surah Al-Ahzaab, V# 56)
Hadees: Abdullah Bin Masood Raziallahu Anhu se rivayat hai k Rasulullah Sallallahu Alaihi Wasallam ne ek seedhi lakeer khenchi, phir fermaya: "ye Allah ka raasta hai" Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne iskey daen aur baen ( right and left) chand lakeerain khenchi aur fermaya: "ye mukhtalif raastey hain, in main se her ek raastey per Shetaan hai.
(Musnad Ahmed)
Phir Aap Sallallahu Alaihi Wasallam ne ye Ayat tilawat fermae:
"aur yaqeenan ye mera seedha raasta hai, lihaza tum isi ki pairwi karo aur tum doosrey raaston ki pairwi na karo, woh tumhain (Allah) ke raastey se alag ker daingey
(Al-An'aam , V#153)
Read More »
Labels:
IMAAN
Wednesday, September 21, 2011
Itaat-e-Ra sool Baisat-e-Mohabbat Elahi hai
BismillahirrahmanirraheenItaat-e-Ra sool Baisat-e-Mohabbat Elahi hai
Rasool{sall’Allaahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} hi wo hasti hai jiski pairwe karne se Allah-Taala mohabbat karta hai, Allah-Taala farmata hai:-
Aye Rasool{sall’All aahu ta’aalaa alaihi wa’ sallam} !kah dijiye agar tum Allah-Taala se mohabbat rakhte ho to meri tabedari(yani pearwe) karo [meri pearwe karoge to] khud Allah-Taala tumse mohabbat karega aur tumhare gunah ko maaf farma dega aur Allah-Taala bada bakashne wala maherbaan hai.
(Surah-Al-Imraan, Aayat-No---31)
kah dijiye! ke Allah-Taala aur Rasool{sall’All aahu ta’aalaa alaihi wa’sallam} ki itaat karo, agar ye monh pher le to beshak Allah- Taala kafiron ko dost nahi rakhta.
(Surah-Al-Imraan, Aayat-No---32)
Rasool Hi Hakim Hota Hai
Rasool hi wo hasti hai jisko apne tamaam ikhtilafaat me faisla karne wala manna aur uske faisle ko bina kisi jhijhak ke taslim karna haqiqi Emaan hai,
Jaisa ke Irshad- E-B aari-Taala hai:-
Qasam hai tere Parwardigar ki! ye Emaandar nahi ho sakte jabtak ke tamaam aapas ke ikhtilafaat me apko hakim na maan le, phir jo faisle aap inme kar de inme se apne dil me kisi tarah ki tangdasti aur nakhushi na paye aur farmabardari ke sath qabool karle.
(Surah-Al-Nisha , Aayat-No---65)
is Aayat se maloom hua ke tamaam ikhtilafaat me Rasool akhri sanad hai, jo log apne malomaat me kisi gair Nabi ko sanad mante hain, iske Qaool-wa- Faal ko bina jhijhak aur be-dalil taslim karte hain, wo log isko Nabi ka darjah de dete hain, aur is Aayat se pata chala ke aise hi log momin nahi ho sakte.
Rasool Shariyat-e -Elaahi Ko Batane Wala Hota Hai
Rasool hi wo hasti hai jo apne Ohde (yani post) ke lihaz se is baat ka haq-dar hai ke wo Allah ke liye shariyat ki Tasrih-wa- Tauzeeh kar sake, dosre ko ye haq nahi pahunchta ke wo Tasrih-wa- Tauzeeh kar sake, Allah-Taal a Farmata hai:-
"Aye Mohammad{sws}! ye zikr (yani kitaab) humne aap ki taraf utara hai ke logon ki janib jo (shariyat) nazil farmaya gaya hai aap isse khol khol kar biyaan karde, shayad ke wo Gaoor-wa-Fikr kare.
(Surah-Al-Nahal , Aayat-No---44)
Rasool ke Qauool-wa- Faal Ki Mukhalfat Fitna-e-Azim Hai
Rasool{sws} hi wo hasti hai jiske Qauool-wa- Faal ki mukhalfat karna Fitna-e-Azim ko dawat deta hai,
Allah-Taal a ka irshad hai:-
Sono! jo log Rasool ke hukum ki mukhalfat karte hain inhe darte rahna chahiye ke kahi in par koi zabar- dast aafat na apade ya inhe dard- naak Aazaab na pahunche.
( Surah-Al-Noor, Aayat-No---63)
Read More »
Labels:
IMAAN
Subscribe to:
Posts (Atom)










