Showing posts with label DARS-E-HADITH. Show all posts

Monday, April 29, 2013

GIRGIT KO MAARNE KA HUQM








Rasule maqbool s.a.w Ne Frmaya


"jo Chhipkali (ya girgit) Ko Pahli Chot Me Mar Dalega Usko Itni Nekiya Milegi Aur Jo Dusari Chot Me Marega Usko Itani Itni (yani pahli se kam) Nekiya Milegi Aur Jo Teesri Chot Me Marega Usko Dusari Martaba wale Se Kam Nekiya Milegi "

[Sahi Muslim 2240 , Ibne Majah 3229] 



Note : Kyo Ki Hzrt Ibrahim a.s Ko Aag Me Dala Gaya To Tamam Duniya Ke Janwar Usko Bujhane Me Mashghul The Lekin Girgit Usme Phunk Mar Markar Usko Jalata Tha Chunache Ap s.a.w Ne Ise Fasiq Aur Qatl Krne Ka Hukm Dia

Read More »

Sunday, March 24, 2013

MAA BAAP KE HUQOOQ





ALLAH TAALA NE FARMAAYA:


"Aur tere Parwardigaar Ne huqm De Rakha hai ke Mere Elaawa Kisi ki Ibaadat Mat karo, Aur Apne Maa Baap Se Acchha Sulook Kiya Karna, Agar Unme Ka ek Ya Dono Teri Maujoodagi Me Budhaape Ko Pahunche ( toh unki Khidmat karte hue) Tum Unko ' uff' tak Bhi Na kahna Aur Na Unko Jhidakna Aur Na unko Taqleef Dena (warna unka Zara sa bhi Dil toota Toh Teri Khair Nahin),

Aur Muhabbat Se unke Aage Jhuk Jaaya Karna Aur (Unke Liye Dua Karte Hue ) Kaha Karna Ki

Aiy mere Parwardigaar ! Un dono Par Raham Farma, Jaisa Ki Unhone Mujhe Bachpan Me paala Posa"

(Surah bani Israel ayat 23-24)


Is aayat Se umoom Se Jamhoor Ulema Ne Yahi Huqm Nikaala Hai Ki

Maa , Baap ko Kisi Bhi Tarah Ka Zara Sa bhi Takleef Pahunchaana Haraam Hai.

Read More »

ROZI KITNI MILEGI







Anas Bin Malik(Radiallahu Anhu) Se Rivayat Hai
Ki Rasoollallah(Sallallhu Alaihi Wasallam) Ne
Farmaya


"Raham-E-Madar Mein(Yani Maa Ke
Pait Mein) Allah Ta'ala Ne Ek Farishta Muqarrar
Kiya Hai,


Wo Kahta Hai Eh Rab Ye Nutfa(Semen)
Hai,

Eh Rab Ab Ye Alqa(Clot) Ho Gaya Hai,


Eh
Rab Ab Ye Mudhga(Little Lump Of Flesh) Ho
Gaya Hai,


Phir Jab Allah Chahta Hai Ki Uski
Khalqat Puri Karey To(Farishta) Puchta Hai


Ladka Hai Ya Ladki?,

Bad Bakht Ya Neik Bakht?


Rozi Kitni Milegi?


Aur Umar Kitni Hai.


Phir Maa
Ke Pait Mein Hi Ye Tamam Baatein Likh Di Jati
Hai.



(Sahih Bukhari, Vol1, 318)
 

Read More »

Monday, August 27, 2012

==========REPLY TO THE CHALLENGE BY HANFI ON AHLUL HADITH ============ REPLY OF AL L 14 ALLEGATIONS BASED ON QUR’AN AND HADITH

BISMILLAHIRRAHMANIRRAHEEM



1)//Ahle Hadith Janaze me Pahli takbeer ke baad, Sana, Fatiha aur Soora Parhte hain, //



Reply:- Aisha siddiqa ra se riwayat hai Allah ke Rasool sws Namaz shuru kerte to kahte “ Subhanaka Allahuma wa behamdika wa tabaraksmoka wa ta’ala jaddoka wa la ilaha gairoka :Tirmizi: 243



Talha bin Abdulllah ra kahte hai ke maine ibne Abbas ra ke piche namaze janaza parha unhone soorat Fatiha aur ek aur soorat parhi aur bulnad aawaaz se Qeraat ki hatta ke hum ne suna , jab faarig hue to fermaya ke ye sunnat aur Haq hai.Nisai: 1987, 74/4_________________________________________________________________



2)// Ahle Hadith Janaze me 1 se Jyada Dua parhte hain.//



Reply:-



“Allahumagfirli hayyena wa mayyetena , wa sageerena wa kabeerena, wa jakirena wa unsaana, wa shahedena wa gaibena , Allahuma man ahyaytahu minna fa ahyehi alal Imaan, wa man tawaffaytahu minna Fatawaffahu alal islam, Allahuma la tahrimna azrahu wala todillana baa’dahu. “Abu dawood 3201.



Allahumagfirlahu wa rahmatahu wa a’afehi, wa a’afo anho wakrim nuzulohu wa wassi’a mood khalahu wagsilhu bil maa’I was salji wal bardi wa maqqihi minal khataya kama naqqaayatas sauba al baida minad danasi wab dilhu daaran khairann min da’arehi , wa ahlann khairam min ahlehi, wad khilhul jannata wa a’aizhu min azabil qabre wa azabin naar.(Muslim 963)_________________________________________________________________



3) // Namaz Janaza me teesri takbeer ke baad jab Imam ek se jyada Duaaye perhta hai to Muktad aameen aameen kahte hain.//



REPLY: YE JHOOOT HAI, AISA , JISKO DEKHNA HO MAKKA MADINA ME JANAZA PARH KE DEKH LE,_________________________________________________________________



4)// Rafadain in Takbeerat of Namaz- Janaza:-//



Reply:- Abdula bin umar ra ne fermaya Nabi sws jab Janaze me Takbeer perhte to Rafa dain karte .Darqatani ( English, 2908.)_________________________________________________________________



5) Ahle Hadith Qunooot me hath utha ker duaa kerte hai.:-



Reply:- Koi Marfooh riwayat nahi hai Lekin kuch Sahabiyoo ke Aasaar mauzood hai ke wo hath utha ker Dua karte the.( Musannif ibne abi Shaiba )_________________________________________________________________



6) Duq Qunoot ke Ikhtamaam par mooh per haath pherna:-



Reply:-



Iski sunnat se koi Daleel nahi hai , Per Agar koi aisa karta hai to ye Biddat me shumaar nahi hai. Olemao ne aisa karne ko mana kia hai, islie Haram ya Ahle HAdith Masjido ke imam Qunoot ke baad Dua parh ke Chehre pe nahi daalte balke seedhe Rukoo me ya Sazde me jaate hain._________________________________________________________________



7)// Ahle Hadith shaheed ki Ghaibana Namaz Parhte hai.//



Reply:- Jis Din Nejaashi Faut huaa , Rasulullah sws Sahaba ke Saath Nikle , Saf Bandi ki Aur 4 Takbeerat ke saath Namaz Janaza Ada ki.{Bukhari:- 1254 } Kitabu Janazaa{ Muslim:- 951 } Kitabu Janazaa



Aur Fermaya ke “ apne bhai ki Namaz-e- Janaza Ada kero kyoke Ardh Ghair me Fout hua hai. {Ibne Maza:- 1537, Baab Aljanaza , Fil Salat ala Nejaashi }_________________________________________________________________



8)// Ahle Hadith Ek Maqaami Juban aur 1 Arabi Juban me dete hain.//Reply:-



Sare Hanfi Masjidoo me ye hota hai. Aur Alhamdolillah Saudi Arab aur tamam Arab Mulk ke Ahle Hadith Masjidoo me Sirf Arabic Juban me hi Khutba hota hai. Siwaye Asian Aur Western Cuntries ko choor ke.



Qur’an ka ishara dekhte hain.Aur humne koi Paigambar nahi bheja magar wo apni Qaum ki juban bolta tha take unhe Ahkam –e- Ilahi khool khool ke bata de.Ibrahim( 14:4)



Hadith



Rasulullah sws Khutba me Quran Parhte aur logo ko Naseehat kerte. (Muslim : 862)



HANFI FIQH DEKHO: Rad Mukhtar (4/522) Khateeb Arabic ke alawe bi kisi aur Language me Khutba de sakta hai.



Ab Fatwa Sheikh bin Baaz ka parho ( Fatawa ibne baaz 12/ 372 ) Ager Masjid me Non Arab jyada ho aur wo Arabic na samjhe to isme koi harz nahi ke khutba non Arabic language me dia jaye, ya khutba Arabi me den eke baad uska tarjuma ker dia jaye..!



Naseehate us jubaan me di jaati hai jo logo ko samajh me aawe.! Ye Samjhne waali baat hai. Jahil Hanfi khud ye kaam karte hai per hum pe ungli uthhate hai,_________________________________________________________________



9)// Ahle Hadith Tahajjud me alag Adhaan dete hain. //:--



REPLY:-



Rasulullah sws ne Farmaya “ Tumhe Bilal ki Adhaan Sehri khaane se na rooke , kyoke wo raat ko adhaan dete hain take Tahazud Parhne waala lout aaye, aur soone wala Khabrdaar ho Jaaye.(Bukhari. 621)(Muslim 1093)



Abdullah bin Umar ra Fermaate hai” doono Moazzino ke Dermeyaan sirf is qadar ka Waqfa hota tha k eek Adhaan de ker utarta aur doosra Adhaan ke lie Charh Jaata.( Muslim : 1092)_________________________________________________________________



10)// Ahle Hadith Rukoo me jane se pahle, Rukoo ke baad aur 2 rekaat ke tashhud se uthne ke baad rafadain karte hain.//REPLY:-- Abdullah bin umar r.a. Shuru Namaz me, rukoo se pahle rukoo ke baad aur do rekaate perh ker khara hote waqt Rafadain kerte the aur fermate the ke Rasulullah sws bhi isi tarah kerte the.{ Bukhari 739 }



Abu Dauood Kitabusalah: Hadith Number 721,722,723,726,727,728,729,730,733,738,739,741,742,743,744,745 sub kee sub mai Rafayadain ka zikar hai khud check



Bukhari say : Kitabul Azan & Kitabusalah: Bab Number: 474 476 477, hadith number 738,735 Muslim Hadith number:390,391



Saydena Ali r,a, Fermate hai Rasululah sws Namaz ke shuru me , rukoo me jaane se Pahle aur Rukoo se sar uthhane ke baad aur do Rekaate perh ker khare hote waqt Rafa dain kerte the.{ Abu Dawood 744, } {Ibne Maza 864} {Imam tirmizi ne sahi kaha 3423}_________________________________________________________________



11) Rasulullah sws ke Aakhri umr tak Rafadain nahi kerte the.



REPLY:- Waail bin Hazar R.a. Fermaate hai : Maine Nabi Akram sws ko dekha jab aap namaz shuru kerte to “ Allah Akbar” kahte aur apne dono haath uthhate, fir apna haath kapre me dhaank lete fir daya haath baye per rakhte. Jab rukoo kerne lagte to kapro se haath nikal lete “ Allah Akber “ kahte aur Rafadain kerte , jab rukoo se uthhte to “ Sameallah huleman Hameeda “ Kahte aur Rafadain kerte.{ Muslim 401 }



Wail bin hajar r.a. 9 Hijri 10 hijri me Rasullulah sws ke paas aaye. Lehaza ssabit hua ke Rasulullah sws 10 Hijri tak Rafadain kerte the , 11 Hijri me Nabi Rahmat sws ne Wafaat paayi._________________________________________________________________



12)// Ashra Mobasheereen se Rafadain Sabit kerna:-//Reply:-



Upar 2 Hadithe mil gai hongi jinme 2 khule Rasheen hain. Aur Rafadain ki kul 50 se Jyada hadithe maujood hai. Aur Rasulullah sws ki sunnat hone ke lie 1 hadith humare liye kaafi hai. Juroori Nahi ke har hadith har Sahabi se saabit ho tabhi wo Wajib e Aml hoti hai. Ye Mahaz Jahiliyat hai. Hadithe Hanfiyoo ki Juroorat ke Mutabiq nahi hoti, Balke Rasulullah sws aur Sahabiyo kea ml wa rawiyo ki yaad aur llm ke Mutaabiq hoti hai._________________________________________________________________



13)// Ahle Hadith Dua Qunoot ke Aakhir me “ Nastagfiruka wa natoobo Ilaik “ Parhte hain.//



Reply:- Bohtaan hai ye Ahle hadithoo pe.Ye Rasululah sws ki sikhai Dua Qunoot me Shamil nahi hai. Lehaza ye Izaafa hai aur hum ye nahi parhte.



_________________________________________________________________



14) //Ek Majlis me 3 Talaaq ko Rasulullah sws ne 3 kahi ya 1.?//



Reply:-Pahle to ye Quran ke khilaaf hai.Aye Nabi Musalmaano se kah do ke jab apni biwi ko talaaq dene lage to unki Iddat ko pesh nazar rakh ker Talaaq do. ( Soorah Talaq, 65: 1)



Abu Sahba ra ne Ibne Abbas ra se kaha” kya tumhe pata hai, Rasululullah sws ke zamane me 3 Talaaq 1 maane jate the , Aur Abu bakr ra ke zamane me bhi, aur Omar ra ke Khilafat ke 3 saal tak? Ibne Abbas ra ne jawab dia : Haa !Bukhari (English, Bk 9, 3492)_________________________________________________________________



===========HANFIYOO KE LIYE NASEEHAT QURAN KI==============So


qasam hai teray perwerdigar ki! Yeh momin nahi ho saktay jab tak kay tamam aapas kay ikhtilaf mein aap ko haakim na maan len phir jo faisla aap inn mein ker den inn say apney dil mein kissi tarah ki tangi aur na khushi na payen aur farmanbardari kay sath qabool kerlen.{ Nisa :- 65 }


ALLAH TAALA HIDAYAT DE...........AAMEEN

Read More »

Tuesday, July 24, 2012

KHAIRAAT NA DENE SE RIZQ ROK DIYA JAATA HAI




Bismillah hir-Rahman nir-Rahim

-------------------------------------------------------------------------
{ *Khairaat Na Dene Se Rizq Rok Diya Jata Hai* }
-------------------------------------------------------------------------

Asma {Radi Allahu 'Anhu} se rivayat hai ki Rasoollallah {sallallaahu Alaihe Wasallam} ne farmaya ki Khairaat ko mat Roko warna tumhara Rizq bhi Rok diya jayega.

( *Sahih-Bukhari, Vol-no: 02, Book: 24 (Kitaab-ul-Zakaat), Hadees-no: 1433 * )

<>----------------------------------------------<>

Narrated Asma {Radi Allahu 'Anhu} : The Prophet {sallallaahu Alaihe Wasallam} said to me, "Do not with hold your money, (for if you did so) Allah would with-hold His blessings from you."

( *Sahih-Bukhari, Vol2, Book 24, Number 513* )

*==========================================

Read More »

Sunday, July 15, 2012

UMMAT-E-MUHAMMADIA KI PASTI AUR ZAWAAL (DECREMENT) KYON ???





Bismillahirrahmanirraheem



UMMAT-E-MUHAMMADIA KI PASTI AUR ZAWAAL (DECREMENT) KYON ???



Allah taala ka irshad hai:-" aiy nabi ! Kah do, agar tumhare baap aur bete aur bhai aur biwiyan aur khaandaan ke admi aur waah maal jo tum kamaate ho aur wah tijaarat jiski mand pad jaane ka tumhe khauff hai aur wah haweliyan jinko tum pasand karte ho, allah aur uske rasool se tumhe zyada azeez hain, toh phir tum intezaar karo, hatta ke allah apna faisla bheje, aur allah na'farmaano ko hidayat nahin deta"

( surah tauba 24)


aur farmaya:-" agar tum jihaad ke liye na nikloge toh rahmaan tumhe shakht saza dega aur tumhari jagah kisi aur qaum ko uthaayega aur tum allah ka kuch bigaad na sakoge, wah har cheez par qudrat rakhta hai "

(surah tauba 39)


hadith me hai


hz ibn umar (ra) bayaan karte hain ke maine nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se suna ke aapne farmaya:-" jab log dirham wa dinaar ke harees ho jaayen aur jins Bazaar me aane se pahle uski khareed wa farokht karne lagen, aur belon ki jaden pakad len (kheti baadi me lag jaayen) aur jihaad ko chhod den, toh allah unpar shakht aazmaish musallat karega aur wah us se us waqt tak na nikal sakenge jab tak apni deen ki taraf na laut aayen aur jihaad ko qayem na karenge "

(musnad ahmad, abu dawood)


aur farmaya


hz ubada bin saamit (ra) bayaan karte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" allah ke raaste me har qareeb aur door ke dushman se jihad karo, aur allah ke deen ke baare me kisi malaamat karne waali ki parwah na karo, aur allah ke hudood qayem karo, hazar aur safar dono haalaton me allah ki raah me jihaad karte raho, kyonki jihaad jannat ka ek azeem darwaaza hai, jihaad ke zariye allah insaano ko pareshaani aur ranj se nijaat dilaata hai "

(rawah ahmad)


ek aur hadith me hai


hz abu hurairah (ra) bayaan karte hai ki maine nabi E akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se suna ke aapne hz shobaan ra ( aapke(sws) ke azaad kardah ghulam) se farmaya:-" aiy shobaan ! Tumhari kya haalat hogi, agar tumpar dusri qaumein toot paden jis tarah tum khaane ke bartan par luqme lene ke liye toot padte ho,

hz shobaan ne arz kiya:- mere maa baap aap par qurbaan hon aiy allah ke rasool, kya hamari haalat qillat tadaad ki wajah se hogi ?

Aapne farmaya:-" ye baat nahi, balke tadaad me tum zyada hoge, lekin tumhare dil ke andar kamzori, buz'dili, pad jaayegi"

dusre sahaba ne daryaaft farmaya:- ya rasoollullah ! Kamzori se kya muraad hai ?

Sarkaar do aalam ne farmaya:-" tumhara duniya ki muhabbat me giraftaar ho jaana aur ladaayi se ji churaana ye asal kamzori hogi "

( rawah musnad ahmad, abu dawood)


aiy bhai gunaahon par asraar kyon ? Aayye ham allah ke huzoor dua karte hain ke shirk jaisi azeem gunaah aur dusre chote bade gunaahon se Apne daaman ko bachaayenge, namaz ki pabandi karenge, apni islah aur dusron ki islah ki bhar'poor koshish karenge........

allah humko is hukm par amal karney ki tawfeeq dey aur hamarey dilon ke andar ki buzdili ko khatam karney ki tawfeeq dey aur kuffar jo humko khatam karna chahrahey hain unkey andar main zalzaley sey kaifiat paida karney ki humko tawfeeq dey aameeen .......

Read More »

Saturday, July 7, 2012

RAAZ KO FAASH NA KARO




Bismillahirahmanirraheem



RAAZ KO FAASH NA KARO



" Qayamat ke din allah ke nazdeek bad'tareen shakhs wo hoga jo aurat se apni haajat poori kar leta hai aur baad me us raaz ko faash karta hai "


(muslim, abu dawood)


TASHREEH:

is hadith se us shakhs ko bad'tareen insaan saabit kiya gaya hai jo apni aurat se nafsiyaati khwaahisaat ko poori karne ke baad us amal ko dusron se bayaan karta hai ke maine aisa waisa kiya,


Hz abu hurairah (ra) farmate hain ke rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne hamen namaz padhayi aur jab salaam phera toh hamari taraf rukh karke farmaya:-" baithe raho, aur suno ! Kya tum mese koi shakhs aisa bhi hai jo apni biwi ke paas jaaye toh darwaaza band kare aur pardah daal le aur baahir nikle toh bayaan karta fire ke maine apni biwi ke saath aisa waisa kiya ? Aap ke is sawaal ka jawab kisi ne nahi diya,

phir aapne aurton ki taraf mutawajjoh hokar farmaya ke:- kya tum Mese bhi kuch aurtein aisi hain ? Ek nau'jawan ladki jo apne ghutno ke bal allah ke rasool sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko dekhne aur kalaam nubuwwat sunne ki koshish kar rahi thi BOLI,:- Qasm hai allah ki mard is tarah ki baatein karte hain aur aurtein bhi,

is par rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jaante ho jo shakhs aisi baatein karta hai us ki misaal kaisi hai ? Uski misaal us shaitaan aur shaitaaniyah jaisi hai jo apni biwi se shaahrah aam par milta hai aur apni zaroorat poori karta hai aur haalat ye hoti hai ke log ye khel dekh rahe hote hain "

(ahmad, abu dawood, wa bazzaar)


rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne misaal bayaan farma kar us amr qabeeh se nafrat dilaane par zor diya hai taake koi mard ya aurat ye ghalti na kare ke apne andar ki baatein baaher aam logon ke beech bayaan kare,

is hadith me is baat ko posheeda rakhne ki targheeb di gayi hai , isse miyan biwi ke raaz un ka aapas ka mel milaap, unka ek dusre se pyaar wa muhabbat, bos wa kinaar hona sharai aitbaar se sabse bahtar jagah unka ghar hai aur unke ye tamaam kaam pardah raaz me hone chahiye na ke uske sire se aam anjaam diya jaaye, aur usko dusron se bayaan kiya jaaye,

rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hadithon ko apne saamne rakh kar maujoodah daur par ek sarsari nazar daalein aur apni aankhon ko band karke chand minute sochen ke aaj kya kiya ho raha hai, iska anjaam kiya hoga, apne aapko mazhab aur taraqqi pasand musalmaan kahne waale logon ke gharon me kiya kya ho raha hai, usko bataane ki zaroorat nahi,

aaj taraqqi pasandi ke naam par muslim gharaano me jo kuch ho raha hai usse is baat kh ummeed rakhi hi nahi ja sakti ke unke ghar ke bacche islam ki taalimaat ko apne liye mash'al banaayenge,


allah taala ham tamaam musalmano ko sunnat rasool sallalaho alaihi Wasallam (pbuh) ko apni zindagi me nafez karne aur unpar amal paira hone ki taufeeq de aur tamaam shaitaani raaston se ham sab ko mahfooz rakhe........AMEEN





Read More »

Wednesday, April 4, 2012

Mere Sawal AUR Qu'aran Ka Jawab:-

Bismillahirrahmanirraheem




Mere Sawal AUR Qu'aran Ka Jawab:-



Mene Kaha Teri Madad KaiseMilegi Ya Rab?


Jawab Mila:

"Sabr Aur Namaz Se Madad LiyaKro"

(Al-Baqrah:45)
.

Mene Kaha Me Bohot GunahgarHu!


Jawab Mila:

"Allah Ki Rehmat Se Maayus NaHo. Allah Sb Gunah BakhshDega"

(Al-Zumar:53)
.

Mene Kaha Mere Dil Ko SkoonNahi Hai!


Jawab Mila:

"Be'shak Allah Ki Yad Se Hi Dilon Ko Itminan(Skoon) Hai"

(Al-Ra'ad:28)
.

Mene Kaha Me Bahot Akela Hun!


Jawab Mila:

"Be'shak Hum Rag-E-Jaan Se BhiZyada Qareeb Hen"

(Qaaf:16)
.

Mene Kaha Mujhe Koi Yaad Nahi Krta!

Jawab Mila:

"Tum Mujhe Yaad Kro Me Tumhen Yaad Kroon Ga"

(Al-Baqarah:152)



Subhaan Allah.. Subhan Allah..Subhan Allah..

Read More »

Wednesday, March 28, 2012

TAFSEER SURAH BAQARAH 119- 123

Bismillahirrahmanirraheem



TAFSEER SURAH BAQARAH 119- 123:



" Beshak hamne aapko sacchaai ke saath bashaarat dene aur daraane ke liye bheja hai, aur aap se jahannamion ke baare me sawaal nahi kiya jaayega ; aur aap se yahud aur isaayi raazi nahi honge jab tak unki millat ki pairwi nahi karenge, aap kah den beshaq hidaayat toh allah hi ki hidaayat hai aur aap apne paas ilm aajaane ke baad unki khwaahishon ki pairwi karenge toh aapka koi allah se dost wa madadgaar na hoga ; jinko ham ne kitab di hai jo use jaise padhna chahiye padhte hain wahi us par imaan rakhte hain aur jo uske saath kufr karte hain wahi zaya kaar hain ; aiy bani israel apne uper meri nemat ko yaad karo jo maine tumhe diya aur tumhe ahle ilm par fazilat di ; aur us din se daro jis din koi kisi ke kuch kaam nahi aayega aur na usse fidya liya jaayega aur na use shafa'at fayeda de gi aur na unki madad ki jaayegi"


TAFSEER:- Is ayat se Pahle kaafiron ne ye sawaal uthaaya tha ke allah unse kalaam kyon nahi karta, jiska maqsad aap sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki risaalat par tanqeed karna tha, aur is aayat me aap sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki nubuwwat ka asbaat karte hue ke ham ne aapko rasool banaya hai, aapke mansab risaalat ka zikr kiya gaya hai

aur farmaya gaya hai ke:- "aap farz sirf paigham pahuncha dena hai kisi ko raah e raast par laana nahi, "


isliye jo aapke maqaam ka inkaar karke jahannami ho jaaye to aapse uske baare me pooch nahi hogi,


ayat no (120) me ye shakht waeed hai ke:-" yahud wa nasaari ko raazi karne ke liye agar aap unki millat ki pairwi karenge jo unhone apne khwaahishon ko ko shaamil karke bana liya hai jise allah ki hidayat nahi qaraar diya ja sakta hai, toh aapka koi dost aur madadgaar nahi hoga "

ye hidayat toh nabi akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ko sunaayi ja rahi hai, lekin isme Poori ummat e muslima ke liye tanbiyah hai ke wah mazhab e baatila ki pairwi na karen

ayat no (121) me farmaya gaya hai ke :-" agar ahle kitab (yahud aur ishaayi) apni kitab ( taurat wa injeel) ko jaise padhna chahiye waise padhen toh zaroor aap sallallaho alaihi wasallam (pbuh) aur qur'an par imaan laayenge,"

kyonke unme aap sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ki nubuwwat ki bashaarat aur aap par imaan laane ka ahad liya gaya hai, jaise hz abdullah bin salaam (ra) aur shah e habsa (ra) wagerah imaan laaye aur jo aapke saath kufr karenge wah zayan kaar honge..

Isme musalmano ko bhi hidayat hai ke wah bhi apni kitab qur'an ko tadbeer ke saath padhen aur uske ahkaam par amal karen

chunanche hz ziyad bin lubaid (ra) se riwayat hai ke nabi akram sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ne kuch cheez ka zikr kiya aur farmaya ke:- " ye ilm mit jaane ke waqt hogi, toh maine kaha:-" allah ke rasool ! Ilm kaise mit Jaayega, jabke ham qur'aan padhte hain aur apne beton ko padhaate hain aur hamare bete apne beton ko qayamat tak padhaayenge ?" aap sallallaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:- " ziyaad ! Main tumhe ahle madeena me bada hoshiyaar samjh raha tha, kya ye yahud wa nasaara tauraat wa injeel nahi padhte aur un dono me jo kuch hai uspar koi amal nahi karte ? "

(musnad ahmad, ibn majah, tirmizi, daarimi ne hz abu umama ra se riwayat kiya hai)


Yani padhne ka maqsad amal karna hota hai, aur jab amal hi na ho to padhne ka koi faayeda nahi

ayat no (122-123) me bani israel ko phir hidayat ki ja rahi hai ke:-" tumne apni khwaahishon ki wajah se apni deeni peshwaaon ka mansab jo tumhen apne zamaane ke ahle ilm par haasil tha, use tumne kho diya hai aur ab mansab imamat ummat e muslimah ko diya ja raha hai, jo deen e ibraaheemi ki ja'nasheen hogi, isliye apne sharaf wa fazal ko bar'qaraar rakhne ke liye ummat e Muslima me shaamil ho jaao aur us din se daro jab koi kisi ke kaam nahi aayega aur na koi badla qubool kiya jaayega aur na koi shafaat sood mand hogi,

is duniya me ek insaan kisi buraayi ki saza se bachne ke liye teen cheezon se kaam leta hai

apne saathiyon, apne doston aur rishte daaron se, ya taawun de kar ya kisi bade aur ba'asar shakhs ki shifaarish se,


lekin us din imaan wa amal ke siwa ye teeno wasaail kaam nahi aayenge....


(maulana azeez ul haq umri

sheikh ul hadith, jamia daarul hadith mau)

DUA KI DARKHWAAST:

Read More »

Tuesday, February 21, 2012

" QASAM" AUR USKA KAFFAARA

Bismillahirrahmanirraheem



" QASAM" AUR USKA KAFFAARA:



Hz abu hurairah ra se riwayat hai ke rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne farmaya:-" jisne kisi baat par ' QASAM' khaayi, phir usse bahtar kuch dekha toh (qasam todh kar) apni ' QASAM ' ka kaffara ada kare aur jo bahtar ho, use kare"

(sahih muslim kitabul imaan)


insaan apni baat ko saabit karne ke liye amuman us par qasam khaata hai aur apne mukhaatib ko raazi (agree) karne ke liye halfiya bolta hai,

isliye allah ki qasm khaakar insaan apni baat mauqad karne aur apne mukhaatib ko raazi karne ke liye apni baat pesh kar sakta hai,

lekin agar wah baad me kuch usse bahtar dekhta hai toh apni qasam ko todh kar uska kaffara(penalty) ada karega, aur baad waale par amal karega, isme koi harz nahi hai,

jaisa ke khud rasoollullah sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ne farmaya hai:-" main bila shubah, allah ki qasam, inshaallah kisi kaam par Halaf nahi uthaunga, phir main usse zyada bahtar soorat dekhunga to main zaroor apni qasam ka kaffara ada karunga aur wah kaam akhtiyaar karunga jo bahtar hai"

(bukhari, muslim)


mazkoorah hadith par bahes karte hue maulana hafiz salahuddin yousuf tahreer farmate hai ke:-" qasam ke puraa na karne aur muqassam alaih ke karne me khair dekhe to insaan yahi nahi sochta rahe ke

"maine qasam kha rakhi hai, ab fayeda ho ya nuksaan main toh wah kaam karne par majboor hoon".... Shariat ne aise mauqon par qasam todh dene aur uska kaffara ada karne ka huqm diya hai, kyonke nuksaan (deeni ho ya dunyawi) ke muqaable me kaffara qasam ada karna aasaan hai"

(daleel ul taalibeen jild 2 pg 438)


us hadith se samjh me aata hai ke islam ne is tarah ke mushkil mauqa aur nishaaniyon me sahooliyat aur aasaani ki kaisi sabeel paida ki hai, taake uske maanne waale apne deeni aur dunyawi umoor ko bakhoobi anjaam den,

rahi Baat qasam ka kaffara ada karne ki toh is silsile me allah taala ka farman hai:

" yani qasam (khakar) todh ne ka....kaffara 10 miskeeno ko, tumhare apne gharwalon ko khilaane ke tanasab me, khaana khilaana, ya unko kapde pahnaana, ek gardan aazaad karna ya 3 din ke roze rakhna, ye sab tumhari qasmon ke kaffare, jab tum qasam khaao"

(surah maida 89)

shariat ke bataaye gaye is tareeqe ke mutabik apni qasam par masroor rahne waala, apni sahooliyat ke madde nazar kaffara ada kar ke us cheez se bach sakta hai jo us ke liye bahtar nahi aur baad waali cheez, baher haal bahtar hai,

phir aisa karna allah ke rasool sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ki sunnat bhi hai aur zaahir hai ke sunnat par amal karna baa'as sawaab hai,

isliye kisi bhi aadmi ko apni qasam khaali gayi baat par bila wajah ade nahi rahna chahiye,

aur qasam todne ke kaffara ada karne ke baad bahtar shakl par hi amal karna chahiye.......


ALLAH HAMEN ISKI TAUFEEQ DE.... Ameen

Read More »

Tuesday, January 24, 2012

ZABAAN(TONGUE) KI HIFAAZAT




Bismillahirrahmanirraheem:




ZABAAN(TONGUE) KI HIFAAZAT:




Hz uqba bin aamir ra bayaan karte hain ke maine arz kiya:- ya rasoollullah(sws) ! Nijaat kis tarah mumkin hai?? Aapne farmaya, apni zabaan ko qaabu(control) me rakho, tumhaara ghar tumhen apne andar samaa le (yani tumhara faaltu waqt ghar ke andar hi guzre) aur apni ghaltiyon par khoob ro "

(sunan tirmizi hadith hasan)


FAAYEDA: Logon se zyada mel jol aur inse gupshup me insaan ke deen ko bahut khatraat la haq hote rahte hain, isliye zyada akhtalaat(gupshup) ke bajaaye ghar me allah ki ittaat aur zikr wa fikr aur tilaawat wagerah me apne faarigh auqaat(waqt) ko sarf(istemal) karna bahut bahtar hai,

isi tarah tanhaiyyon me apni ghaltiyon par rona bhi allah ko bahut pasand hai,

is hadith me zabaan ki hifazat ke elawa in do baaton ki bhi taeed hai


hz abu saeed khudri ra se riwayat hai ki nabi akram(sws) ne farmaya:-" jab insaan subah Karta hai to uske jism ke tamaam aa'zaa zabaan se nihaayat aajizi se arz karte hain, kahte hain, tu hamare baare me allah se darna, isliye ke hamara maamla tere saath wabasta hai, agar tu seedhi rahegi to ham bhi seedhe rahenge, agar tune kazi(tedhapan) akhtiyaar ki to hambhi tedhe ho jaayenge"

(tirmizi)

note: 'aajizi ' se muraad hai zabaan ke saamne khusu khuzu se arz karte hain


FAAYEDA:

ISSE waajeh hai ke zabaan ko soch samjh kar istemaal karna kitna zaroori hai ke zabaan ki zara si tedhepan ki saza poore jism insaani ko bhugatni padhti hai,

ladaayi jhagde hote hain to maar jism hi ko bardaast karni padhti hai, baaz dafa jism ko hamesha ki neend tak sulaa diya jaata hai,

tedhe hone ka matlab yahi hai ke zabaan ke tedhepan ki zad poori jism ko padhti hai, aur seedhe rahne ka matlab ibtala aazmaish se mahfooz rahna hai,

ek dusri hadith me dil ko tamaam jism insaani ki islaah ya fasaad ka baa'as Batlaaya gaya hai, jab ke is hadith se zabaan ka ye muqaam waazeh hota hai,

isme koi farq nahi, isliye ke zabaan dil ki jaanasheen aur uski tarjumaan hai aur insaan zabaan aur dil dono ke majmue se ibaarat aur aur aadmiyat unhi dono chhoti cheezon ka naam hai


ek arabic mufakkir ne kya khoob kaha hai

" yani aadmi ki zabaan nisf(half) hai aur uska dil dusra nisf hai"



DUA KI DARKHWAAST

Read More »

HUSN ADAB, TANQEED AUR SULAAH:

Bismillahirrahmanirraheem



HUSN ADAB, TANQEED AUR SULAAH:



" beshak jo log gharon ki chaardiwaari ke baaher se tujhe pukaate hain wah aqsar nasamjh hain, aur agar wah sabr karte yahan tak ke tu in ki taraf nikal aata to inke liye bahtar hota aur allah bakhsne waala maherbaan hai, momino ! Agar koi faasiq aadmi tumhaare paas koi khabar lekar aaye to uski tahqeeq(investigation) karo, aisa na ho ke tum nadaani se kisi qaum par ja pado, phir kal ko pachhtaane lago, aur jaan lo ke tum me allah ka rasool hai agar wah aksar baaton me tumhari maana kare to tum par mushkil me pad jaao, lekin allah ne tumhare dilon me muhabbat daali aur use tumhare dilon me accha dikhlaaya aur kufr aur gunaah aur be'huqmi se tumhaare dilon me nafrat paida ki , aise hi log raah hidayat par hain, ye allah ki taraf se fazl aur ehsaan hai, aur allah jaanne waala hikmat waala hai, aur agar musalmano ke do firqe aapas me lad paden To inke darmiyaan sulah karaado, phir agar ek jamaat dusri jamaat par chadh jaaye to jo chadhayi waali hai to usse sab lado, yahan tak ke wah khuda ke huqm ki taraf ruju kare, phir agar ruju kare to insaaf ke saath in me sulah kara do aur insaaf karo beshak khuda insaaf karne waalon ko pasand karta hai"

(surah hujraat 4-9)



TASHRIH- uyanna bin hasan infaraari aur aqra bin haalis aur 70 admiyon ke saath huzoor(sws) se milne ke liye aaye. Huzoor(sws) us waqt haram me tashreef farma they ye log zor zor se awaazen dene lage. Is par ye aayat naazil hui ke is tarah aapko mukhaatib karna be'adbi aur be'aqli hai, in logon ko chahiye tha ke ittela kar dete aur phir intezaar karte. Htta ke huzoor(sws) tashreef le aate aur inki baaton ko tawajjah se sun lete,
Uske baad ek asool aur irshaad farmaya jis par tanqeed aur chhaan bheen ki tafri'aat murattab hoti hai, aur jisse maalum hota hai ke musalmano ke liye haalaat se ba'khabar rahna kitna zaroori hai, farmaya ke dekho tumhare paas koi faasiq aur na'qaabil aadmi khabar laaye to bila tahqeeq us par yaqeen na karna, aisa na ho ke tumhare andha dundh yaqeen se musalmano ko nuksaan pahunch jaaye aur wah tumhare bad'akhlaqi ka khaamiyaaza bhugten,

waazeh ho ke aaj is usool tahqeeq wa tanqeed ke sahih istemal na karne se musalmano ko kis qadr nuksaan pahuncha hai,

iska andaaza kuch wahi log kar sakte hain jinki halaat par nazar hai ke mukhaalifeen ki phailaayi huwi baaton ko ham kis darja sahih aur insaaf samjhne lage hain,

aur in par yun yaqeen karne lage hain jis tarah ke wah wahi ilhaam ki baatein hain, aur is tarah khud apne bhaiyyon se bad'zan hain apne akaabir se fire hain aur apne mukhaalifeen ke saath Kandhe se kandha milaaye khade hain, nateeza ye hai ke musalmaan pareshaan hai aur nuksaan me hai

is ayat me musalmano ki do jamaat me sulah karwaane ka bhi huqm hai, aur jo fareeq na maane uske khilaaf quwwat wa taqat ka istemaal karen, hatta ke wah fareeq apni sarkashi se baaz aa jaaye aur khuda ke huqmon ke saamne sar tasleem kham karde,

chunanche is baare me irshaad farmaya hai ke " agar musalmanon ke do girohon me ikhtelaaf raaye se jung wa jadal ka mauqa paida ho jaaye to tum fauran sulah ka parcham lahraate hue darmiyaan me kood pado,

agar wah tumhari na maane to inko shakhti ke saath majboor kar do ke islaam ke wahdat ke liye aur uske mufaad ke liye apne zaati aa'raaz ko ek dum tarq kar den...



ALLAH HAMEN HAQ BAAT KAHNE KI TAUFEEQ DE...... Ameen

Read More »

Monday, January 16, 2012

SHARAI HUQOOQ(RIGHTS)

Bismillahirrahmanirraheem




SHARAI HUQOOQ(RIGHTS)



Hz abu huzaifa ne bayan kiya ke rasool sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne suleman aur hz abu darda ra ke darmiyaan (hijrat ke baad) bhai chaara karaya tha, ek martaba hz saleman ra abu darda ra se mulaaqaat ke liye gaye..to (inki aurat) umme darda ra ko bahut fate puraane haal me dekha, in se poocha ke yah haalat kyon bana rakhi hai? Umme darda ra ne jawab diya ke tumhare bhai abu darda hain jin ki duniya ki koi haajat hi nahi hai, phir hz abu darda ra bhi aa gaye aur inke saamne khaana haajir kiya aur kaha ke khaana khaao, unhone kaha ke main to roze se hun, is par hz suleman ra ne farmaya- main bhi us waqt tak khaana nahi khaaunga jab tak tum khud bhi shareek na hoge, raawi ne bayaan kiya ke phir wah khaana khaane me shareek ho gaye, (aur roza tod diya) raat huwi to hz abu darda ra ibaadat ke liye uthe aur is martaba bhi hz suleman ra ne phir kaha Abhi so jaao, phir jab raat aakhiri hissa huwa to hz suleman ra ne farmaya ke accha ab uth jaao, chunanche dono ne namaz padhi, uske baad hz suleman ra ne farmaya ke tumhare rabb ka bhi tum par haq hai, jaan ka bhi tum par haq hai, aur tumhare biwi ka bhi tum par haq hai, is liye har haq waale ke haq ko ada karna chahiye, phir aap nabi akram sallalaho alaihi wasallam(pbuh) ki khidmat me haazir hue aur aapse iska tazkirah kiya, aapne farmaya ke suleman ne sach kaha"

(sahih bukhari 957)


tashrih:- shariat e islamiyah ki yah khususiyat hai ke usne wajibni huqooq ko tafseeli taur par bayaan kiya hai, aur bandgaan e ilaahi ke uper waajib hai ke wah in huqooq ki adaayegi aur in huqooq ki adaayegi me kotaahi karne ke sabab insaan aasi wa gunahgaar me shumaar kiya jaata hai,

musalmano ko in huqooq ki mu'aarifat haasil karni chahiye jinko shariat mutahhara ne laazim qaraar diya hai, inki adaayegi ki targheeb Dalail hai aur inme adl wa insaan ko qaayem rakhne par tawajjah dilaayi hai, shariat ne taqriban 4 tarah ke huqooq bayaan kiya hai,

1- huqooq e ilaahi aur wah yah hai ke banda allah taala ki ibadat kare, pukhta imaan rakhe, kisi ko uske saath shareek na thahraaye,

2- huqooq nafs aur wah jism ko kapde se dhaankna hai, ruku, sujood aur qayaam ka ehtemaam karna hai aur quraan ne aayat kareema me iski saraahat ki hai jo surah aale imraan ayat no 43 me hai,

3- huqooq ul ibaad aur wah bahut zyada hai, shauhar ka haq, biwa ka shauhar par haq, maa baap ka haq, rishtedaaron ka haq, padosi ka haq, muslim hukmaranon ka haq, fuqara wa masaakeen ka haq wagerah unhi mese hai, jamlah makhlookaat ke huqooq yaani ke tamaam bandon ke uper jaanwaron ke huqooq bhi hain,

hadith rasool me nabi kareem sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne baaz huqooq ki tarah nishaan dehi ki hai aur isme haq jism wa haq ain hai, wah yah hai Ke uski ibaadat ki jaaye, uske ek maana jaaye, shirk se bachaaya jaaye, tamaam ibaadatein usi ke liye khaas ki jaaye,

4- haq nafs wah yah ke usko mashakkat me na daala jaaye, raahat ka khayaal rakha jaaye, biwi ka bhi haq hai aur wah yah ke insaan apni biwi se mujammat kare, usko khush rakhe, uske kaamon me haath bataaye, accha sulook kare, is qadar masroof na ho ke biwi ke liye waqt na nikaal sake, daur e jadeed me miyan biwi ke darmiyaani khaleej ka buniyaadi sabab donon ke bahami taalluqaat ki na khushgawaari hai, maamla yah hai ke aurat ghar par to mard duty par aur mard ghar par to aurat duty par hoti hai, is tarah dono ke mijaaz me fasaad paida hota hai aur har ek fahaskaari ki tarah raaghab hi nahi hota balke najaiz taur par apni khwaahishaat poori karta hai,

abu dawood, nisaai ki riwayaat me bhi haq jism wa aine ki saraahat hai, mukhtasar yah ke aadmi har haq ko adaa kare khwaah wah maamooli hi kyun na ho, hadith se yahi pata chalta hai........



ALLAH HAMEN HAQ BAAT KAHNE AUR SUNNE KI TAUFEEQ DE...... Ameen

Read More »

Tuesday, January 10, 2012

LADAAYI JHAGDE SE ILM KI MAHROOMI

Bismillahirrahmanirraheem



LADAAYI JHAGDE SE ILM KI MAHROOMI:



hz ubaidah bin saamit ra kahte hai ke (ek shab) rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) shab qadr ki khabar bayaan karne ke liye (ghar se) bahar aamad hue, lekin do musalman baaham kuch jhagda kar rahe they, isliye shab e qadr ka ilm utha liya gaya (yani shab e qadr na maloom ho gayi aur yaad nahi raha ke kis tareekh ko hai) aur shayad yah hi tumhare liye bahtar hai, lihaaza 27wi, 29wi aur 25wi ko iski justazu kiya karo"

(bukhari, 1919,5702)


FAAYEDA:



Is waqeye se ladaai jhagde aur baahami fitnah wa fasaad ka nuqsaan wazeh hota hai ke is wajah se us awkaat ke barkat ke bahut bade hisse se insaan mahroom ho jaata hai, jispar siwaaye pachhtaane ke insaan kuch nahi kar sakta


yaha is baat ka zikr karna faayeda se khaali nahi hoga ke awaam ki aksariyat shab e qadr 27wi shab e ramzaan ko samajhti hai, halaanke shab e qadr ka 27wi Shab ramzaan me hona koi yaqeeni baat nahi, albatta imkaan zaroor hai, lekin yah imkaan sirf uske saath khaas nahi balke ashrah aakhirah ki har taaq(odd) raat me yah ahtemaal aur imkaan maujood hai, is liye is par asraar karna bhi sahih nahi......

Read More »

Thursday, December 22, 2011

NEKI KA HUQM DENE AUR BURAAYI SE ROKNE KA BAYAAN

Bismillahirrahmanirraheem




NEKI KA HUQM DENE AUR BURAAYI SE ROKNE KA BAYAAN:



Hz abu saeed khudri ra se riwayat hai ki maine suna rasoollullah(sws) farmate they:-" jo shakhs tum mese kisi buraayi ko (hote) dekhe to use apne haath se rok de, agar (haath se rokne ki) taaqat nahi hai to zabaan se (iski buraayi ko waajeh kare), agar uski bhi taqat nahi hai to dil se (ise bura jaane) aur ye imaan ka kamzor tareen darja hai"

(sahih muslim,kitabul imaan)


Tashrih:- dekhne se matlab hai, ilm me aana, chaahe aankhon se dekhe ya na dekhe, is me islami mu'aashre ko buraayi se rokne ke liye ek nihayat aham huqm diya gaya hai, musalman jab tak us par amal karte rahe aur amr bil maroof aur nahiy anil munjar ka fareezah bila khauf aur begair kisi mufaad ke ada karte rahe, musalman mu'aashra bahut si buraaiynn aur gunahon se mahsoof raha aur jab musalmano ne is fareeze ko faramosh kar diya, to inka mu'aashra Munkaraat ke sailaab me be panaah ki zad me aa gaya, kaash musalman phir is fareeze ki adaaiygi ki taraf muta-wajjeh hon, taaki is sailaab ke aage baandh baandha jaa sake



ALLAH HAM SAB KO AMAL KARNE KI TAUFEEQ DE.......... AMEEN

Read More »