Showing posts with label AQEEDAH. Show all posts

Friday, April 26, 2013

AMR BIL MAROOF WA NAHI'ANIL MUNKAR--- EK EHAM DEENI FAREEZA:

Bismillahirrahmanirraheem





AMR BIL MAROOF WA NAHI'ANIL MUNKAR--- EK EHAM DEENI FAREEZA:





Islam ke Intehaayi Saadah aur Asaan Mazhab hai,

Zindagi ke har Hisse Ke liye Isme Rahnumaayi Maujood Hai, wah PesH Aamdah Masail Ke Hal karne ka Zaaman hai,

Baaz Logon Ka ye Kehna Ke Islam Me Har Gosha Aur Har Masail Ke Liye Rahnumaayi Maujood Nahin, Ye Unki Ghalat Soch hai, Unhe Islam ke Silsile Me Ilm Nahin,

Islam Me Har Masle Ka hal Aur Ilaaj maujood hai,

Mu'ashre me FailI Buraayi ka Hal Bhi Islam Me pesh kiya gaya hai Jise Ham

"Amr bil maroof wa Nahi'anil munkar (Bhalaayi Ka huqm dena aur Buraayi Se rokna)"

ke Fareeze se Tabeer Karte hain,

Agar is usool Ko Dhayaan me Rakh kar Kaam Kiya jaaye Toh Mu'asshre Me faili Buraayi ka Khaatma mumkin hai,

Lekin Jab ham Is Fareeze aur Apni Society Me Paaye jaane Afraad ke darmiyaan Compare karte hain Toh Aise Logon Ki Bheed Milti hai Jo is Fareeze se Laaparwaahi Hi Nahin balke Hakeer Bhi Samjhte hain Aur is raaste me malaamat karne Waalon ki Malaamat se Khauff Khaate hain,

Yahi Asbaab hain Jiski Wajah se Is fareeze Ke anjaam Dene Ka Khyaal Logon Ke zehno se Puraane Khyaalaat Ke Mahi hone ki Tarah Khatm hota ja raha hai,

Aaj is fareeze Ko Wah Maqaam wa Martaba Nahi Mil pa raha hai Jo Ise Milna Chahiye,

Quran Kareem ke mutaale se Is Kaam Ki Azmat maalum Hoti hai,

Allah taala ne Musalman Mard aur Aurat Dono Ko Is fareeze Ke ada karne Ka muqallaf thahraaya hai,

is Ayat me Mard aur Aurat Ko Khitab Kiya gaya hai

" Momin mard aur Momin Aurtein Ek dusre Ki Rafeeq Hain, Bhalaai Ka huqm dete hain aur Buraayi se Rokte hain, Namaz qayem karte hain Aur zakaat dete hain, Aur Allah aur uske Rasool Ki Itaat karte hain, Yahi Log hain Jinko Allah Apni Rahmat se Nawaaze ga, Yaqeenan allah ghalib aur Hiqmat waala hai "

(Surah tauba Ayat 71)

Is kaam ki ahmiyat is baat se Ho jaati hai ke Allah ne Is kaam ko momin Mardon Aur Momin aurton Ka Kaam Qaraar diya hai aur ye bhi Waazeh kiya hai ke Agar imaan ke saath Amr bil'maaroof wa Nahi'anil munkar ka Fareeza bhi Ho Toh "Khair Ummat" Hone ka maana Mazeed Waazeh aur roshan Ho jaata hai,

Aur Irshad Hai

" Tum Khair Ummat Ho Jise Logon Ki Islah Aur Rahnumaayi Ke liye barpa kiya gaya hai, tum bhalaayi ka huqm dete ho aur buraayi se rokte ho aur Allah par imaan rakhte ho"

( Surah aal e imran Ayat 110)

Ek dusri jagah Allah taala ne Is fareeze Ko anjaam dene waalon ko Kaamyaab kaha hai aur unke is fael ko Saraaha hai

" Tum Mese Ek jamaat aisi Hone chahiye jo Bhalayi Ke kaamo ki taraf Bulaaye, Neki Ka huqm De aur Buraayi se roke Yahi Log Asal Kaamyaab hain"

(surah aal e imran ayat 104)

Jis faraiz ko ada karne par Quran ne Hamen ubhaara hai unme Amr bil maroof wa nahi'anil munkar Ka fareeza Ajar wa sawaab aur Dusre Fawaid Ke lihaaz se Kaafi Badha hua hai,

Agar amr bil'maroof wa nahi'anil munkar Ka jazba saadiq logon Me Paida Ho jaaye toh Mu'aashre me Khair aam hoga, Aapsi Taalluqaat acche honge,

muhabbat ka chalan hoga.. 

Aur bhi bahut si acchaiyyan paida hongi..

Allah Taala ne Is Kaam ko Paighambaron Aur Rasoolon ka kaam Qaraar diya hai

Allah taala ne bataya

"Jo Is Rasool Ki Jo Ummi (unpadh) hai, Pairwi Karenge, Jiska Zikr wah apne yahan Taurat wa Injeel me likha hua paate hain Wah unhe Bhalaayi ka huqm deta hai aur buraayi se rokta hai"

(Surah aaraf 157)

Dusre log jo Is kaam Ko anjaam de Rahe hain Unki Bhi Tareef Ki Gayi Hai

"Toba Karne waale , Ibaadat karne waale, ruku Karne waale, sajdah karne waale, bhalai ka huqm dene waale aur Buraayi se rokne waale aur Allah ke hudood ki Hifaazat karne waale, aiy Paighambar

in Momino Ko Khush'khabri de do"

(Surah toba 112)

Aur Is kaam ko Duniya wa aakhirat Me Logon Ke nijaat Aur Madad kiye jaane ka zariya bataya hai

"Allah zaroor un Logon Ki Mada karega Jo Uski Madad karenge, Allah bada Taaqatwar aur zabardast hai,

Ye wah Log hain Jinhe Agar ham zameen Me Iqtedaar Bakhsen Toh wah Namaz qayem karenge, Zakaat Denge, Maaroof ka Huqm denge, Aur Munkar se mana Karenge"

(surah hajj ayat 41)

ye baat bilkul waazeh hai ke Bhalaayi ka huqm dene waala pahle khud us bhalayi ko baja laayega. Aur Aise hi Munkar se Rokne waala Pahle khud munkar Se baaz rahega,

Allah taala ne Bani Israel ko Unke Qaul wa fael ke Muta'ariz hone ki wajah se Fatkaar dete hue kaha

" Kya Tum Logon Ko Neki Ka huqm karte ho aur Apne aap ko Bhool jaate ho, Halaanke tum kitaab ilaahi ki tilaawat karte ho, Fir kya tum aqal se Kaam nahin Lete"

(Surah baqarah ayat 44)

To Be Continued.......

Read More »

Monday, December 10, 2012

HADITH KE MAAMLE ME CHHAAN BEEN AUR AHTIYAAT

Bismillahirrahmanirraheem





HADITH KE MAAMLE ME CHHAAN BEEN AUR AHTIYAAT




"Musalmano kharbardaar raho main yani Nabi saw , Quran diya gaya hun , or uske saath usi darze ki ek or chiz yani Sunnat yani Hadees bhi diya gaya Hun"


Abu Daood , kitab us Sunnati 4604 , Ibn Hibban 97 , Ibn Hibban ne isse sahi kaha hai



Allah ne Farmaya ,


"Or humne Aap ki taraf zikr"Quran"nazil kiya hai take Aap logon par un ahkam ko khol khol kar bayan kardo jo un ke taraf utare gaye hai , taake woh Gaur kareen ,"


Surah 16 an-Nahl , Aayat no 44 ,


Nabi saw ne farmaya , yaad rakho mujhe Quran or is ke saath is jaisa ek or chiz"Hadees"di gayi hai ,


{Abu Daood , kitab us Sunnati 4604 , Ibn Hibban 97 , Ibn Hibban ne isse sahi kaha hai}


Or jis tarah Allah ne apne Ittat ko farz kiya hai isi tarah Rasool saw ki Ittat ko bhi lazem karaar diya hai ,


"Aye Imaan walo Allah ki Ittat karo or Allah ke Rasool saw ki Ittat karo or is Ittat se hat kar apna amal bar baadzaya na hone do ,"


Surah 47 Muhammad ,Aayat no 33 ,


Maloom howa ke Quran ki tarah Hadees bhi daleel or Huzzat hai , magar Hadees se daleel lena se pahle is baat ka Ilm zaruri hai ke kya woh Hadees Nabi saw se sabit bhi hai ya nahi ,


Nabi saw ne farmaya ke baad ke daur mein Dajjal or Jhoote log hoge woh tumhe aisi aisi Hadees suna yege jinhe tumne or tumhare baap dadaon ne nahi suna hoga , isliye un se apne aap ko bachhaye rakhna , kahi aisa na ho ke woh tumhe gumrah karde or fitna mein dall de ,


{Muslim , al mukaddamah Hadees no 7}


Nabi saw ne farmaya ke jo shakhs mujh par jaan bujh kar jhoot bole usse chahiye ke woh apna thikana jahannam mein bana le ,


{Bukhari , kitab ul Ilm 107,108}


Kyun ki Allah ke pass kisi amal ke qubool hone ka madar tartib 3 chizon par hai ,

1 - Aqeedah ka durusht hona ,

2 - Amal ka durusht hona ,

3 - Niyat ka durusht hona ,


Inmein se kisi ek ka bhi na hone se sara amal barbaad ho jata hai , or yaad rahe ki Quran o Sunnat or Sahaba ka maazmuwi taur par amal ka taur tarika or ummat ka ijmaa hi woh kasauti hai jis par kisi Aqeeda ya amal ki durusht hona parkha ja sakta hai ,


Nabi saw ne farmaya ke aadmi ke jhoota hone ke liye yahe kaafi hai ke woh har suni sunai baat bayan karde ,


{Muslim , al Mukaddamah Hadees no 5}


Imaam Muhammad bin Idrish Safai ra farmate hai, Ibn Sirrin , Ibrahim Nakahi, or Dusre Tabaein ka yahi mazhab hai ke Hadees thik thak logo se hi le jayege , or Muhaddissin mein se kisi ka is mazhab ka Ikhtelaf nahi paya gaya ,


{Taamhid , Ibn Bar}


Allah se Du'a Hai ke Hum ko Ghar walon ko Aap logon ko or Sare Musalmano ko Quran o Sunnat ko Sahaba ke Manhaj par amal karne wala fir Daw'at Dene

wala banaye,

Ameen Ya Rabbil Aalameen ,

Post by , Abdur Rahim Shah
f/b , aana.ahlehadees.9@facebook.com

Read More »

SUNNAT SAHABA KIRAM KI NAZAR ME

Bismillahirrahmanirraheem




SUNNAT SAHABA KIRAM KI NAZAR ME





"Musalmano kharbardaar raho main yani Nabi saw , Quran diya gaya hun , or uske saath usi darze ki ek or chiz yani Sunnat yani Hadees bhi diya gaya Hun"


{Abu Daood , kitab us Sunnati 4604 , Ibn Hibban 97 , Ibn Hibban ne isse sahi kaha hai}


Sahaba kiram raz , Rasool e Akram saw , ki Tamam Qaaol o Amal ko thik thak usi tarha ittat farmabardaari karne ki kosis farmate jis tarha Nabi saw , se sunte ya Aap saw ko karte dekhte the kuch misal dekhe ,


Sunnat ki ittat farmabardaari ke liye Sunnat ki zarurat or hikmat samajh mein aana zaruri Nahi ,


1-Abu Saaed Khudri raz , kahte hai ke ek baar Rasool saw , Sahaba raz ko Namaz pada rahe the ke dauran e Namaz mein Aap saw ne joota utar kar baaye taraf rakh diye , jab Sahaba raz ne dekha to unhone bhi apni joote utar diye , Nabi saw ne Namaz khatam ki to maloom kiye , tum log ne apne joote kyon utare ?, Sahaba raz , ne Arz kiya humne chuke Aap saw ko joote utarte dekha aat humne bhi apne joote utar diye , Rasool saw ne farmaya Mujhe to Jibril as, ne aakar bataya tha ke mere joote mein gandagi hai ya kaha ke Nuqsaan dene wali chiz hai , aat maine utar diya fir Aap saw ne Sahaba raz ko Nasihat farmayi jab Masjid mein Namaz padne aao to pahle apne joote ko acchi tarah dekh liya karo, agar unme gandagi lagi ho to saaf kar liya karo fir Namaz paado ,


{Sahih Sunan Abi Daood , lil Albani jild 1 , Hadees 605}


2- Abu Rafea raz , farmate hai ke Maarwan ne Abu Huraira raz , ko Madina ka Gaawarnar banaya or khud kisi kaam se Makkah chale gaye , is dauran Abu Huraira raz , ne Namaz e Jummah padai pahle Rakat mein Surah Jummah or dushre Rakat mein Surah Munafiqon talawat ki , Abu Rafea raz kahte hai Namaz ke baad main Abu Huraira raz se mila or Arz kiya apne wahi Suraten tilawat farmai jo Ali raz bin abi Talib apne Khilafat ke daaur mein kufa mein pada karte the ,Abu Huraira raz ne farmaya main Rasool saw ko yeh do Suraten Namaz e Jummah mein padte suna hai , isi liye main padi hai ,


{Muslim , kitab ul Jum'mah}


3- Naafe ra , kahte hai ke Abdullah bin Umer raz , ne Baasuri ki aawaz suni to Apni ungliya kaano mein rakh liye or raste ke dushre or kaafi dur nikal gaye or mujhse pucha , aye Naafe kya kuch sun rahe ho ?, maine arz kiya nahi tab unhone apni ungliya kaano se nikale or farmaya main Rasool saw ke saath tha , Rasool saw ne Baasuri ki aawaz suni or aisa hi kiya jo maine ab kiya hai , Naafe ra , ne yeh bhi bataya ke us waqt mein chote umr ka ladka tha ,


{Sahih Sunan Abi Daood , lil Albani jild 1 , Hadees 4116}


4-Hillah bin yasaaf raz , kahte hai hum Sahlim raz bin Ubaid ke paas the ke ek aadmi ne chhek mari or kaha asSalamu Alaykum , Shalim raz ne uske jawab mein kaha wa Aalayk wa aala ummuk , yani tujh par or teri maa par bhi salam fir kaha jo maine kaha hai sayad us par tujhe nagawar guzra hai , us aadmi ne jawab mein kaha meri tamanna thi ke tum meri maa ka aacha jumla mein zikr karte ho ya bura jumla se , to Shalim raz ne kaha suno main yeh jawab isliye diya ke hum Nabi saw , ke sewa mein hazir the ke ek aadmi ne chhek mari or asSalamu Alaykum kaha to uske jawab mein Nabi saw , me bhi yahe jawab diya tha or fir Nabi saw usse bataya jab chhek maro to Allhamdulillah kaho , rawi kahte hai ke Aap saw ne kuch or Hamd ki talimat ka zikr bhi kiya or fir Aap saw , ne farmaya chhek ne wale ke paas jo aadmi mauzud hon usse YarHammukullah kahna chahiye or chhek ne wale ko fir yugfirullah lana wa lakum kahna chiye ,


{Sahih Sunan Abi Daood , Miskat ul Masabih , lil Albani jild 2 , Hadees 4741}



5- Naafe ra , se riwayat hai ke ek aadmi ne Abdullah bin Umer raz , ke paas chhek mari or kaha Allhamdulillah was Salamu aala Rasoollillah , Abdullah bin Umer raz ne farmaya Allhamdulillah was Salamu aala Rasoollillah , to main bhi kahta hun , yani mujhe bhi Nabi saw par salam bhejhne mein koi itteraz nahi lekin Nabi saw ne hame yu sikhaya hai chhek ke baad hum Allhamdulillah aala kulle haal , yani har haal mein Allah ka Shukr hai kaho , aat jo Sunnat tarika hai wahi ikhteyar karo ,


{Sahih Sunan Tirmizi , lil Albani jild 2 , Hadees 2200}



6- Zaid bin Aslam apne baap se riwayat karte hai ke Umer raz bin Khattab ne Hazre Aswat issara karke kaha , Allah ki Qasm mein jaanta hun tu ek paathar hai na Nuqsan pahoncha sakta hai na Naafa Fayeda de sakta hai agar main Nabi saw ko tujhe haat laga kar boosa dena karte na dekha ho ta to tujhe kabhi na chum ta, fir farmaya ab hame Ramal karne ki kya zarurat hai Ramal to Mushrikeen ko dikha ne liye tha , ab Allah ne unhe bar baad kar diya hai , fir khud farmaya lekin Ramal to woh chiz hai jo Allah ke Rasool saw ki Sunnat hai ,or Sunnat chhor na hame pasand nahi ,


{Bukhari , Muslim}



7- Abu Aayub Ansari raz, kahte hai ke Nabi saw , ke paas jab khana laya jaata to Aap saw , usme se khane ke baad mere paas bhejh dete , ek din Aap saw , ne bartan jun ka tun khaye bina mere taraf bhejh diya kyon ke usme Lahsun tha , main Aap saw se pucha kya Lahsun haram hai ? Aap saw ne farmaya nahi lekin main iski bu ki wazah se isse pasand nahi karta , Abu Aayub raz , ne kaha jo chiz Aap saw napasand farmate hai main bhi usse napasand karta hun ,


{Muslim ,kitab ul Aashrab}


8-Abdullah bin Umer raz , se riwayat hai ke Nabi saw ne farmaya Islam ki bunyad 5 chiz par hai ,


1- Ashadu Allahillah illallah wa Ashadu Anna Muhammad an Abdahu wa Rasool ullah ,


2- Namaz Kayam karna ,


3-Zakat aada karna,


4- Ramdaan ke Raze Rakhna , or


5- Baitullah ka Hajj aada karna ,


ek aadmi ne baat dohra kar pucha,Hajj or Ramdaan ke roze , Abdullah bin Umer raz ne farmaya nahi Ramdaan ke roze or Hajj , maine Nabi saw , se is tartib se Hadees suni thi ,


{Muslim , kitab ul Imaan}


Sahaba kiram raz , Rasool e Akram saw , ki Tamam Qaaol o Amal ko thik thak usi tarha ittat farmabardaari karne ki kosis farmate jis tarha Nabi saw , se sunte ya Aap saw ko karte dekhte the kuch misal dekhe ,


Sunnat ki ittat farmabardaari ke liye Sunnat ki zarurat or hikmat samajh mein aana zaruri Nahi ,


1- Zaid bin Aslam raz , farmate hai main Abdullah bin Umer raz , ko khule battno ke saath Namaz padte hun dekha , to main unse pucha Aap aisa kyon karte ho ? to Abdullah bin Umer raz , ne jawab diya main Nabi saw ko aisa hi Namaz padte dekha hun ,


{Ibn Khozema , Sahi Targib wat Tarhib , lil Albani jild 1 , Hadees 43}



2- Muzahid ra, kahte hai ke hum Abdullah bin Umer raz , ke saath ek safar mein jaa rahe the ek jagah se guzre to Abdullah bin Umer raz , raste se dur hat gaye , unse pucha gaya Aap ne aisa kyon kiya ? Abdullah bin Umer raz , ne jawab diya maine Nabi saw ko aisa hi karte dekha tha , is liye maine aisa kiya ,


{Musnad Ahmad or Bajjar, Sahi Targib wat Tarhib , lil Albani jild 1 , Hadees 44}



3- Anas bin Sirrin ra , farmate hai ke main Abdullah bin Umer raz , ke saath Arafat mein tha , jab woh kahi jaate to bhi unke saath jaata yaha tak ke hum Imaam ke paas pohanche or unke saath Namaz Zohr , o Ashr , jama karke aada ki , fir Abdullah bin Umer raz,ne wakuf farmaya to main or mere saathi ne bhi unke saath wakuf kiya , yaha tak ke Imaam Arafat se wapas laut te , to hum bhi unke saat wapas laut te yaha tak ke ussi tang raste par pahonche jo maazmin jagah ke naam se pahle tha , waha pahonch kar Abdullah bin Umer raz , ne apni sawari bithadi or humne bhi apni sawari bithadi , hamara khayal tha ke ab Abdullah bin Umer raz , Namaz padege lekin jo mulazim unke sawari par mauzud tha , usne bataya ke Abdullah bin Umer raz , Namaz padna nahi chahate balke Nabi saw , yaha pahonch kar peshab pakhana se farig hote the is liye Abdullah bin Umer raz , bhi isi jagah peshab pakhana se farig hona pasand karte hai ,


{Musnad Ahmad , Sahi Targib wat Tarhib , lil Albani jild 1 , Hadees 46}


4- Anas bin Sirrin ra , kahte hai ke Anas bin Malik raz , shaam se tashrif laye to thik tamar ke makaam par humne unka suwagat kiya , maine unhe Gadhe par Namaz padte dekha or Gadha ka rukh Qibla ke bajaye Qibla ke dahine taraf tha , main Anas raz , se pucha ke aapne Qibla ki rukh kiye bina Namaz padi hai , unhone farmaya Nabi saw ke is tarah Namaz padte na dekhta to kabhi Aisa Namaz na padta ,


{Bukhari , Muslim , kitab ut Tafseer}



5- Abdullah bin Umer raz, farmate hai ke Nabi saw , ne Sone ki ek angguthi banwai to Sahaba raz , ne bhi Aap saw, ke dekha dekhi angguthi banwali , Aap saw ne farmaya maine sone ki angguthi banwai thi , tumne bhi banwali to Aap saw ne angguthi utar kar fheki or farmaya ab main kabhi istemal nahi karunga , Aap saw ke ittat farmabardaari mein Sahaba raz , ne bhi apni angguthi utar fhek di ,


{Bukhari ,kitab ul Aasaam}


6- Ibn Hanjala ray , se riwayat hai ke Nabi saw , ne farmaya agar Khurrum Asdi ke bal lambe na hote or tahband lamba na hota to bohat achha aadmi tha, Nabi saw ki yeh baat Khurrum Asdi tak pahonchi to khud hi churi lekar kaano tak apne bal kat diye or tahband adha pindliyo tak ucha kar liya ,


{Sahih Sunan Abi Daood , Lil Albani jild 3 , Hadees 4461}


7- Abdullah bin Abash raz , se riwayat hai ke Nabi saw ,ne ek aadmi ke haat mein sone ki angguthi dekhi to usse utar kar fhek diya or farmayat tumme se koi sone ki angguthi pahena kare mano aag ke aangare ka irada karta hai Nabi saw ke tashrif le jane ke baad us aadmi se kaha gaya angguthi utha le or usse koi dusri fayede hasil kar le ,yani apni biwi , bahen ko de de ya bech de Sahabi ne kaha Allah ki Qasam jis angguthi ko Nabi saw , ne fhek diya hai usse kabhi nahi uthaunga ,


{Muslim , kitab ul Liwas waz Zinnta}


8- Jabir raz se riwayat hai ke ek bar Jum'mah ka din Nabi saw , khutba dene ke laye membar par tashrif laye to farmaya , logo bhaith jaao , Abdullah bin Masood raz ne suna to Masajid ke darwaze par hi bhaith gaye , Nabi saw , ne dhekha to farmaya Abdullah Masajid ke Andar aa kar bhaitho ,


{Sahih Sunan Abi Daood , Lil Albani jild 1 , Hadees 203}



1-Sunnta e Rasool saw , ke Mauzudgi mein Tamam Imaamo ne Apne Qaaol or Qiyaash o Raye ko Tark chhor ne ke or Sunnat par Amal karne ka Hukm Diye hai ,


Imaam Abu Hanifa ra , se pucha gaya agar aap ka koi qaaol Quran ki khilaf ho to kya kiya jaye ?, Imaam Abu Hanifa ra , ne jawab diya ke Quran ki mukable mein meri Qaaol ko Radd kar do chhor do , fir pucha gaya agar aap ka koi Qaaol sunnat e Rasool saw ke khilaf ho to kya kiya jaye?, Imaam Abu Hanifa ra , ne jawab diya ke Sunnat e Rasool saw ke mukable mein meri Qaaol ko Radd kardo chhor do, fir pucha gaya ke aap ka Qaaol Sahaba raz , ke Qaaol ke khilaf ho to fir kya kiya jaya?, Imaam Abu Hanifa ra , ne farmaya ke Sahaba ke Qaaol ke mukable mein bhi meri Qaaol chhor do ,


{yeh Qaaol , Aakadil jaadid mein hai , Haqiqat ul Fiqah aj muhammad yusuf page,69}


Imaam Malik ra bin Anas raz , farmate hai bila shubha main Insaan hun , meri baat sahi bhi ho sakta hai or galat bhi ho sakta hai , meri Qaaol par soch bichar karo jo Quran o Sunnat ke mutabik ho us par amal karo , or jo khilaf ho usse chhor do ,


{Abdul Bar ne jame Bayan ul Ilm mein iska zikr kiya hai , al Hadees Hujjat bin Faasihi lil Albaani page, 79}


Imaam Saafaai ra , farmate hai jab tum meri kitab mein koi baat Sunnat e Rasool saw , ke khilaf paao to meri baat chhor do or Sunnat ke mutabik amal karo , ek dusri riwayat mein hai ke sirf Sunnat e Rasool saw ki ittat farmabardaari karo or kisi bhi dusre aadmi ki baat par dhayan na do ,


{Ibn Asaakir Nauwi , or Ibnnul Qaiyem ne iska zikr kiya hai , Haqiqat ul Fiqah page, 80}


Imaam Ahmad ra , farmate hai ke Na meri Taqleed karo , Na Imaam Malik ki , Na Imaam Saafaai ki , Na Imaam Aauzaai or na Imaam Suri ki Balki Deen ki hukm wahi se lo jaha se inhone liya hai , yani Quran o Sunnat se lo,


{Faalani ne apni kitab Huum ullil Absaar mein iska zikr kiya hai , Hadees Hujjat bin Fisshhi page , 80}


Imaam Abu Hanifa ra , farmate hai logo Deen mein apni aqal se baat karne se baacho or Sunnat e Rasool saw ki ittat farmabardaari ko apne liye lazem kar lo , jo koi Sunnat se Hata woh gumraah ho gaya ,


{Imaam Shoraani ne apni kitab al Mizaan mein iska zikr kiya hai , Haqiqat ul Fiqah page , 72}


2-Imaam Abu Hanifa ra, ki nazdik sahi Hadees par amal karna Hidayat hai or Hadees ki khilaf gumrahi or bigaad ka sabab hai ,


Imaam Abu Hanifa ra , farmate hai log us waqt tak Hidayat par kayam rahege jab tak un mein Ilm e Hadees hasil karne wale Mauzud rahenge , jab Hadees ke bina Deen ka Ilm hasil kiya jayega to logo mein bigaad or fasaad paida ho jayega ,


{Imaam Shoraani ne apni kitab al Mizaan mein iska zikr kiya hai , Haqiqat ul Fiqah page , 70}


3-Sunnat e Rasool saw ke mauzudgi mein raye maloom karne wale ko Imaam Malik ra , ne fitno mein padne ya azaab ka sikar hone ka chitabni ,


Ek aamdmi Imaam Malik ra , ke paas aaya or koi masla maloom kiya , Imaam Malik ne bataya ke is bare mein Nabi saw ka irshad mubarak yeh hai , us aadmi ne arz kiya is bare mein aapki kya raye hai?, Imaam Malik ra , ne jawab mein yeh Aayat talawat farmai , jo log Rasool saw ke Hukm ke khilaf karte hai unhe daar na chahiye ke woh kisi fitne ya dard naak azaab ka sikar na ho jaye ,


{Sarahus Sunnah mein ye riwayat hai pahla bhaag page , 216}


4-Sunnat e Rasool saw ke bare mein Imaam Saafaai ra , ke kuch Qaaol,


Is baat par tamam musalmano ki ijmaa hai ke jis aadmi ko Sunnat e Rasool saw , maloom ho jaye uske liye kisi aadmi ke Qaaol ki khatir Sunnat ko Tark chhor na jaeez
nahi hai ,


{Ibn Qaiyem or Faalani ne iska zikr kiya hai , Hadees Hujjat bin Fisshhi lil Albani page , 80}


Mujhe jab Nabi saw ki sahi Hadees ke khilaf baat karte dekho to samajh lena ke mera dimag chala gaya ,


{Ibn Abi Hatim or Ibn Asaakir ne zikr kiya hai , wazib ul aamal page 24}


Imaam Saafaai ra , farmate hai jab sahi Hadees mil jaye to wahi mera mazhab hai , or farmaya jab meri Qaaol Hadees ke khilaf paao to Hadees par amal karo or mera Qaaol diwar par de maaro ,


{iska zikr Aakadil Jadid mein hai Haiqat ul Fiqah page , 74}


5-Imaam Ahmad bin Hambal ra , kisi Aadmi ke Qaaol ki khatir Sunnat e Rasool saw ko Tark karna khasara nuqsaan ka sabab samajhte the ,


Imaam Ahmad ra, farmate hai jisne Rasool saw ki Hadees ko Tark ki diya woh nuqsaan ke kinare par khada ho gaya,


{iska zikr Ibnul Jaauzi ne kiya hai pahla bhaag page 216}


Imaam Ahmad ra , farmate hai Imaam Aauzai Imaam Malik , Imaam Abu Hanifa ra , mein se har ek ki baat Raaye hai or mere nazdik sab ka darza ek jaisa hai , Hujjat Daleel sirf Sunnat e Rasool saw hai ,


{Ibn Abdul Bar ne jaame Bayan ul Ilm mein is ka zikr kiya hah}


Allah se Du'a Hai ke Hum ko Ghar walon ko Aap logon ko or Sare Musalmano ko Quran o Sunnat ko Sahaba ke Manhaj par amal karne wala fir Daw'at Dene

wala banaye,

Ameen Ya Rabbil Aalameen ,

Post by , Abdur Rahim Shah
f/--b , aana.ahlehadees.9@faceb--ook.com

Read More »

SUNNAT KI TAREEF

Bismillahirrahmanirraheem






SUNNAT KI TAREEF



 Sunnat ki Tareef ,


Musalmano kharbardaar raho main yani Nabi saw , Quran diya gaya hun , or uske saath usi darze ki ek or chiz yani Sunnat yani Hadees bhi diya gaya Hun,


Abu Daood , kitab us Sunnati 4604 , Ibn Hibban 97 , Ibn Hibban ne isse sahi kaha hai


1- Sarrai paribhasha mein Sunnat ka matlab Nabi saw ka tarika hai ,


Jisne Meri yani Nabi saw ki ittat farmabardaari kiya woh jannat mein dakhil hoga ,


{Bukhari}


Anas bin Malik raz kahte hai ke Nabi saw ne farmaya jisne meri tarike par chalne se bhacna chaha woh mujh se nahi ,


{Bukhari}


Talha bin Abdullah bin Aauf raz kahte hai ke maine Abdullah bin Aabash ras ke peche namaz e zanaza padhi to unhone us mein Surat ul Fatiah padi or farmaya main yeh isliye padi hai take logon ko pata lag jaye ke yeh Nabi saw ka tarika hai ,


{Bukhari , kitab ul zanaez}


2 - Sunnat ki 3 kisme hai ,


1- Qaauli Sunnat ,

2- Amali Sunnat ,

3 - Takriri Sunnat ,


Nabi saw ka zubaan mubarak se kahna Qaali Sunnat kahlati hai jiska misal yeh hai ,


Hujaayefa raz kahte hai ke Nabi saw ne farmaya agar khana khane se pahle Bismilaa na padi jaye to Shaitan us khane ko apne liye halal samajh leta hai ,


{Muslim , kitab ul Aataam}


Nabi saw ka amal ko Amali Sunnat kahlate hai jiska misal yeh hai ,


Maaimuna bin Waaris raz farmati hai jab hum namaz ke liye khade hote to Nabi saw hamari Shaafu ko durust farmate jab hum shaaf mein seedhe khade ho jate to fir Aap saw Allahu Akbar kah kar namaz suru karte,


{Sahi sunan ibn Daood , lil albani pahla bhag hadess 619}


Nabi saw ke maauzudgi mein jo kaam kiya gaya ho or Aap saw ne khamosi farmayi ho ya us par pasaandidgi ki ho usse Takriri sunnat kahte hai jiska misal yeh hai ,


Kaaush bin Aamr raz kahte hai Nabi saw ne ek aadmi ko Fazr ki namaz ke baad 2 rakate padte dekha to farmaya Fazr ki namaz to 2 rakate hai us aadmi ne jawab diya maine Farz namaz se pahle ki 2 rakate nahi padi the to ab padi hai , Nabi saw yeh jawab sunkar khamush ho gaye yani iski izazat dedi ,


{Sahi sunan ibn Daood , lil albani pahla bhag hadess 1128}


Yaad rahe Sunnat ki 3 no kisme ek hi darje ki hai ,



SUNNAT KI AHMIYAT



Musalmano kharbardaar raho main yani Nabi saw , Quran diya gaya hun , or uske saath usi darze ki ek or chiz yani Sunnat yani Hadees bhi diya gaya Hun


Abu Daood , kitab us Sunnati 4604 , Ibn Hibban 97 ,Ibn Hibban ne isse sahi kaha hai ,


1- Jo amal Sunnat e Rasool saw ke mutabik na ho woh Allah ke yeha Mardud hai kabil e Qabool nahi hai ,



Aaisah raz kahte hai Nabi saw ne farmaya jisne Deen mein koi aisa kaam kiya jiski bunyad sariyat mein nahi woh kaam mardud hai ,


{Bukhari , kitab us Sayam}


2- Rasool saw ki nafarmani nuqsan or thabahi ka waza hai ,


Abu Musa Ashari raz se riwayat hai ke Nabi saw ne farmaya meri or is hidayat ki misal jise main de kar bheja gaya hun , aisa hai jaisa ke ek aadmi apni kaum ke paas aaye or kahe , logon main apni aankho se ek lashkaar dekha hai , jisse main wayeh taur se khabardaar kar raha hun , usse bachne ki fikr karo , kaum ke kuch log ne uske baat maanli or raato raat chup ke se nikal gaye jab ke doosre logon ne jhutlaya tha or apne gharo mein ghaflat se pade rahe , subha ke waqt lashkar ne unhe aa liya or tabah kar ke unke nasal ka khatma kar diya , yeh misal meri or mujh par utare gaye haq ka ittat farmabardaari karne wale or na karne wale logon ki hai ,


{Bukhari , Muslim}


Irbaaz bin Shariya raz se riwayat hai ke unhone Nabi saw ko farmate hue suna hai ke logon main tumhe aise roshan Deen par chhore ja raha hun , jiska raat bhi din ki tarah roshan hai usse wahi aadmi inkaar karega


jiska tabahi hona hai ,

{Ibn Aahsim nekitab us sunnah mein riwayat kiya hai ,Sahih kitab us sunnah ,Lil Albani jild 1 ,Hadees no 49}


3-Rasool saw ke mukable meie kisi Nabi , ya wali , Muhaddis , ya Faaqi , Imaam , ya Aalim ki ittat farmabardaari ki khayal khuli gumrahi hai ,


Jabir raz riwayat karte hai ke Umer raz Nabi saw ke sewa mein hazir hue or khaha ke hum yahoodi se kuch baatein suni hai jo hame acchi lagti hai kya unme se jo zayada acchi lagne wali baat likh liya kare ,? Nabi saw ne irshad farmaya kya tum apni Deen ke bare mein shak o suba ke sikar ho ke yeh adhura hai ? Jis tarha yahood o nasara apne Deen ke bare mein shak o suba mein pad gaye the , beshak main ek wazeh or roshan sariyat lekar aaya hun , agar aaj Musa as , bhi zinda hote to merh ittat farmabardaari kiye bina unke liye bhi koi rashta na hota ,


{Musnad Ahmad , Bahqi ,Miskat ul Mashabi , Kitab ul Imaan}



Jabir raz riwayat karte hai ke Umer raz bin khattab Taurat le kar Nabi saw , ke khidmat mein hazir hue or arz kiya Ya Nabi saw yeh Taurat hai to Nabi saw ne khamosh rahe , Umer razt Taurat Padhne lage to Nabi saw , ka chahera mubarak gusse se badal ne laga , Abu Bakr raz ne yeh halat dekhi to Kaha aye Umer ghum karne waliyan tujhe ghum paaye , Nabi saw ke chahere ki taraf nahi dekhta , Umer raz ne Nabi saw ke chahere mubarak ki taraf dekha to kaha main Allah or uske Rasool saw ki gussa se Allah ki panah mangta hun , hum Allah ko Rab hone par Islam ko Deen hone par or Muhammad saw ko Nabi hone par razi hai , iske baad Nabi saw ne irshad farmaya us jaat ki Qasam jiske haat mein Muhammad saw ki jaan hai agar aaj Musa as , tashrif le aaye or tum log meri bajaye unka ittat farmabardaari suru kar do to seedha raah se gumrah ho jaoge , or agar Musa as zinda hote or meri Nabuwat ka jamana pate to woh bhi meri hi ittat farmabardaari karte ,


{Daarmi , Mukaddama Page 39 , Hadees no 435}


4- Nabi saw ki ittat farmabardaari mein kotahi ne jang e Wahad ke Faath jeet ko Sikasht haar se badal diya ,


Baraa raz farmate hai ke Wahad ke roz mushrikon se hamara mukabla hua , Nabi saw ne teer andazo ki ek jamat pahad ke chhoti par bitha diya or Abdullah bin Juber raz ko unka ameer mukaraar karte hue farmaya tum hame maidan e jang mein chahe jeete hue dekho ya haarte hue , apni jagah se bilkul na hathna or na hi hamare madad ko aana , lehaza kafiro se jab mukabla hua to kafir bhag nikle , yaha tak ke maine dekha ke mushriken ki aurton pindhliya se kapda uthaye hue pahad par bhagi ja rahi hai , unke haar dikhaye de rahi thi , Abdullah bin Juber raz ne unko samjahya ki Nabi saw ne takid kar gaye hai ke is jagha se na hilna lehaza yeha se mat hilo , teer andaz na mane apni marzi se woh jagah chhor diye , lehaza musalmaano ki haar ho gayi or 70 Sahaba saheed ho gaye ,


{Bukhari , kitab ul Gazi , Gazwa wahad}


5- Sahaba raz Sunnat e Rasool saw ko Tark karna khuli gumrahi samajhte the ,


Urwaa bin Juber se riwayat hai Abu Bakr siddique raz ne farmaya maim koi aisi chiz nahi chhor sakta jis par Nabi saw amal kiya karte the , kyon ke mujhe daar hai ke agar main Nabi saw ki amal o Qaaol main se koi chiz bhi chhor duga to gumrah ho jaaonga ,


{Bukhari , Muslim}


6- Aisi baat ya amal , jo Nabi saw se sabit na ho , Hadees ya Sunnat kahkar logo ke Shamne pesh karne ki saza jahannam ki aag hai ,


Abu Huraira raz kahte hai ke Nabi saw ne farmaya jisne jaan bhujh kar jhoot meri our nisbat kiya woh apna thikana jahannam mein bana le ,


{Bukhari , Muslim}


Ali raz kahte hai ke Nabi saw ne farmaya meri taraf jhooti baat nisbat na karo jisne meri taraf jhooti baat nisbat ki woh aag mein dhakhil hoga ,


{Bukhari , Muslim}


Salma raz se riwayat hai ke main Nabi saw ko yeh farmate hue suna hai ke jo aadmi meri taraf aisi baat nisbat kare , jo maine nahi kahi , woh apni jagah jahannam mein bana le .


{Bukhari , kitab ul Ilm}


Abu Huraira raz se riwayat hai ke Nabi saw ne farmaya , aakhri jaamane mein dajjal or jhoote log aisi Hadeesen tumhare paas layenge , jo tum ne or tum hare baap dada ne kabhi na suni hogi , lehaza unse bacch kar raho kahi tumhe gumrah na kar de ya fitne ka sikar na kar de


{Muslim , Mukaddama}


7- Sunnat e Rasool saw , chhor kar koi naya tarika talash karne wala aadmi Allah ke yeha sab se zayada nafrat o gussa waza hai ,


Abdullah bin Abash raz, se riwayat hai ke Nabi saw ne farmaya 3 aadmi Allah ke yeha sab se zayad nafar gussa ke sikar hoge ,


1 -Haram sarif ka hurmat raaund ne wala ,


2- Islam mein Nabi saw ka tarika chhor kar nafarmani ka tarika talash karne wala ,


3- Kisi musalmaan ka bina wazah khoon talab karne wala take uska khoon bahaye ,


{Bukhari , kitab ul Dooat}


8- Nabi saw ke hukm na maanne par dunya mein taklif dene wala saza ,


Salma bin Aakua raz se riwayat hai ke unke baap ne unhe bataya ke ek aadmi ne Nabi saw ke paas baayen haat se khana khaya to Aap saw ne farmaya apne daahene haat se khaao , us aadmi ne jawab diya main aisa nahi kar sakta , Aap saw ne irshad farmaya accha Allah kare tujh se aisa na ho sake , us aadmi ne ghamand ki wazah se yeh baat kahi thi , or koi saraai wazah nahi tha , rawi kahte hai ke woh aadmi umr bhar apna daayanh haat munh tak na utha saka ,


{Muslim , kitab ul Aasrab}


9- Sunnat ka Ilm ho jane ke baad us par amal na karne wale logon ko Nabi saw ne nafarman kaha ,


Jabir raz se riwayat hai ke Nabi saw Ramdaan mein faath Makkah wale saal Makkah ke liye Madina se nikle , jab Kurah gunmin{jagah ka naam hai}pahonche to Nabi saw or Sahaba sabne roza rakha tha dauran e safar Aap saw ne pani ka piyala maang kar uncha kiya yaha tak ke logo ne us piyale ko dekh liya phir Aap saw ne pee liya baad mein Aap saw ko bataya gaya ke kuch logo ne abhi bhi roza rakha hua hai , is par Aap saw ne irshad farmaya ye log nafarmaan hai yeh log nafarman hai ,


{Muslin , kitab us Siyam}


Allah se Du'a Hai ke Hum ko Ghar walon ko Aap logon ko or Sare Musalmano ko Quran o Sunnat ko Sahaba ke Manhaj par amal karne wala fir Daw'at Dene

wala banaye,

Ameen Ya Rabbil Aalameen ,

Post by , Abdur Rahim Shah
f/b , aana.ahlehadees.9@facebook.com

Read More »

SUNNAT QUR'AAN KI ROSHNI ME

Bismillahirrahmanirraheem




SUNNAT QUR'AAN KI ROSHNI ME




Sun'nat Quran Ki Roshni Mein ,



Musalmano kharbardaar raho main yani Nabi saw , Quran diya gaya hun , or uske saath usi darze ki ek or chiz yani Sunnat yani Hadees bhi diya gaya Hun


Abu Daood , kitab us Sunnati 4604 , Ibn Hibban 97 , Ibn Hibban ne isse sahi kaha hai


1 - Deen ke mamlon mein Nabi saw ke Hukm par Amal karna Farz hai ,

Aye Imaan walo Allah or uske Rasool saw ki ittat farmabardaari karo or baat sun lene ke baad usse munh na phero ,


Surah 8 al-Anfal ,Aayat no 20 ,


Aur Namaz padhte raho or zakat dete raho or Rasool saw ka ittat farmabardari karte raho taake tum par rahem kiya jaye ,


Surah 24 an-Noor ,Aayat no 56 ,


Aur jo shakhs Rasool saw ki ittat farmabardaari karega to beshak usne Allah ki farmabardaari ki or jo nafarmani kare to aye Rasool saw Aap ko Allah ne unka nigehbaan bana kar nahi bejha ,


Surah 4 an-Nisaa ,Aayat no 80 ,


Aur Allah or uske Rasool saw ki ittat farmabardaari karo taake tum par rahem kiya jaye,


Surah 3 ale-Imran ,Aayat no 132 ,


Aye Imaan walo Allah or uske Rasool saw ki ittat farmabardaari karo or jo tumme se jo sahib e hukoomat hain unki bhi , or agar kisi baat mein tum mein ikhtilaf waqe ho to agar Allah or roz e aakhirat par imaan rakhte ho to usse Allah or uske Rasool saw ke hukm ki taraf rujoo karo , yeh bohat achchhi baat hai or anjam ke aithbaar se bhi behtar hai ,


Surah 4 an-Nisaa ,Aayat no 59 ,


Tumhare Rab ki Qasam yeh log jab tak apne tanazat mein Aap ko Hakim faisla karne wala na maanle , or jo faisla Aap kardo usse apne dil mein tangi na kare balke usko khushi se maan lein tab tak momin nahi honge


Surah 4 an-Nisaa ,Aayat no 65 ,


Aye Imaan walo Allah ka farmabardaari karo or Rasool saw ki ittat karo or ittat karne se hat kar apne amalon ko zaya barbad na hone do ,


Surah 47 Muhammad ,Aayat no 33 ,


Jo chiz tumhe Rasool saw dein woh le lo or jis chiz se Rake usse rukh jaao , or Allah se darte raho , beshak Allah sakht azaab dene wala hai ,


Surah 7 al-Hashr ,Aayat no 7 ,



2-Nabi saw ki ittat karna kaamyabi ki jaamanat hai


Momino ki to yeh baat hai ke jab Allah or uske Rasool saw ki taraf bulaye jaye taake unme faisla karen to kahen ke humne hukm sun liya or maan liya ,or yahi log falah paane wale hain ,


Surah 24 an-Noor ,Aayat no 51 ,


Aur jo shakhs Allah or uske Rasool ki ittat farmabardari karenge usse darega to aise hi log murad ko pahonchne wale hain ,


Surah 24 an-Noor ,Aayat no 52 ,


Allah sab aamal durust kar dega or tumhare gunah bakhsh dega , jo shakhs Allah or uske Rasool saw ki ittar farmabardari karega to beshakh badi kaamyabi hasil ki,


Surah 33 al-Ahzab ,Aayat no 71 ,


Tamam ahkaam Allah ki hadein hain or jo shakhs Allah or uske Rasool saw ki ittat farmabardaari karega , Allah usko bahiston jaannat mein dakhil karega jinme nehrein beh rahi hain , woh unme hamesha rehenge or yeh badi kaamyabi hai ,


Surah 4 an-Nisaa ,Aayat no 13 ,



3- Allah or Rasool saw ke hukm ke mutabik kiye gaye amal ka pura badla milega ,



Aur agar tum Allah or uske Rasool ki ittat farmabardarit karoge to Allah tumhare aamal ke azr wo sawab mein se Allah kuch kami nahi karega , beshak Allah bakhshne wala meherbaan hai ,

Surah 49 al-Hujurat ,Aayat no 14 ,



4-Nabi saw ki ittat mein Gunah ki maafi ,


Aye Nabi saw logon se kahdo ke agar tum Allah ko dost rakhte ho to Meri pairvi karo Allah bhi tumhe dost rakhega or tumhare gunah maaf kar dega or Allah bakhshne wala meherbaan hai ,


Surah 3 ale-Imran ,Aayat no 31 ,



5- Allah or Rasool saw ka farmabardari karne wala Nabi , Siddiq , Shuhada , Saaliheen mein rahega ,


Aur jo log Allah or uske Rasool saw ki ittat farmabardaari karte hain to woh Qiyamat ke raz un logon ke saath honge jin par Allah ne bada fazl kiya yani Ambiya or Siddiq Shaheed or saaliheen Nek log or un logon ki rifaqat sangat bohat hi aacha bohat hi khoob hai ,


Surah 4 an-Nisaa ,Aayat no 69 ,


6-Allah or Rasool saw , par Imaan lane ke bawazud kuch log Amal mein Allah or Rasool saw , ka Hukm nahi mante aise log momin nahi ,


Aur Ba'z log kahte hain ke hum Allah or Rasool saw par Imaan laye or unka Hukm maan liya , phir iske baad unme se ek firqa phir jata hai or ye log sahib e Imaan Momin hi nahi hain ,


Aur jab unko Allah or uske Rasool saw ki taraf bulaya jata hai taake Rasool saw umka bahami mamlaat qazya chhora de faishla kar de to unme se ek firqa munh pher
leta hai ,


Surah 24 an-Noor ,Aayat no 47 , 48 ,


Aur jab unse kaha jaata hai ke jo hukm Allah ne nazil farmaya hai uski taraf rujoo karo or Rasool saw ki taraf aao to munafiqon ko dekhte ho ke Aap se aitraz karte hai or ruke jaate hain ,


Surah 4 an-Nisaa ,Aayat no 61 ,


Kahdo Nabi saw ke Allah or uske Rasool saw ki Ittat farmabardaari karo , agar na maane to Allah bhi khafiron ko dost nahi rakhta pasand nahi karta ,


Surah 3 ale-Imran ,Aayat no 32 ,


7-Allah or Rasool saw ka ittat farmabardaari na karne ka natiza apsi fut or ladai o jhagda hai ,


Aur Allah or uske Rasool saw ke hukm par chalo or aapas mein jhagda na karna ke aisa karoge to tum buzdil ho jaoge or tumhara hawa ukhad jayega or sabr se kaam lo ke Allah sabr karne walo ka madadgaar hai ,


Surah 8 al-Anfal ,Aayat no 46 ,


8-Rasool saw ke hukm ke maauzudgi mein kisi dusre ka hukm par amal karne ki Deen Islam mein koi gunjaish nahi , Allah or Rasool saw ki na farmani gumrahi hai ,


Aur kisi Momin Mard or Momin Aurat ko yeh haq nahi hai ke jab Allah or uska Rasool saw koi AMR faisla muqarrar kar de to woh us kaam mein apna bhi kuch akhtiyar samjhein , or jo koi Allah or uske Rasool saw ki nafarmani kare woh sahi mein gumrah ho gaya khuli gumrahi mein ja pada,


Surah 33 al-Ahzab ,Aayat no 36 ,


9-Allah or Rasool saw ki nafarmani karne wala apne anzam ka khud zimmedaar hoga ,


Aur Allah ki farmabardaari or Rasool saw ki ittat farmabardaari karte rahn or darte raho , agar munh pheroge to jaan rakho ke hamare Rasool saw ke zimme to sirf paigham khol kar pahoncha dana hai ,


Surah 5 al-Ma'idah ,Aayat no 92 ,


Aur Allah kh ittat karo or uske Rasool saw ki ittat farmabardaari karo agar tum munh pher loge jo hamare Rasool saw ke zimme to sirf paigha ka khol khol kar pahoncha dena hai ,


Surah 64 at-Taghabun ,Aayat no 12 ,


10-Allah or Rasool saw , ki nafarmani karne ki saza jahannam or dukh dend wale aazab ,


Aur jo Shakhs Allah or uske Rasool saw ke ittat farmabardaari par chalega usko Bahiston jannat mein dakhil karega jiske tale nehrein beh rahi hain , or jo munh pherega rugardani karega usse bure dukh ki saza dega ,



Surah 48 al-Fat'h ,Aayat no 17 ,


11- Hile or bhane talash kar ke Allah or Rasool saw ke hukm se bacchna dardnak aazab ka sabab hai ,



Musalmano Rasool saw ke bulane ko aisa khyal na karna jaisa tum aapas mein ek doosre ko bulate ho , beshak Allah ko woh log maloom hain jo tumme aankh bacha kar chal dete hain to jo log Rasool saw ke hukm ki mukhalfat karte hain unko darna chahiye ke aisa na ho ke un par koi aafat pad jaye ya takleef dardnaak dene wala azaab nazil na aa jaye ,


Surah 24 an-Noor ,Aayat no 63 ,



Quran o Sunnat Par Amal Karne Ka Hukm ,



"Musalmano kharbardaar raho main yani Nabi saw , Quran diya gaya hun , or uske saath usi darze ki ek or chiz yani Sunnat yani Hadees bhi diya gaya Hun"

Abu Daood , kitab us Sunnati 4604 , Ibn Hibban 97 , Ibn Hibban ne isse sahi kaha hai


Allah ne hukm farmaya ,


1- Aye Musalmano , Aaj ke Din maine tum par apni nemat ko poora kar diya , or tumhare liye Islam ko bataur e Deen pasand kar liya hai ,


{Surah 5 al-Ma'idah , Aayat no 3}


Yeh Aayat Dul'Hijjah san 10 Hijr mein A'rfat ke maidan mein Nazil hue , is ke nazil hone ke 3 mahine ke baad Nabi saw yeh Kamil Deen ummat ko Dekar Allah se ja mile ,


or ummat ko yeh wasiyat kar gaye ,


2-Main yani Nabi Saw , tumhare darmiyan aisi do chizen chhode ja raha hun ke jab tak tum unhe mazbuti se pakde rahoge hargiz gumrah na hoge , yani Allah ki Kitab or meri Sunnat ,

{Bahqi , Mu'atta Imaam Malik , kitab ul Qadr 2/899 Hakim , 1/93 , or Ibn Hazam ne isse sahi kaha hai}


Maloom hua ke Islam , Quran o Sunnat mein mahdood hai , or yeh bhi sabit hua ke mas'hala or fatwa sirf wahi amal karne ki layak hai jo Quran o Sunnat tarik se sabit ho,



3-Nabi saw ne farmate hai , meri sari ummat jannat mein dakhil hogi us ko chhod kar jisne inkaar kiya , sahabi raz ne pucha Aye Nabi saw , Inkaar karne wala koun hoga ? Aap saw ne farmaya jisne meri farmabardari kiya woh jannat mein dakhil hua or jisne meri na farmani ki to usne inkaar kiya ,


{Bukhari , kitab ul Ihtisham 260}


4-Urbaaz bin Shariya raz riwayat karte hai ke ek din Nabi saw ne hame Namaz padai fir Aap saw hum logon se mukhatab hue or nasiyat farmayi , nasiyat sunkar hamare aankho se aanshu jari ho gayi or dil dahel gaya , ek sahabi ne kaha Aye Nabi saw ye nasiyat to aisa hai jaise kisi rukhshat karne wale ka hota hai , isliye hamko khash wasiyat ki jiye,Aap saw farmaya main tumhe wasiyat karta hun ke Allah se daarte rahna , or apni aameer ki jaaez baat sunna or manna , agarche tumhara aameer habsi ho, mere baad jo tum me zinda rahega woh bohat ikhtelaf dekhega , us waqt tum meri Sunnat or Khulfa e Rasheedin ka tarika lazem pakadna , usse Daatho se mazboot pakde rahna or Deen ke andar naye naye kaamo or taur tarike se bacchna ,


{Abu Dauood , kitab us Salath 4607 , Tirmizi , kitab ul Ilm 2661}


Is hadees se sabht hua ke Bid'at gumrahi hai , koi Bid'at Has'na nahi ,


5-Abdullah bin Umar raz farmate hai , har Bid'at gumrahi hai chahe log usse neki samjhe ,


{As Sunnah , Muhammad bin Nazr Maruzi , Shirhul Usool , 1/92}


6- Imaam Malik ra ne kya khoob farmaya hai , jis shakhs ne Islam mein neki samajh kar koi chiz Ejaad ki to us ne gumaan kiya ke Allah ke Nabi saw ne Risalat ki Tableeg mein khiyanat se kaam liya Allah ki Panah , Nabi saw ke jamane mein jo chiz din na thi woh aaj bhi nahi ban sakti ,


{al Ayteshami Lisshatbi 1/49 ,



Allah se Du'a Hai ke Hum ko Ghar walon ko Aap logon ko or Sare Musalmano ko Quran o Sunnat ko Sahaba ke Manhaj par amal karne wala fir Daw'at Dene

wala banaye,

Ameen Ya Rabbil Aalameen ,

Post by , Abdur Rahim Shah
f/b , aana.ahlehadees.9@facebook.com


Read More »

Wednesday, November 21, 2012

SHOHADA KA MAQAAM

Bismillahirrahmanirraheem



SHOHADA KA MAQAAM



Saheed Yani jo Allah ke Raah Mein Mare, Allah ke Nazdik zinda hai, dunya mein nahi or na apne Qabr me , 

Daleel ,


"Aur jo log Allah ki raah mein maare jayenge unki nisbat yeh na kahna ke woh mare hue hai woh murda nahi balke zinda hain lekin tum nahi jaante"


Surah 2 al-Baqarah ,
Aayat no 154 ,


"Jo log Allah ki raah mein maare gaye unko mare hue na samajhna woh mare hue nahi hain balke Allah ke nazdik zinda hain or unko rizq mil raha hai"

Surah 3 al-Imran ,
Aayat no 169 ,

"Yeh aayat saheedo ke liye hai Ahl e Batil apne banaye hue baba peer fakir nange sha khuzde sha shuhagan baba tote sha billi sha jumman peer dadbad baba pahelwan baba ke uper fit karte hai jahil barelvi ke koi baba saheed nahi hue fir bhi yeh aayat unke uper fit karte hai ,
Jo Qabr mein hai woh murda hai , or Nabi saw Qabr walo ko aawaz nahi suna sakte hai ,"


Daleel ,


"Kya in logon ko jo ahle zameen ke maar jaane ke baad zameen ke malik hote hain ye amr mojib e hidayat nahi hua ke agar hum chahen to unke gunahon ke sabab un par musibat dal dein or unke dilon par mohr laga dein ke kuch sun hi na saken ,"

Surah 7 al-A'raf ,
Aayat no 100,

"Aur Aap Nabi saw murdo ko baat nahi suna sakte or na behron ko jab woh peeth pher kar phir jayen awaaz suna nahi sakte ho ,"

Surah 30 ar-Room ,
Aayat no 52 ,

"Aur na zinda or murde barabar ho sakte hain , Allah jisko chahata hai suna deta hai or Aap Nabi saw unko jo Qabro mein dafan hain suna nahi sakte"

Surah 35 Fatir ,
Aayat no 22 ,


"Har Naffs ko Maut ka maaza chakhna hai ,
Aur agar Allah logon ko unke zulm ke sabab pakadne lage to ek jandaar ko zameen par na chhode,lekin unko ek waqt e muqarrar tak mohlat diye jaata hai , jab woh waqt aa jata hai to ek ghadi na peeche rah sakte hain or na aape badh sakte hain ,"

Surah 16 an-Nahl ,
Aayat no 61 ,

"Har Naffs ko maut ka maza chahna hai , or Allah tum logon ko sakhti or aasudgi mein aazmaish ke taur par mubtala karte hain or tum Allah ki taraf hi laut kar aaoge ,"

Surah 21 al-Ambiya ,
Aayat no 35 ,

"Har Naffs ko maut ka mazat chakhne wala hai phir Allah hi ke taraf laut kar aaoge ,"

Surah 29 al-Ankabut ,
Aayat no 57 ,


"Yeh log isi tarah ghaflat mein rahege yaha tak ke jab inme se kisi ke paas maut aa jayegi to kahega ke aye Rab mujhe phir dunya mein wapas
bhej de ,"

Surah 23 al-Mu'minun ,
Aayat no 99 ,

"Allah hi ko Qiyamat ka Ilm hai or Allah barish barsata hai or Allah Hamila ke pet ki chizon ko jaanta hai ke Nar hai ya Mada or koi shakhs nahi jaanta ke woh kal kya kaam karega , or koi Naffs nahi jaanta ke kis sarzameen mein use maut aayegi , beshak Allah hi jaanne wala or khabardaar hai ,"

Surah 31 Luqman ,
Aayat no 34 ,

"Aur jo mall Allah ne tum ko diya hai isme se us waqt se peshtar kharch karlo ke tumme se kisi ki maut aa jaye to us waqt kahne lage ke aye mere Rab tune mujhe thodi si mohlat kyon na diya take main khairaat kar leta or nek logon mein dakhil
ho jaata ,

Aur jab kisi ki maut aa jaati hai to Allah usko harghiz mohlat nahi deta, or jo kuch tum karte ho Allah usse khabardar hai"

Surah 63 al-Munafiqun ,
Aayat no 10,11,


"Aadam as or Maa Haawa ka maut ka zikr ,
Yani Aadam as or Haawa ko kaha ke usi zameen mein tumhara jeena hoga or usi mein maarna or usi mein se Qiyamat ko zinda karke nikaale jaoge ,"

Surah 7 al-A'raf ,
Aayat no 25 ,


Allah ke Nabi saw ka
Maut ka zikr ,

"Aye Mohammad saw to sirf Allah ke Rasool hain,Aap se pahle bhi bohat se Rasool ho guzre hain , bhala Aap agar fitri maut maar jaye ya Qatl saheed kar diye jaye to kya tum log ulte paon phir jaoge ?yani murtad ho jaoge? Or jo ulte paon phir jayega to Allah ka kuch nuqsan nahi kar sakega or Allah shukr guzaaron ko bada sawaab dega ,"

Surah 3 al-Imran ,
Aayat no 144 ,

"Aur aye Nabi saw Allah ne Aap se pahle kisi aadmi ko baqa e dawam yani hamesha ki zindagi nahi bakhsha , bhala agar Aap maar jao to kya yeh log hamesha zinda rahege ,"

Surah 21 al-Ambiya ,
Aayat no 34 ,

"Aye Mohammad saw Aap bhi maar jaoge or yeh bhi maar jayenge ,"

Surah 39 az-Zumar ,
Aayat no 30 ,

Marne ke baad Qayamat ko uthaye jana hai ,

Yani Aadam as or Haawa ko kaha ke usi zameen mein tumhara jeena hoga or usi mein maarna or usi mein se Qiyamat ko zinda karke nikaale jaoge ,

Surah 7 al-A'raf ,
Aayat no 25 ,


"Yeh log isi tarah ghaflat mein rahege yaha tak ke jab inme se kisi ke paas maut aa jayegi to kahega ke aye Rab mujhe phir dunya mein wapas
bhej de ,"

"Taake main usme jise chhod aaya hun nek kaam kiya karun , harghiz nahi yeh ek aisi baat hai ke woh ise zuban se kah raha hoga or unke saat amal nahi hoga or unke peeche barzakh hai jahan woh us din yani Qiyamat tak ke dobara uthaye jayenge rahenge ,"

Surah 23 al-Mu'minun ,
Aayat no 99 , 100 ,

Allah se Du'a Hai ke Hum ko Ghar walon ko Aap logon ko or Sare Musalmano ko Quran o Sunnat ko Sahaba ke Manhaj par amal karne wala fir Daw'at Dene
wala banaye,


Ameen Ya Rabbil Aalameen ,
Posted By - Aabdur Rahim Shah ,
id - aanaahlehadees@yahoo.com
f/-b - aana.ahlehadees.9@facebook.com

Read More »

Monday, August 6, 2012

IMAAN KI SA'AADAT SE MAHROOMI KI WAJAH







Bismillahirrahmanirraheem



IMAAN KI SA'AADAT SE MAHROOMI KI WAJAH:


1- Ghuroor e ilm

2- baap, daadaon ki TAQLEED,


Ambiya wa mursaleen par imaan laane ki sa'aadat se mahroomi ki yahi do wajah hain,


1- GHUROOR E ILM


Ek toh wah log they jo guroor ilm me is tarah mulawwis aur apni jihaalat par is hadd tak naazan they ke khud ko kisi qism ki rahnumaayi se mustaghna samjhte they, wah apni fitri pasti aur kotah nazri ke sabab apne maz'oomah uloom par is qadr na'zaan they ke unhone uloom nubuwwat aur unke mu'aarif wa hukm me ghaur wa fikr nahi kiya,

allah taala ne unhi logon ka haal bayaan karte hue farmaya hai

" phir jab unke paighambar unke paas waazeh dalail lekar aaye toh wah ilm par itraane lage. Jo unke apne khyaal me unke paas tha "

(surah momin 83)

aur farmaya:-" aur kaha ke jis cheez ki taraf tu hamen bulaata hai, usse hamaare dil pardon me hain aur hamare kaano me bhojh hai, aur hamare Aur tumhare darmiyaan pardah hai, tu so apna kaam kar ham apna kaam karte hain "

(surah sajda 5)



2- BAAP DADAON KI TAQLEED



dusra giroh aisa tha jisne khud ko akaabir parasti ke hisaar me mahsoor kar liya , jaamid taqleed unke khoon me aise sama gayi ke unhone haqaiq wa dalail ke taraf aankh uthakar nahi dekha, aur apne baap daada ke nazariyaat aur qol ko harf aakhir samjha, aur uske muqaabil har haqiqat ko jhoota samjha

jaisa ke farmaya

" unhen is baat ka kuch ilm nahi wah toh sirf atkal daudaate hain, kya hamne isse pahle unhe koi kitab di ? Ke wah use mazbooti se thaame hue hain, wah toh sirf ye kahte hain ke ham ne apne baap daadaon ko ek raah par paaya aur ham unhi ke naqs e qadam par chalte hue durust ja rahe hain, is tarah hamne tujh se pahle jo daraane waala kisi basti me bheja toh wahan ke aasudah logon ne yahi kaha, hamne baap daadaon ko ek deen par dekha hai, aur ham unhi ki iqteda Karte rahenge, rasool ne kaha, agarchah main tumhare paas wah cheez laaun jo hidaayat me isse badhkar ho jis par tumne apne baap daadon ko paaya, wah bole, ham is paighaam ke munkir hain jo tumhare haath bheja gaya "

( surah zukhruf 20-24)


wahi e ilaahi par mabni aur taufeeq rabbami se taeed yaafta uloom nubuwwat ke muqaable me muqallideen ke maz'oomah uloom wa fano ki haisiyat hamesha wahi rahi jo hz moosa (as) ke moje'zaat baahrah ke saamne fir'aun ke bulaaye hue jaadugaron ke phenki hui rassiyon ki zaahir hui, ambiya wa rasool (as) ke baseerat afroz dalail ke saamne taqleed ki shab nahi thahar sakti thi na thahri, is qism ki aawezish ka nateeja ilm se mahroomi hi raha,

irshad rabbani hai:-" hamara paigham pahunchaane waalon se hamara peshgi (advance) waada hai ke wah muzaffar wa mansoor honge aur hamare lashkar hi ghaalib rahenge "

(surah saffaat 171-173)


chunanche insaani taareekh ka ek ek Page gawah hai ke nubuwwat aur uloom nubuwwat ke muqaabil aane waale

" ye bhi ek lashkar hai jahan aur lashkaron ne shikast khaayi hai ye bhi hazeemat naseeb hai "

ki tafseer bankar rah gaye, namrood apni tamam taaqat wa chalaaki ke ba'wajood hz ibraheem (as) ke dalail ke saamne ruswa ho gaya toh fir'aun apni fir'auniyat aur laao lashkar samet darya e nile me doob gaya aur ibrat ka samaan bana,

silsile nubuwwat wa risaalat hz muhammad sallalaho alaihi wasallam (pbuh) par apne kamaal ko pahuncha, aur huzoor e rahmat par ye nemat is shaan se poori hui ke allah taala ne irshad farmaya

" wahi toh hai jisne apne paighambar ko hidayat aur deen e haq dekar bheja taake usko tamaam deeno par ghaalib kar de aur allah kaafi gawaah hai "

(surah fath 28)


kaaba me gaade gaye pattar ke buton ko nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne apne haath mubarak se hataaya aur dil wa dimagh ke jharokhon me Bithaaye gaye ghulu aur auhaam parasti ke buton ko apni nooraani taalimaat se paas paas kiya aur elaan farma diya

" haq aa gaya aur baatil nabood ho gaya, be'shak baatil nabood hone waali cheez hai "

(surah al isra 81)

aur deen e haq ki mukhalifat me aidi choti ka zor lagaane waala abu sufyan bin al haaris bin abdul muttalib apni zabaan se elaan karne par majboor hogaya

" qasam se main jin dino jhanda uthaaye phirta tha ke laat ka lashkar nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke shahaswaaron par ghaalib aajaaye, andheri raat ki taareeqion me thokaren khaane waale bhatke hue pareshaan ki maanind tha, ab waqt aagaya hai ke mujhe hidayat naseeb ho aur main seedhe raaste par aa jaaun "


ALLAH TAALA HAM SABKO HAQ BAAT KAHNE AUR SUNNE KI TAUFEEQ DE.......AMEEN

Read More »

Tuesday, July 10, 2012

SABR--- KITAB WA SUNNAT KI ROSHNI ME





Bismillahirrahmanirraheem



SABR--- KITAB WA SUNNAT KI ROSHNI ME:



Duniya me jahan kabhi mukhtalif taqleefon, mashaqqaton se do'chaar hona padhta hai, kabhi khushiyan hoti hain to kabhi marsiya khwani bhi hoti hai


" jahan bajti hai shahnaayi, wahan matam bhi hote hain "


is waadi me phool bhi hain, aur kaante bhi,

jo is chand roza zindagi ke masaib ko sabr wa shukr ke saath bardaasht kar leta hai, wah allah ka muqarrab banda ban jaata hai,

use aakhirat me aisa maqaam wa martaba haasil hoga ise dekhkar duniya hairaan rah jaayegi


allah taala ka irshad hai :-" sabr karne waalon ko unki mazdoori be'hisaab milegi "

(surah zumar ayat 10)


matlab ye ke sabr karne waalon ko jo sawaab milega wo kisi paimaane se naap tol kar nahi, balke be'hisaab unhe ata kiya jaayega


ek dusri jagah irshad hai:-" aur unke sabr ke badle unhe jannat aur reshmi libaas diye jaayenge"

(surah daher 12)


yahan tak ke Wah log jinki dunyawi zindagi aafiyat me ghuzri, tamanna karenge ke : aiy kaash! Duniya me kainchiyon ke zariye kaate gaye hote toh hamen bhi sabr ka aisa hi sila milta,


kitab wa sunnat me sabr karne waalon ki badi taareef ki gayi hai, banda saabir allah ka baada pyara aur mahboob hota hai,

irshad hai :-" aur allah sabr karne waalon se muhabbat karta hai "

(surah aal e imram 146)


ek aur jagah irshad hai:-" allah taala sabr karne waalon ke saath hai "

(surah baqarah 153)




Saabiron ke liye nek anjam aur bahtareen theekaana hai, qayamat ke din unka shumar muttaqiyon me hoga,

allah taala ka farman hai:-" jo tang'dusti, dukh, dard aur ladaayi ke waqt sabr kare, yahi sacche log hain aur yahi parhezgaar hai "

(surah baqarah 177)


saabir apne sabr ke badle nihaayat azeem aur na khatm hone waale inaam aur be'inteha ajar se sharf'yaab ho kar daaimi mussarrat se ham'kanaar honge,

nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jise aankhon ne na dekhi, na hi kaano se suna aur na hi us tarah ka koi khyaal kisi bhi insaan ke dil me samaaya"


haqiqat toh ye hai ke sabr momin ki shaan hai, muslim shareef me ek hadith aati hai jo hz suhaib (ra) se marwi hai
hz suhaib (ra) kahte hain ke nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" momin ka maamla bhi ajab hai, har haal me uske liye khair hi khair hai, ye shaan momin ke siwa kisi aur ko mayassar nahi , agar usko masarrat haasil hoti hai to bajaaye takbeer ke allah ka shukr ada karta hai aur agar museebat naazil hoti hai to na'ummeedi ke bajaaye sabr ka sahara leta hai, yani har haal me ye nafa hi me rahta hai, raahat me bhi, ranj me bhi, dono haalaton me khuda ko khush rakhta hai, aur uski raza ka taalab hota hai, nekiyan aur darjaat badhta rahta hai "

(muslim)


lafz sabr bada jaame hai, aur uske maana ke andar badi wasiat hai,

jab nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke sahab'zaade hz ibraaheem ka inteqaal ho gaya toh aap hz abdul rahmaan(ra) ke sahare tashreef laaye, aankhon se aansu jaari they, ye dekh kar ek sahabi ne kaha:- ya rasoollullah ! Aap toh sabr ki talqeen karte hain,

irshaad huwa:-" main aansu bahaane se nahi rokta kyunke ye bashariat ka taqaaza hai, albatta noha aur maatam karne se mana karta hun"

phir aap (sws) ne farmaya:-" aiy ibraaheem ! Ham teri judaayi se bahut Ghamgeen hain, hamari aankhen ashq'baar hain, aur dil rota hai, lekin hamari zabaan se wahi qalma nikalta hai jo hamare rabb ko mahboob hota hai "

(hadith)


jab banda momin sabr wa shukr se kaam leta hai toh jahan ek taraf se sukoon haasil hota hai, aur dusri taraf wah rab ke inaam ka mustahiq thaharta hai,


tirmizi ki ek hadith hai jis mein nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) farmate hain :-" jab kisi musalmaan ka koi baccha mar jaata hai toh uski rooh qabz karne waale farishton se allah taala sawaal karta hai ke :-tumne mere ek bande ke baccha ki rooh qabz kar li, bataao usne kya kaha ?

Farishte jawab dete hain:-" aiy allah ! Usne ' inna lillahi wa inna ilaihi raajiun ' kaha, aur unki zabaan teri taareefon me lagi rahi, "

is mauqe se allah taala farmata hai:-" dekho mere is bande ke liye jannat me ek mahal taiyyar karo, aur uska naam ' bait ul hamd ' rakho"


(tirmizi)


kya hi khus'kismAt hain wah log jo museebat ki ghadi mein sabr karte hain aur rabb se ajar haasil karte rahte hain


museebat me sabr karne waalon ko aakhirat ke elawa, basa awqaat duniya me bhi uska ajar mil jaata hai......


ALLAH TAALA HAM SABKO SABR KARNE KE TAUFEEQ DE....... Ameen

Read More »

Sunday, July 8, 2012

INSAANI ZINDAGI ME ZABAAN KI AHMIYAT (PART-2)






Bismillahirrahmanirraheem



INSAANI ZINDAGI ME ZABAAN KI AHMIYAT (PART-2):



NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM (PBUH) KE SAATH MAZAAQ



Hz auf bin malik (ra) kahte hain ke :-" maine ghazwa e tabuk me rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ke paas aaya, aap sallalaho alaihi wasallam (pbuh) chamde (leather) ke ek khaime (camp) me tashreef farma they, maine salaam kiya, aapne jawab diya aur farmaya:- "andar aa jao !",

maine kaha:- kiya poora andar aa jaun ?

Aapne farmaya:- haan ! Poora hi andar aa jao, phir main andar gaya,"

hz usman bin aatiqa (ra) farmate hain ke:-" hz auf (ra) ne 'poora aa jaaun' khaimah chhota hone ki bina par kaha tha "


(abu dawood 3/272, ahmad 6/25,27)


ZABAAN SE TAQLEEF PAHUNCHAANE KA ANJAAM:



Hz abu hurairah (ra) kahte hain ke ek shakhs ne kaha:-" aiy allah ke rasool ! Falan aurat ke baare me zikr kiya jaata hai ke wah badi namaz padhne wali, roza rakhne aur Sadqah karne waali hai, elawa uske ke wah apni zabaan se apne padosion ko takleef pahunchaati hai,

aap rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:- "wah jahannami hai",

us shakhs ne kaha:- aiy allah ke rasool ! Falan aurat ke baare me zikr kiya jaata hai ke namaz, roza, aur sadqah bahut kam karti hai aur paneer ka tukda sadqah me deti hai, lekin apni zabaan se pados waalon ko taqleef nahi pahunchaati,

aapne farmaya:-" ye jannat me hai "

(rawah ahmad 2/990, baihaqi)


hz abu hurairah (ra) farmate hain ke rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" ba'khuda wah momin nahi ho sakta,

poocha gaya, aiy allah ke rasool kaun!, farmaya :- jiska padosi uski buraayi se mahfooz na rahe"


(bukhari 7/78, muslim)


hz anas (ra) se marwi hai kahte hain ke rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" wah shakhs jannat me nahi daakhil hoga jiska padosi uski buraayi se Mahfooz na ho "

( rawah muslim 68)



BHALAAI AUR BURAAI KARNE WAALE KI PAHCHAAN


Hz ibn masood (ra) kahte hain ke ek aadmi ne rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se poocha ke:-" aiy allah ke rasool main kaise jaanu ke maine accha ya bura kiya?

Toh rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jab apne padosi se suno ke tumko accha kahte hain toh tune accha kiya, aur jab apne padosi se suno tumko bura kahte hain toh tune bura kiya "

(rawah ibn majah 4223)


hz ibn abbas (ra) kahte hai ke maine rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se farmate hue suna:-" wah shakhs momin nahi jo aasu'dah rahta ho aur uska padosi uske bagal me bhooka rahta ho "

(rawah baiheqi 3/1391)

hz uqba bin aamir (ra) kahte hain ke rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" pahle do jhagadne waale qayamat ke din do padosi honge"

( rawah ahmad 4/151)


AADMI KO BURA HONE KE LIYE BADKAAR AUR BAKHEEL HONA KAAFI HAI:


Hz uqba bin aamir (ra) kahte hain ke rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" tumhare ye nasab kisi par aar nahi hain, tum sab aadam ki awlaad ho, barabar barabar kisi ko kisi par koi fazilat nahi, siwaaye deen wa taqwa ke, aadmi ke bura hone ke liye yahi kaafi hai ke wah bad'go, badkaar aur bakheel ho "

( ahmad 4/145,1582)



BHEDH AMAANAT HAI:


Hz jaabir bin abdullah (ra) se marwi hai ke rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jab aadmi baat kare, phir idhar udhar mutawajjoh ho to wah amaanat hai"


(rawah tirmizi 1959)


ALLAH TAALA HAM SABKO NEK AMAL KARNE KI TAUFEEQ DE......aur KISI BHI BAAT PAR AMAL KARNE SE PAHLE US BAAT KI TAHQEEQ KARNE KI SALAAHIYAT DE......AMEEN

Read More »

Saturday, July 7, 2012

INSAANI ZINDAGI ME ZABAAN KI AHMIYAT







Bismillahirrahmanirraheem




INSAANI ZINDAGI ME ZABAAN KI AHMIYAT:



GHEEBAT KI SAZA-



Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jo shaks kisi musalman aadmi se ek luqma bhi khaale ( yani gheebat karke aur tohmat laga kar) toh allah taala usko utna hi jahannum se khilaayega, aur jo shaks kisi musalman aadmi ka ek kapda pahan le toh allah taala usko utna hi jahannum se pahnaayega, aur jo shakhs kisi aadmi ke riyaakaari aur propagandah ki jagah khada huwa toh allah taala usko qayamat ke din riyakaari aur propaganda ki jagah khada karega"

(abu dawood 5/195, baiheqi 6290)



GHEEBAT ROZA AUR NAMAZ KO BARBAAD KAR DETI HAI



Hz abdullah bin abbas (ra) kahte hain ke do aadmiyon ne johar ya asr ki namaz padhi aur wah dono rozadaar bhi they, Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne namaz padh li toh farmaya:-" tum dono dobara wuzu karo aur namaz padho aur aaj ka roza poora karlo Aur dusre din uski qaza karna,un dono ne poocha ke allah ke rasool kyun?Toh aapne farmaya:-" ke tumne falan ki gheebat ki hai "


( rawah baihaqi 6302)


GHEEBAT KARNE WAALON KE LIYE TAUBAH NAHI:


Hz abu saeed aur hz jabir (ra) kahte hain ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya ke:-" gheebat zina se bad'tar hai, logon ne pooch,-aiy allah ke rasool ye kaise ?
Aapne farmaya:-" aadmi zina karke tauba karta hai aur allah uski tauba qubool karta hai,"

aur ek riwayat me hai:-" tauba karta hai aur allah usko maaf kar deta hai aur gheebat karne waala us waqt tak maaf nahi kiya jaata jabtak wah maaf na kare jiski usne gheebat ki hai "

aur ek hz anas (ra) ki riwayat me hai ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" zaani ke liye tauba hai aur gheebat karne waale ke liye tauba ki gujaish nahi hai "

(baiheqi 6314)


BAD'GHUMAANI, GHEEBAT, JAASOOSI, AUR HASAD SE BACHO:


Hz abu hurairah (ra) farmate hain ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" bad'ghumaani se bachte raho isliye ke bad'ghumaani jhooti baad hai, aur logon ka aib na tatolo, aur jaasoosi na karo, aur na dhoka dene ke liye saude ka bhaao badhaao, aur na aapas me bughz rakho, aur na dusre ko tohmat lagaan, aur aiy allah ke bandon ! Aapas me bhai bane raho, "

(bukhari 2/188)


aur ek riwayat me hai ke:-" na aapas me laalchi bano"

(muslim 3/1985)



MUSALMAAN KI AABRU'REZI KARNA:



Hz saeed bin zaid (ra) Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se riwayat karte hain ke aapne farmaya:-" sabse bada sood musalmaan ki aabru'rezi karna hai "

( rawah abu dawood 5/198, baihaqi 6283)



GHEEBAT SE ROKNA ZAROORI HAI


hz anas (ra) Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se riwayat karte hain ke aapne farmaya:-" jis shakhs ke paas uske musalmaan bhai ki gheebat ki jaa rahi ho Aur wah uske madad ki taaqat rakhta hai aur uski madad ki toh allah taala uski wajah se duniya aur aakhirat me uski madad karega, aur agar taaqat rakhte hue madad nahi ki toh allah taala usko duniya aur aakhirat me uske saath mubtela kar dega"


( sharah as sunnah 13/107)



GHEEBAT SE ROKNA JAHANNUM SE AAZAADI HAASIL KARNA HAI:


Hz asma bint yazeed (ra) kahti hain ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya ke:-" jisne apne bhai ki izzat ki uske adam maujoodgi me mudafi'at ki ( yani gheebat karne se roka) toh allah taala ke zimma ye hoga ke usko jahannum se aazaad kar de "

(rawah baiheqi)



APNE BHAI KI IZZAT KI HIFAAZAT:


Hz abu darda (ra) kahte hain ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se suna farmate they ke:-" jo musalmaan apne bhai ki aabru ki hifaazat karega toh allah ke zimme ye hoga ke qayamat ke din usse jahannum ki aag ko hata dega, phir Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne ye aayat tilawat ki:-" aur ham par momino ki madad karna waajib hai"

(surah room ayat 47, rawah fi sharah sunnah 13/106)



MUSALMAANO KI IZZAT BACHAANA:


Hz jaabir (ra) se marwi hai ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jo musalmaan kisi musalmaan ko aisi jagah ruswa karta hai jahan uski izzat barbaad ki ja rahi ho aur uskh be'aabruyi ho rahi ho, toh allah taala usko aisi jagah ruswa karega jahan wah apni madad ka khwaaha hoga, aur jo musalmaan kisi musalmaan ki aisi jagah madad karega jahan uski be'aabruyi ho aur uski izzat barbaad ki ja rahi ho toh allah uski wahan madad karega jahan wah apni madad ka khawaaha hoga "

(rawah abu dawood 5/197, ahmad 4/30)


GHEEBAT KA KAFFARA:



Hz anas (ra) kahte hain ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" gheebat ka kaffara ye hai ke jiski tumne gheebat ki hai us Ke liye bakhshish talab karo, kaho,:-" aiy allah hamko aur usko bakhs de "


(miskaat 3/1366, baiheqi 3666)


MUSALMAANO PAR TOHMAT LAGAANE KI SAZA:



Hz mua'az bin anas (ra) kahte hain ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jisne kisi munaafiq se kisi momin ki hifaazat ki toh allah taala ek farishta bhejega jo qayamat ke din uske ghost ko jahannum se bachaayega, aur jisne kisi musalmaan ko buraayi se mutaham kiya jisse uski badnaami chahta ho, toh allah taala usko jahannum ke pul par rok lega yahan tak ke jo kuch usne kaha tha nikaalega"

( abu dawood 5/1965)


MUSALMAAN KE AIB KO CHHUPAANA


Hz uqba bin aamir (ra) kahte hain ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jisne kisi aib ko dekh kar chhupaaya wah us shakhs ki tarah hai jisne kisi zindah dargor ko zinda kiya ho"

(rawaah ahmad 4/147, 153)


MUSLIM KO KAAFIR AUR DUSHMAN E KHUDA MAT KAHO





Hz ibn umar (ra) kahte hain ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jo aadmi apne bhai ko, aiy kaafir, kahta hai to un dono me se ek zaroor kaafir hota hai"


(bukhari 7/97, muslim 1/79)

hz abu zar (ra) se marwi hai kahte hain ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jisne kisi ko kaafir ya dushman e khuda kah kar pukaara aur wah aisa nahi hai toh wah usi par laut aayega"

( muslim 1/80, ahmad 5/166)


'TOH' ME LAGNE KI MUMANIAT:


Hz zaid bin wahab (ra) kahte hain hz ibn masood (ra) ke paas ek aadmi laaya gaya toh kaha gaya ke ye falan hai, uski daardhi(beard) se sharaab tapak rahi hai, toh hz abdullah bin masood (ra) ne kaha ke:-" ham buraayi dhoondne se rok diye gaye hain, lekin agar koi cheez hamare liye zaahir ho jaaye toh ham us par mawakhizah karenge "

( abu dawood 5/200)


DILLAGI AUR MAZAAQ


Hz abu hurairah (ra) kahte hain ke:-" logon ne kaha Hai ke, aiy allah ke rasool aap hamare saath hansi mazaak karte hain, Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" magar main sachi hi kahta hun "

(tirmizi 199)


BACCHON SE HANSI MAZAAQ:


Hz anas (ra) kahte hain ke :-"Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ham se ghule mile rahte they, yahan tak ke mere chhote bhai se mazaaqatan kahte, aiy ameer ! nafeer ko kya kiya un (mere bhai ) ke paas ek nafeer tha (chidiya ka baccha ) , jisse wah khela karta tha wah marr gaya"

( bukhari 7/1002, muslim 2150)


NABI E AKRAM SALLALAHO ALAIHI WASALLAM(PBUH) KA MAZAAQ:


Hz anas (ra) kahte hain ke :-" ek aadmi ne Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) se sawaari talab ki, aapne farmaya:-" main tumko oontni k ek bacche par sawaar karaunga, us aadmi ne kaha:- main oontni ka baccha kya karunga ? Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-"oont bacche hi paida karte hain"



(tirmizi 1991)


Hz anas (ra) se marwi hai ke Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne unko zalaz nain ( do kaano waale) kah kar pukaara"

(abu dawood 5/272)


hz anas (ra) kahte hain ke:-" Nabi e akram sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne ek boodhi aurat se kaha:- jannat me boodhi aurtein daakhil nahi hongi, toh budhiya ne kaha:- unka kya kasoor hai ? , budhiya us waqt qur'an padh rahi thi,

aapne usse kaha:- kya tumne qur'an me nahin padha:-" ham aurton ko nayi zindagi dekar baakarah bana denge "


( miskaat jild 3/ 1370, surah waqeyah 35, 36)



to be continued

Read More »

RAAZ KO FAASH NA KARO




Bismillahirahmanirraheem



RAAZ KO FAASH NA KARO



" Qayamat ke din allah ke nazdeek bad'tareen shakhs wo hoga jo aurat se apni haajat poori kar leta hai aur baad me us raaz ko faash karta hai "


(muslim, abu dawood)


TASHREEH:

is hadith se us shakhs ko bad'tareen insaan saabit kiya gaya hai jo apni aurat se nafsiyaati khwaahisaat ko poori karne ke baad us amal ko dusron se bayaan karta hai ke maine aisa waisa kiya,


Hz abu hurairah (ra) farmate hain ke rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne hamen namaz padhayi aur jab salaam phera toh hamari taraf rukh karke farmaya:-" baithe raho, aur suno ! Kya tum mese koi shakhs aisa bhi hai jo apni biwi ke paas jaaye toh darwaaza band kare aur pardah daal le aur baahir nikle toh bayaan karta fire ke maine apni biwi ke saath aisa waisa kiya ? Aap ke is sawaal ka jawab kisi ne nahi diya,

phir aapne aurton ki taraf mutawajjoh hokar farmaya ke:- kya tum Mese bhi kuch aurtein aisi hain ? Ek nau'jawan ladki jo apne ghutno ke bal allah ke rasool sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ko dekhne aur kalaam nubuwwat sunne ki koshish kar rahi thi BOLI,:- Qasm hai allah ki mard is tarah ki baatein karte hain aur aurtein bhi,

is par rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne farmaya:-" jaante ho jo shakhs aisi baatein karta hai us ki misaal kaisi hai ? Uski misaal us shaitaan aur shaitaaniyah jaisi hai jo apni biwi se shaahrah aam par milta hai aur apni zaroorat poori karta hai aur haalat ye hoti hai ke log ye khel dekh rahe hote hain "

(ahmad, abu dawood, wa bazzaar)


rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ne misaal bayaan farma kar us amr qabeeh se nafrat dilaane par zor diya hai taake koi mard ya aurat ye ghalti na kare ke apne andar ki baatein baaher aam logon ke beech bayaan kare,

is hadith me is baat ko posheeda rakhne ki targheeb di gayi hai , isse miyan biwi ke raaz un ka aapas ka mel milaap, unka ek dusre se pyaar wa muhabbat, bos wa kinaar hona sharai aitbaar se sabse bahtar jagah unka ghar hai aur unke ye tamaam kaam pardah raaz me hone chahiye na ke uske sire se aam anjaam diya jaaye, aur usko dusron se bayaan kiya jaaye,

rasoollullah sallalaho alaihi wasallam (pbuh) ki hadithon ko apne saamne rakh kar maujoodah daur par ek sarsari nazar daalein aur apni aankhon ko band karke chand minute sochen ke aaj kya kiya ho raha hai, iska anjaam kiya hoga, apne aapko mazhab aur taraqqi pasand musalmaan kahne waale logon ke gharon me kiya kya ho raha hai, usko bataane ki zaroorat nahi,

aaj taraqqi pasandi ke naam par muslim gharaano me jo kuch ho raha hai usse is baat kh ummeed rakhi hi nahi ja sakti ke unke ghar ke bacche islam ki taalimaat ko apne liye mash'al banaayenge,


allah taala ham tamaam musalmano ko sunnat rasool sallalaho alaihi Wasallam (pbuh) ko apni zindagi me nafez karne aur unpar amal paira hone ki taufeeq de aur tamaam shaitaani raaston se ham sab ko mahfooz rakhe........AMEEN





Read More »